Page 1 of 1

ghazal aik achchi ci hamm bhi lagadeiN?

Posted: Mon Oct 27, 2008 6:22 pm
by sajhashmi
Hazireen o Nazireen aadab!
Sukhanwari ka nah dawa hey aur nah gunjaish
Kalam apna yeahaN paish ker rahey heiN hamm

:grin:

Re: ghazal aik achchi ci hamm bhi lagadeiN?

Posted: Tue Oct 28, 2008 2:38 pm
by munir-armaan-nasimi
Masha'Allah... Bohat DilnasheeN Ghazal Hai... Hashmi Saaheb.... Khaas tor se mujhe ye ashaar behad pasand aaye....

Ek Umr beet gayii Ranz ka raha Khoo-gar
ye kam nahin hai Muqaddar hoa Qafas na hoa

Aur....

Qalam Giraft main tha :Hashmi: keh merii zabaaN
Jo kehna chaahti thee woh bhi es baras na hoa

Daad Qobool kiziye aur yoN hi hamein nawaazte rahiye.

Shukriyaa!!

Re: ghazal aik achchi ci hamm bhi lagadeiN?

Posted: Wed Oct 29, 2008 1:01 am
by afzalshah
muhatam janaab anwer jawaid hashmi sahib adaab-o-salaam-e-masnoon !
janaab ki ghazal nazar say kiya guzri koyi paikar-e-raNg-o-bu guzar gaya dair tak kaifiat taari rahi
aisii ghazal koy kohna'mashkq shai'r hi keh sakta hay ...

mereii nigaah say sad shukr keh wo mass na huaa
jiss aaiynay maiN teraa aks mun'akiss na huaa

janab ko maiN kis kis shair pe daad dooN wallah puri ghazal hi aisi hai kay jee khush hogaya....

hazoor se aik shikayaat kay aap aisi khobsurat ghazalaiN kahaN rakhtay haiN

woo alag bandh kay rakha hay jou maal acha hay

aur hamaiN aap nay aisi khobsurat ghazalooN se abhi tak mahroom rakha...

Niazmund,
Afzal Shah

Re: ghazal aik achchi ci hamm bhi lagadeiN?

Posted: Wed Oct 29, 2008 11:59 am
by sajhashmi
Munir Arman Naseem sahib ghazal ki pasandeedgi ka shukriya aap ki houSla afzai ce mazed ghazleiN bhii hojaiengi 8)
Afzal Shah tumm ne to kamal kerdia jann e mann lams k laam per zaber [fatt]nazer aatey houey bhii tumm ne
munakis [kaaf per zer [kass] daal ke misSraA bigaRa baRa ehHsan kiya mujh per
jo aleg baandh k rakhkha he voh maal achcha hey kii tarteeb bhii badel Dalii kheir
iss terhah to hota hey iss qism ki ujlet meiN!
ghazal pasand aai shukriya!

SAJHashmi ](*,)