Page 1 of 1

GuZarish#46 ke liye t^araHee miSra' pesh-e-khidmat hai.

Posted: Sun Nov 02, 2008 5:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram khuwateen-o-HaZ^araat aadaab-o-tasleemaat! :-)

Guzarish#46 mah-e-rawaaN ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai. eHbaab se Guzaarish hai keh pehlee furSat meN apne kalam se mustafeed farma kar mamnoon farmaeeN. miSra' mulaHiZ^ah keejiye.

~~~~Samajhtaa hooN magar dunyaa ko samjhanaa naheeN ataa~~~~

Shae'ir, Wajid Husain alma'roof :Yaas: :Yaganah: Changezi 1884-1956

beHer kee is shakl ka naam beHer-e-hazaj musamman saalim hai.

=mufaaee'lun......mufaaee'lun......mufaaee'lun.......mufaaee'lun
=//0/0/0......//0/0/0......//0/0/0.......//0/0/0
=1222........1222..........1222.........1222

Qawafee, sharmana, marjana, ghabrana, likhwana, waGhaerah.

radeef, naheeN ata.

Qawee ummeed hai. keh sabh~ee arbaab-e-sukhan diye gae t^arHee misra' Guzarish# par t^aba' aazmaa kar hameen shukriyah ada karne ka maoqa'deeN ge.

multamis
intezaamiyah Urdubandhan
[/i][/b]

Re: GuZarish#46 ke liye t^araHee miSra' pesh-e-khidmat hai.

Posted: Tue Nov 04, 2008 6:57 pm
by sajhashmi
Aadab o tasleemat

aap ka misra baRa hi rawaaN aur asaan hay....
umeed hay aHbaab zayada se zayada shirkat karaiN gay...

Syed Anwer Jawaid Hashmi

Re: GuZarish#46 ke liye t^araHee miSra' pesh-e-khidmat hai.

Posted: Wed Nov 05, 2008 7:25 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sajhashmi wrote:Aadab o tasleemat

aap ka misra baRa hi rawaaN aur asaan hay....
umeed hay aHbaab zayada se zayada shirkat karaiN gay...

Syed Anwer Jawaid Hashmi
moHtaram Anwar Hashmi SaaHib tasleemaat!

miSra' ko pasand farmane aor himmat afzaee ke liye mamnoon hooN. ummeed hai keh aap apne kalam se bhee mustafeed farmaeeN ge.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: GuZarish#46 ke liye t^araHee miSra' pesh-e-khidmat hai.

Posted: Wed Nov 12, 2008 8:43 pm
by sajhashmi
janab M A M yeani Muzaffar Ahmad Muzaffar aap kay nam kay baad M A N yeani Munir Arman Nasimi ko bhi acknowlege kiya receipt bheji tau MAN saheb ne fermaya Muzaffar Bhai kay saath naam milaker jo Cocktail'''''
Kiya fermatey heiN aap batour sukhanwar hameiN aisa kerna chahiyey ya nahiN? Achcha aik baat aap hamara yeani ahle karem ka tamasha tau aap deikh hi rahey heiN mager yeh gada garee ka maHSel kehaN hey kashkoul meiN kuch Sikkey hamarey naam kay ager Daley gaiye houN to bhijwadejiyye ga zaroor

Kangaal Bank since June 2008 after accident on roadside

SAJHashmi :lol: