Page 1 of 1
aik Ghazal
Posted: Wed Nov 05, 2008 12:27 am
by afzalshah
Assalam o Alaihkum haaziren ki khidmat mein aik Ghazal kay saath haazir houN
Afzal Shah
Re: aik Ghazal
Posted: Wed Nov 05, 2008 5:49 am
by sajhashmi
Bhai Afzal Shah shb Aadab!
aap ki ghazal peRhker jee khush howa waisay tu tamam hi ashaar bohat achay haIN lakin kuch shair tu bas bohat hi khoob...
lagay rahaiN bohat khoob jarahay haiN.....
Allah karay zoray qalam aur zayada....
Ehtesham Anwar
Re: aik Ghazal
Posted: Wed Nov 05, 2008 7:18 am
by munir-armaan-nasimi
WAQT KA TAAZDAAR HOON MAIN BHI
YE ALAG BAAT SAR PE TAAZ NAHIN
WAH WAH.. BOHAT KHOOB.... PURI GHAZAL DILNASHEEN LAB-O-LEHZE MAIN KAHI GAYI HAI... PADHNE MAIN BOHAT MAZAA AAYA.... BAS YEH SHER
AYE MERE DOST DUSHMANI KE SEWA
KYA TUJHE KOYI KAAM KAAZ NAHIN?
Agar Dost ko Dushmani ke sewa koyi aur kaam nahin hai to phir wohh Shair ka "Dost" kaise ho gaya??? Matlab usko Dosti bhi aati hai......!!
Ye meri soch hai jo ghalat bhi ho sakti hai.
Ek Shaandaar Ghazal ke liye DheroN Daad Qobool Kiziye....!!
Re: aik Ghazal
Posted: Sat Dec 27, 2008 2:11 am
by afzalshah
munir-armaan-nasimi wrote:WAQT KA TAAZDAAR HOON MAIN BHI
YE ALAG BAAT SAR PE TAAZ NAHIN
WAH WAH.. BOHAT KHOOB.... PURI GHAZAL DILNASHEEN LAB-O-LEHZE MAIN KAHI GAYI HAI... PADHNE MAIN BOHAT MAZAA AAYA.... BAS YEH SHER
AYE MERE DOST DUSHMANI KE SEWA
KYA TUJHE KOYI KAAM KAAZ NAHIN?
Agar Dost ko Dushmani ke sewa koyi aur kaam nahin hai to phir wohh Shair ka "Dost" kaise ho gaya??? Matlab usko Dosti bhi aati hai......!!
Ye meri soch hai jo ghalat bhi ho sakti hai.
Ek Shaandaar Ghazal ke liye DheroN Daad Qobool Kiziye....!!
janaab munir armaan nasimi sahib adaab!
aap ka shukria ada karnay meN dair huee
is kay liay ma'zirat
aap nay daad faraham ki kalaam ko pasand farmaya
shukria
aapnay aik she'r par na samjhi ka izhaar kia
to bhai seedhi si baat hay
keh dushman ka'ee tar'h kay hotay haiN jani dushman ko daost nahiN kaha jata laikin daost ki dushmani meN farq hota hay
yani daost say kaha ja raha hay wo dushmanoN jaisy adaiN choR day jis tar'h dushman kartay heN wesa nah karay
jo har waqt tal-e-mahabbat ko satata rehta hay
talib-e- mahabbat chahta hay keh us say wo izhaar-e-mahabbat karay
laikin matloob hamaisha bayrukhi ki ada meN masroof hay
dost ki dushmani bayrukhi
dushman ki dushmani jaan ka ziyaaN
umeed hay aap samajh gay hoNagy
aor mazeed raa'e marhamat farmatay raheNgay
ahqar
afzal shah
Re: aik Ghazal
Posted: Sat Dec 27, 2008 2:19 am
by afzalshah
sajhashmi wrote:Bhai Afzal Shah shb Aadab!
aap ki ghazal peRhker jee khush howa waisay tu tamam hi ashaar bohat achay haIN lakin kuch shair tu bas bohat hi khoob...
lagay rahaiN bohat khoob jarahay haiN.....
Allah karay zoray qalam aur zayada....
Ehtesham Anwar
bhai ehtishaam anwer
taslimaat!
pasandeedagi ka paziraa'ee ka bohut shukria
aap say iltimaas hay keh apni qimati raa'e say bhi nawazeN
jo meray liay sood mand sabit ho sakta hay
apka bhai
afzal shah
Re: aik Ghazal
Posted: Sat Dec 27, 2008 6:56 am
by sbashwar
Mohtaram Afzal Shah Saheb
aam tha pyar ka chalan pehle
ab zamanay meiN ye riwaj nahiN
ehtaram-e-bashr ka daur ghaya
ab wo insaan ka mizaaj nahiN
Bohat khoob. Bohat hi umda nawazish rahi.
Meri daad aur mubarakbaad arz hai.
Mukhlis
Salem Bashwar
Re: aik Ghazal
Posted: Tue Jan 06, 2009 10:05 pm
by afzalshah
sbashwar wrote:Mohtaram Afzal Shah Saheb
aam tha pyar ka chalan pehle
ab zamanay meiN ye riwaj nahiN
ehtaram-e-bashr ka daur ghaya
ab wo insaan ka mizaaj nahiN
Bohat khoob. Bohat hi umda nawazish rahi.
Meri daad aur mubarakbaad arz hai.
Mukhlis
Salem Bashwar
janaab Salem Bashwar sahib!
adaab-o-taslimaat!
daad marhamat farmaanay ka
pasand farmaanay ka
haosalah afzaa'ee ka
intehaa'ee mutashakkir hoN
umeed hay keh aa'endah bhi apni qimati raa'e say nawazeN gay
aap ka bohut bohut shukria
ahqar
afzal shah