Page 1 of 1
EK GHAZAL
Posted: Mon Nov 03, 2008 11:01 pm
by rukhsar
GHAZAL
Mujh main jur,at hee nathee Inkaar ki
karkhaanay main teray Begaar ki
Eik to Emaan Dojay Zindigi
Dhaar dekhee do rukhee talwaar ki
baat muflis yaa ameeri ki nahi
baat hoti hay faqat kirdaar ki
kis nay rukh moRa balaa tofaan ka
aur Kishti kis nay apni paar ki
sach to yeh hay TOOR par Jalway kay baad
Koun kartaa Aarzoo dedaar ki
.....................
Rukhsar Nazimabadi
Re: EK GHAZAL
Posted: Tue Nov 04, 2008 10:27 am
by Ehtesham Anwar
Janab Rukhsar shb Adaab!
aap ki ghazal peRhi bohat achi lagi
dili daad qabool fermaiN.......
mukhlis,
Ehtesham Anwar
Re: EK GHAZAL
Posted: Wed Nov 05, 2008 8:29 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
rukhsar wrote:GHAZAL
Mujh main jur,at hee nathee Inkaar ki
karkhaanay main teray Begaar ki
Eik to Emaan Dojay Zindigi
Dhaar dekhee do rukhee talwaar ki
baat muflis yaa ameeri ki nahi
baat hoti hay faqat kirdaar ki
kis nay rukh moRa balaa tofaan ka
aur Kishti kis nay apni paar ki
sach to yeh hay TOOR par Jalway kay baad
Koun kartaa Aarzoo dedaar ki
.....................
Rukhsar Nazimabadi
Aadaab a'rZ^ hai!
Aap kee Ghazal dekhee jo khubSurat aor dilkash hai.
is khubSurat takhleeq par dilee daad qubool keejiye. aor mazeed kalam se bhee nawaziye gaa. shukriyah!
Wassalam
Muzaffar A Muzafafr
Re: EK GHAZAL
Posted: Fri Nov 07, 2008 7:56 am
by munir-armaan-nasimi
Mohtarma Rukhsar jee...
Chotii behr main aapki Ghazal badi pyari lagi... Daad haazir e khidmat hai....
Aate rahiye aur hamein apni dilkush ghazal se nawaazte rahiye.
Wassalaam.
Munir Armaan
Re: EK GHAZAL
Posted: Sun Nov 09, 2008 4:56 am
by sbashwar
Mohtaram Rukhsar Saheb
Wah bohat khoob. Bohat hi pur asar ghazal se aapne nawaza hai. Hasb-e-zail sheir zyada pasand ayaa:
baat muflis yaa ameeri ki nahi
baat hoti hay faqat kirdaar ki
Aapka mukhlis
Salem Bashwar