Page 1 of 1

meri taza TaraHee Ghazal(Mushairah Urdujahaan)

Posted: Fri Oct 24, 2008 7:48 am
by jawaid badauni
dil nah zaKhmee ho koyee guftaar se
jo bhee kahna hai kaho kuch pyaar se

yeh Khushee ghar meN chalegee kitne din ?
tum jo le kar aayee ho baazaar se

humko kaafi hai hamara yeh qalam
waar tum karte raho talwaar se

haaN, wohee is daur ke haiN raakshas
shakl se lagte hain jo avtaar se

hai dilaazaaree kabhi mut poochna
aaKhree Khuwaahish kisee beemaar se

run meN hotey haiN wohee bus kaamyaab
jo sabaq lete haiN apni haar se

apne kuch deNge nah zillat ke siwa
maNgna hi hai tou maaNg aghiyaar se

jaan.o.dil kuch ne kiye nazr.e sukhan
kuch kamate bhi haiN is viyopaar se

shairee “Jawaid” kaam aayee hai aaj
Khush huwee haiN woh mire asha’ar se


aapki giraanqadr aara ka muntazir,

Jawaid Badauni

Re: meri taza TaraHee Ghazal(Mushairah Urdujahaan)

Posted: Sun Oct 26, 2008 12:16 am
by sajhashmi
Mohtermi Javed Badauni aadab!
wah janab khoob ghazal likhi aap ne apni ghazal meiN urdu + hindi shabdouN ka est`emaal bhii khoob kiya yeh chand
satoor sSirf aap ko khoosh aamded kehney aur bat~our izhar e tashakkur darj kii jarahii heiN tamam ghazlouN kii
postings k ba`ad shurka wa araakeen ki mashwaret ce fai`sela kiya jasakega
s anwer jawaid hashmi

Re: meri taza TaraHee Ghazal(Mushairah Urdujahaan)

Posted: Sun Oct 26, 2008 5:18 am
by jawaid badauni
sajhashmi wrote:Mohtermi Javed Badauni aadab!
wah janab khoob ghazal likhi aap ne apni ghazal meiN urdu + hindi shabdouN ka est`emaal bhii khoob kiya yeh chand
satoor sSirf aap ko khoosh aamded kehney aur bat~our izhar e tashakkur darj kii jarahii heiN tamam ghazlouN kii
postings k ba`ad shurka wa araakeen ki mashwaret ce fai`sela kiya jasakega
s anwer jawaid hashmi


Mohtarmee Jawaid Hashmi Saahab,
aadaab

Ghazal ki pazeeraayee ke liye mamnoon hoon.

aap ko ek ghalatfehmi huuweee hai. maiN ne Ghazal is forum meN ya kisee deegar forum meN kisee FAISLY ya kisee muqabiley men shirkat ke liye nahiN kahi hai. aap abhi in maHfil meN nau warid hain is liye aap ko iska i'lm nahiN. miaN jab bhi kisee TaraHee mushairey meN shirkat karta hooN meri pahli sharT yehee hoti hai keh mera kalam kisee muqabley meN shamil nah kiya jaye. maiN ghazal sirf apni aur apne chaahne waloN ki khushee ke liye kahta hooN.

mere liye itna hi kafee hai keh aapne baHeSiyat member meri nacheez koshish ko pasand farmya. ummid hai mera mauqif aap per wazeh ho gaya hoga aur aap is se muttafiq bhi hoNge. meri ab aisee umr nahiN ke main ghazal ke inA'mee muqabloN men shirkat karooN.

Ghazal per aap ke giranqadr tabsarey ke liye ek baar phir aap ka shukriya.

mukhliS
Jawaid Badauni

Re: meri taza TaraHee Ghazal(Mushairah Urdujahaan)

Posted: Sun Oct 26, 2008 6:23 am
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam:

Aapki ghazal ke zail ke ash'ar zyada pasand aaye hain:

dil nah zaKhmee ho koyee guftaar se
jo bhee kahna hai kaho kuch pyaar se

yeh Khushee ghar meN chalegee kitne din ?
tum jo le kar aayee ho baazaar se

apne kuch deNge nah zillat ke siwa
maNgna hi hai tou maaNg aghiyaar se


Aapne ek ghzal hamein inayat ki hai. Meri daad aur mubarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar