Page 1 of 1
Ghazal
Posted: Sat Nov 22, 2008 11:09 am
by khozema husaini
assalam alaikum
muddat ke baad hazir hua hoon
guzarish 46 ke MiSre per apni koshish bhej raha hoon aap ki aara ka intezaar karoonga
Husaini
Ghazal
Mohabbat men jise Had se Guzar jana nahiN aata
To Phir pathrao ki zad men woh deewana nahiN aata
Milega bus wahi jitna muqaddar men likha hoga
muyassar is se ziyadah aik bhi dana nahiN aata
nazar aaye raqeebon ko woh aksar be Hijabanah
mire Hisse men hi lekin yeh nazranah nahiN aata
Kisi per jaNfishani ka hi jazbah kheench lata hai
wagarna shamma ke nazdeek parwana nahiN aata
maze kya heN kisi ke ishq men yuN hosh khone men
samajhta hoon magar duniya ko samjhana nahiN aata
Husaini hen hameN pee kar bahak jana nahiN aata
hamari raah men ta Umr maikhana nahiN aata
Re: Ghazal
Posted: Sat Nov 22, 2008 12:15 pm
by sbashwar
Mohtaram Khozema Husaini Saheb
Sabse pehle main aapki aamad par mashkoor houn aur khush-amdeed kehta houn. Ye aapki apni bazm hai aate rahiyega aur apne nigarishaat se mein nawazte rahein.
Aapki ghazal ke ash'ar zyada pasand aye hain:
Milega bus wahi jitna muqaddar men likha hoga
muyassar is se ziyadah aik bhi dana nahiN aata
shamaa per jaNfishani ka hi jazbah kheench lata hai
wagarna aag ke nazdeek parwana nahiN aata
Meri dili daad aur mubarakbaad qubool farmaye.
Mukhlis
سالم باشوار
Re: Ghazal
Posted: Sat Nov 22, 2008 2:06 pm
by khozema husaini
shehsawar sahib
aadaab
aap ki mukhlisana daad ka bohat bohat shukriyah
Re: Ghazal
Posted: Wed Nov 26, 2008 2:36 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Khozema Husaini SaaHib tasleemaat!
Qiblah kahaN rahe itnee muddat kheriyat to hai naa? aap ke baghaer meHfil khaaSee udaas-o-weeraan rahee. khudara ab aesaa z^ulm nah keejiye gaa. mujhe ummeed hai keh ab aap baaqaae'dagee se tashreef late raheeN ge. inshAllah!
Aap kee Ghazal hameshah kee t^arH qaabil-e-daad hai. khubSurat asha'aar se aap ne meHfil ko sajaaya hai. maiN is e'naayat ke liye aap kaa mamnoon hooN.
Mohabbat men jise Had se Guzar jana nahiN aata
To Phir pathrao ki zad men woh deewana nahiN aata
Waah Waah!
Milega bus wahi jitna muqaddar men likha hoga
muyassar is se ziyadah aik bhi dana nahiN aata
Kiya kehne Waah Waah! Bohot khoob!
nazar aaye raqeebon ko woh aksar be Hijabanah
mire Hisse men hi lekin yeh nazranah nahiN aata
Kiya kehne Waah!
shamaa per jaNfishani ka hi jazbah kheench lata hai
wagarna aag ke nazdeek parwana nahiN aata
achchaa maZ^moon hai. daad! aap ne :shamma': ko :shamaa': likha hai. dekh leejiye gaa. jaesa keh Ghalim kaa miSra' hai. "shamma' jaltee hai to us meN se dhuwaaN uTThtaa hai" ya'nee yahaN :shamma': ko 21 par baandha hai. jabkeh aap ne ise 12 par baandha hai. khaer!
maze kya heN kisi ke ishq men yuN hosh khone men
samajhta hoon magar duniya ko samjhana nahiN aata
kiya kehne Waah Waah Waah! Bohot hee khubSurat girah lagaee hai.
Husaini hen hameN pee kar bahak jana nahiN aata
hamari raah men ta Umr maikhana nahiN aata
Waah Waah!
meree jaanib se is khubSurat aor kaamyaab Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar
Re: Ghazal
Posted: Thu Nov 27, 2008 2:04 pm
by khozema husaini
Janab muzaffar sahib
aadaab
aap ki mukhlisanah daad ke liye mashkoor hoon jis sher ki taraf aap ne ishara kiya hai use tabdeel kar doonga insha Allah
Re: Ghazal
Posted: Sat Nov 29, 2008 9:22 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
mohtaram khozema husaini saahib
aapko yahaaN dekh kar hameN khushe huee
aapki yeh kaavish hameN pasand aayee
daad qubool farmaaiye.
mukhlis
haamid baaqri
Re: Ghazal
Posted: Wed Dec 03, 2008 2:42 pm
by khozema husaini
hamid sahib aadaab
hoSla afzai ka bohat bohat shukriyah