Page 1 of 1

GHAZAL

Posted: Tue Nov 11, 2008 12:13 pm
by afzalshah
AADAB GHAZAL PESH E KHIDMAT HEY
APNI AARA`A CE NAWAZEIN

SHUKRIYA

AFZAL SHAH

Re: GHAZAL

Posted: Thu Nov 13, 2008 3:59 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Afzal Shah SaaHib aadaab!

kese mizaaj haiN? meHfil meN aap kee aamad par meree aor deegar sabhee saathiyooN ke jaanib se khush aam deed ummeed hai tashreef laate raheen ge. aor apne khubSurat aor dilkash kalam se nawaazte raheeN ge.

zer-e-naz^ar kalam dilkash aor puktah kaaree kee e'laamat hai. aap ke she'eree zaoq aor fannee maharat kaa aae'inah daar bhee hai. meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar

Re: GHAZAL

Posted: Mon Nov 17, 2008 9:50 am
by afzalshah

muhataram muzaffar ahmad muzaffar sahib taslimaat!

janaab ka bohut bohut shukria baish bahaa haosalah afzaa'ee par

dad'asl aapki nazar taiz hay keh aapnay pasandeedagi kay saath saath qabil-e-izhaar bhi samjha

mukhlis
Afzal Shah

Re: GHAZAL

Posted: Mon Nov 17, 2008 10:24 am
by sbashwar
Mohtarami Janaab Afzal Shah Saheb
:salaam:

jiski insaan ke aamaal pe hoti hai nazr
khud ko dunya ki nigahouN se niHaN rakhta hai

Aapke inayaat par kya kahein. har sheir qabil-e-daad hai.
Meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: GHAZAL

Posted: Wed Dec 03, 2008 8:59 pm
by afzalshah
sbashwar wrote:Mohtarami Janaab Afzal Shah Saheb
:salaam:

jiski insaan ke aamaal pe hoti hai nazr
khud ko dunya ki nigahouN se niHaN rakhta hai

Aapke inayaat par kya kahein. har sheir qabil-e-daad hai.
Meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

Mukhlis
Salem Bashwar

janaab saleem bashwar saahib adaab!

taslimaat !

aapnay ghazal pasand farmaa'ee

daad-o-tahseen say nawaza

aapki sad mehrbaani wa karam hay

laikin mujh nah laiq ko daikhaiN keh abhi tak maiN nay aapka shukria ada nahiN kia

so aapsay intehaa'ee mazirat khaaN hooN

takheer par sharmindah hooN

aik bar phir aapka bohut bohut shukria

umeed hay keh muaaaf farmaaiNgay

aor aindah apnay karam kay tasul'sul ko jaari rakkhaeNgay

ahqar
nah laiq
Afzal Shah

Re: GHAZAL

Posted: Wed Dec 17, 2008 7:51 pm
by tahira Masood
bohat khoob

aik khoobSurat ghazal kehne per daad haaZir hai

Re: GHAZAL

Posted: Sun Dec 21, 2008 1:34 am
by afzalshah
tahira Masood wrote: bohat khoob

aik khoobSurat ghazal kehne per daad haaZir hai


muhatarmah Thira Masood sahibah
adaab-o-taslimaat!
pasandeedagi aor daad ataa farmanay ka bohut shukria
umeed hay keh aaindah bhi karam hota rahayga
naiz apni qiimatii raaey say bhi marhamat farmaaeiNgii

mukhlis
afzal shah