Page 1 of 2

pasandeedah ash`aar

Posted: Wed Oct 29, 2008 12:25 pm
by sajhashmi
Guftugoo kisi ce ho tera hii dhiyan rehta hey
TooT TooT jaata hey silsilah takallum ka !
[Fareed Javed, Book Silsilah takallum ka]

Aik pathher jo daste yaar meiN hey
Phool banney kay intizaar mieN hey
[Qamar Jameel ''''''''''''''Khwab numa]

Naamuradan e Mohabbat ko hiqaret ce nah dekh
Yeh baRey loag heiN jeeney ka hunar jante hein
[Saleem Ahmad'''''''''''''''Ikaii]

Uss rastey meiN peechey ce ittni aawazeiN aaieN Jamal
Aik jagheh tau ghoom kay reh gai aeiRi seedhe paouN ki
[Jamal Ahsani'''''''''Sitara e Safer]

Najaney kitney hii laashey paRey heiN saRkouN per
Kay Zindagi bhii naah maney unheiN baqaid e hayat
[Salik-uk-Hashmi,Alig'''''''''''''''Khaak e Dill]

Tumm jisey Qariyah e Sahib nazeraaN kehtey ho
Voh Qamar Hashmi saheb kay he damm ce abad
[Deewar e DabistaaN'''''''''''Qamar Hashmi]

MuRR muRR kay dekhiye koii rehh tau nahiN gaya
Aisey bhii loag hoatey heiN kuch CaravaaN k saath
[Dr.Yusuf Jawaid Jaipuri]

Hairet ce tumm jo meri taref deikh rahey ho
Lagta hey kabhi tum ne Samender nahiN dekha
Aaniss Moeen..........Multan]

Paish kash Syed Anwer Jawaid Hashmi yaad daashtouN ce maakhooz :P

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Wed Oct 29, 2008 5:14 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Hashami SaaHi aadaab!

Kiya kehne dilkash asha'aar haiN. inheeN yahaN a't^aa farmane ke liye dilee t^aor par mamnoon hooN. Ummeed hai keh aesee e'naayat se haath nah kheencheeN ge. aor aesee khubSurat asha'aar se hamkinaar-o-mustafeed farmate raheeN ge.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Thu Oct 30, 2008 10:01 am
by sajhashmi
Muzaffar A Muzaffar Khoosh RaheiN jeetey rahein Bhaii
Nawazish aap ki ash`ar ki ta`areef kay heiN mustahiq Shaiir
Kalam e Nau ba nau`u aaindah bhii laouNga meiN Sahib
yehaN eik sheir apna pesh kerta houN:

Hashmi Subh bakheir chalo abb Rizq kamaney chaltey heiN
Iss ce pehley aa dhamkeiN Suraj chamkaney valey haath

Shukriya

Syed Anwer Jawaid Hashmi =D>

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Fri Dec 19, 2008 1:27 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Hashami SaaHib yeh she'er dekheeN. jo aap kee nazr hai. a'rZ^ kiya hai.

e'shq meN tashnah kaam rehte haiN
jo Gham-e-rooZgaar karte haiN. :grin:

Wassalam

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Thu Jan 08, 2009 2:32 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Ab sach kaheeN to yaaro ham ko khabar naheeN thee
ban jaae gaa qayaamat ek waaqea' zaraa saa!
[/color]

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Tue Jan 27, 2009 2:54 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
maiN to samjhaa thaa keh laoT aate haiN jaane waale
tune jaa kar to judaaee meree qismat kar dee!

AHmad Nadeem Qasami
[/size]

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Sun Jan 31, 2010 10:54 am
by sbashwar

na poch mujh se zafar meri tu haqeeqat hal
agar kahooN ga abhi tujh ko maiN rula dooN ga
Zafar



نہ پوچھ مجھ سے ظفر میری تو حقیقت حال
اگر کہوں گا ابھی تجھ کو میں رلا دوں گا
ظفر
[/color]

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Sun Jan 31, 2010 11:32 am
by munir-armaan-nasimi
Muqaddas Fikr ke Haamil Aqueede TooT Jaate Hain
Zara See Bad-ghumaani Ho To Rishte TooT Jaate Hain
Tasallee De ke Woh Kehne Lage Dil ToDne ke Baad...
Khilone to Khilone hain, Khilone TooT Jaate Hain.

:grin:

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Thu Feb 04, 2010 7:22 am
by manzar alam
ترا دیوانہ مجنوں سے سوا مشہور عالم ہے
مگر مردہ پرستی شیوۂ دستور عالم ہے
=================================
tera deewanah majnooN se siwaa mashhoor-e-Aalam hai
magar murdah parasti shewah-e-dastoor-e-Aalam hai
[/b]

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Thu Feb 04, 2010 9:53 am
by nafeesa

ترے وعدے پر جيے هم ، تو يه جان جھوٹ جانا

كه خوشي سے مر نه جاتے اگر اعتبار هوتا؟

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Fri Feb 05, 2010 6:50 am
by sbashwar
بے خطا تو نہیں ہوتے ہیں ظفرؔ وہ برہم
زلف کو ہاتھ کہیں تو نے لگایا ہوگا

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Fri Feb 05, 2010 3:29 pm
by aabarqi
کہا تھا اُس نے کہ اپنا بنا کے چھوڑوں گا
ہوا بھی ایسا ہی اپنا بنا کے چھوڑ دیا

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Fri Feb 05, 2010 3:34 pm
by aabarqi
رویا جو میں گنہ پہ فرشتوں نے یہ کہا
ہم لکھ کے کیا کریں گے جو دھویا کرے کوئی
رحمت الٰہی برق اعظمی

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Sun Feb 07, 2010 8:56 am
by sbashwar

میں اکیلا ہی چلا تھا جانب منزل مگر
لوگ ساتھ آتے گئے اور کارواں بنتا گیا

[/color]

Re: pasandeedah ash`aar

Posted: Sat Feb 13, 2010 2:56 pm
by azeezbelgaumi
سالم بھائی یہ شعر آپ کے لیے

کارواں کو منزلوں کی اب ضرورت ہی نہیں
راستے بکھرے ہوئے ہیں منزلیں بکھری ہوئیں