Page 1 of 1

Kya Tamasha Hai - Azeez Belgaumi

Posted: Sun Nov 02, 2008 3:56 am
by sbashwar
Azeez Belgaumi Saheb ki ek ghazal.

Re: Kya Tamasha Hai - Azeez Belgaumi

Posted: Sun Nov 02, 2008 5:46 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram janaab S, Bashwar SaaHib tasleemaat!

janab Azeez Belgaumi SaaHib kaa kalam naz^ar nawaaz huwaa. jise dekh kar jee khush ho geyaa. mashAllah maoSoof ko zabaan-o-bayaan par qudrat HaaSil hai. aor aor is meN shubah kee koee guzjaaish naheeN keh HaZ^rat Ghazal gaoee ke fan se khub aashnaa haiN.

is khubSurat kalam ko meHfil kee zeenat banane ke liye mamnoon hooN. jazakAllah!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: Kya Tamasha Hai - Azeez Belgaumi

Posted: Fri Nov 07, 2008 4:31 am
by Ehtesham Anwar
Janab e Saleem Shb aadab!

bhaai baRi khobsurat ghazal share kii...

e achi ghazal kay kahnay per Balgami shb ko aur share kernay pe aap ko behad mubarak baad aur dilli daad qabool hoo

Ehtesham Anwar

Re: Kya Tamasha Hai - Azeez Belgaumi

Posted: Fri Nov 07, 2008 4:57 pm
by dilshadnazmi
sbashwar wrote:Azeez Belgaumi Saheb ki ek ghazal.
aziz belgami sahib

salam _o-alaekum ,


issey gazal kahtey hain , waah waah , maza aa gaya , keya tewar hain , keya rang hai . keya rawani hai ,


ji khush kar diya aap ki gazal ne .... eak jadoo hai jo sar cha>dh kar bol raha hai. zindabaad zinda baad .

bahot sari daad , bahot sari nek khwahishat . duwaein ,

mukhlis

dilshadnazmi
ksa

Re: Kya Tamasha Hai - Azeez Belgaumi

Posted: Sat Nov 08, 2008 9:13 am
by azeezbelgaumi
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram janaab S, Bashwar SaaHib tasleemaat!

janab Azeez Belgaumi SaaHib kaa kalam naz^ar nawaaz huwaa. jise dekh kar jee khush ho geyaa. mashAllah maoSoof ko zabaan-o-bayaan par qudrat HaaSil hai. aor aor is meN shubah kee koee guzjaaish naheeN keh HaZ^rat Ghazal gaoee ke fan se khub aashnaa haiN.

is khubSurat kalam ko meHfil kee zeenat banane ke liye mamnoon hooN. jazakAllah!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Biradare Mohataram Muzaffar Saheb,

Salam o niyaz

Aapki dad mere liye baais e himmat afzai hai... Shukriya... Radeef ko nibhana bada mushkil tha... aap samajh sakte hain ke aisi radeefen bahut kam saath de pati hain... wo to kahiye ke aap jaise sukhan shanasoun ki aali zarafiyan hamari jurratoun ko sanbhala de leti hain... warna apni hi tabaa aazmai ke baare mein apna hi etemaad dagmagam jata hai....
Ek baar aur shukriya.... Jazakallah...

Azeez Belgaumi

Re: Kya Tamasha Hai - Azeez Belgaumi

Posted: Sat Nov 08, 2008 9:17 am
by azeezbelgaumi
dilshadnazmi wrote:
sbashwar wrote:Azeez Belgaumi Saheb ki ek ghazal.
aziz belgami sahib

salam _o-alaekum ,


issey gazal kahtey hain , waah waah , maza aa gaya , keya tewar hain , keya rang hai . keya rawani hai ,


ji khush kar diya aap ki gazal ne .... eak jadoo hai jo sar cha>dh kar bol raha hai. zindabaad zinda baad .

bahot sari daad , bahot sari nek khwahishat . duwaein ,

mukhlis

dilshadnazmi
ksa
isay kahtey hain dil khol kar daad dena.... bahut bahut shukriya,,
azeez belgaumi

Re: Kya Tamasha Hai - Azeez Belgaumi

Posted: Sat Nov 08, 2008 9:21 am
by azeezbelgaumi
Ehtesham Anwar wrote:Janab e Saleem Shb aadab!

bhaai baRi khobsurat ghazal share kii...

e achi ghazal kay kahnay per Balgami shb ko aur share kernay pe aap ko behad mubarak baad aur dilli daad qabool hoo

Ehtesham Anwar

Mohatarami... Main Khush Naseeb hun ke apki nazre karam ka mustehaq huaa... Gazal mein radeef se dosti badi mahangi padi... Aap khud bhi mehsoos kar sakte hain.... bahar kaif ... ek baar aur shukriya....

azeez belgaumi