Ghazal Mushairah 46 (November)
Posted: Mon Nov 03, 2008 4:58 pm
a'zeezaan.e giraamee, tasleemaat
akela insaan nah haNsta bhala na rota. guzishta maah mushaireh meN sirf maiN ne hi shirkat ki thee baHeSiyat shayar. is bazm men kayee kohna mashq shoara' maujood haiN. mera unse israar hai keh woh is mahanah TaraHee mushaireh meN kuch dilchaspee leN warnah is TaraH ek payye pe yeh gaRee kitne din chalgee?
is baar Muzaffar Saahab ne achchi zameen tajweez farmayee hai. mujhe yaqeen hai kuch achchi GhazaleN paRhne ko mileNgee. maiN nen kuch sada se ashaar kah kar ek baar phir sub se pahle mushaireh mN shirkat ka khushgawar fareezah anjaam diya hai. koyee sha'r pasand aaye tou likhiyega zaroor.
aap ka muKhliS
Jawaid Badauni
maiN sub ki maanta hooN apni manwana nahiN aata
“samajhtaa hooN magar dunyaa ko samjhanaa naheeN aata”
rah.e Haq per haiN hum donoN magar ik farq baaqee hai
mujhe aata hai tum ko Haq pe mar jana nahiN aata
salam us per keh jiski zindagee aalaam meN guzree
magar hoToN pe phir bhee Gham ka afsana nahiN aata
paseena khet meN har dopahar jis ne bahaya tha
usee ke haath meN gandum ka ik dana nahiN aata
tou kya ab Tanz karna shauq meN shamil nahiN unke
bahut din ho gaye unka koyee Ta’nah nahiN aata
taraqqee ya tanazzul kya kahoN isko keh ai maGrib
Tire logoN ko u’ryaanee meN sharmana nahiN aata
unheN shayar kahoon kaise keh in "Jawaid" SaaHab ko
Ghazal paRhna tou aata hai Ghazal gana nahiN aata
------------------------------------------------------------