Page 1 of 1

غزل : بانگ جرس

Posted: Sun Nov 23, 2008 2:08 pm
by aabarqi
غزل : بانگ جرس
Tar e Nafas.gif
Tar e Nafas.gif (25.18 KiB) Viewed 497 times

Re: غزل : بانگ جرس

Posted: Mon Nov 24, 2008 12:04 pm
by munir-armaan-nasimi
BAANG-e-JARAS
Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi Saaheb

Itna na kheencho Ho gaya Bas
Toot na Jaaye Taar-e-Nafas

Sheeren Bayani Uski Mere
Gholti hai KaanoN main Ras

Khati hai Bal Naagin ki Tarah
Darr hai na lein yeh Zulfein Das

Uska Manaa-na Mushkil Hai
Hota nahin woh Tas se Mas

Wada hai Uska Wada-e-Hashr
Abhi to Guzre hain Chand Baras

Phool unhoN ne Baant Liye
Mujhko Mile hain Khaar o Khas

Subh hoyi Ab Aankhein khol
Sunta nahin kya Bang e Jaras

Usne itne Dhaaye Zulam
Main ne kaha ab bas bas bas

Mera nasheman nahin raha
Kar diya usne tahas nahas

Karne se pahle koi kaam
Dekhte hain woh saad o nahas

Ishq ka ab bharte hain dam
Ahd e rawaan mein ahl e hawas

Hubb e watan ka deta hai dars
Bechta hai lekin woh charas

Barqi ko jis se hai ummeed
Usko nahin aata hai taras
@@@@


Mohtaram Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi Saaheb...

Kya khoob ghazal pesh ki aap ne...ek hi saaans main padh gaya... phir do bara padha..... kuch sher pe atka.. do-bara padha... mazaa do-bala ho gaya........ phir teesrii baar ghazal padhne ke baad socha keh itni achchi aur pyari ghazal ko agar Roman main bhi likh diyz jaaye to......... urdubandhan ke kayi aur dostoN tak pahunch sakegi...... so likh diya...

Agar kahin koyi kami rah gayi ho to maazerat chaahta hoon, islaah kar diziyega.

Armaan

Re: غزل : بانگ جرس

Posted: Mon Nov 24, 2008 4:58 pm
by aabarqi
Azizam munir-armaan-nasimi
Aadaab O Tasleemaat
Meri sahl mumtenah main tab'a aazmaaii aapko pasand aaii aur aapne use Roman script mein bhi pesh karne ki zahmat gawaara farmaaii iske liye main aapka mamnoon aur sameem e qalb se sepasguzaar hoon. Cand filbadih ash'ar aur hazir e khidmat hain. Gar qubool uftad zahe izz o sharaf.
Mera nasheman nahin raha
Kar diya usne tahas nahas

Karne se pahle koi kaam
Dekhte hain woh saad o nahas

Ishq ka ab bharte hain dam
Ahd e rawaan mein ahl e hawas

Hubb e watan ka deta hai dars
Bechta hai lekin woh charas
Ahmad Ali Barqi Azmi

Re: غزل : بانگ جرس

Posted: Tue Nov 25, 2008 3:31 pm
by munir-armaan-nasimi
Azizam munir-armaan-nasimi
Aadaab O Tasleemaat
Meri sahl mumtenah main tab'a aazmaaii aapko pasand aaii aur aapne use Roman script mein bhi pesh karne ki zahmat gawaara farmaaii iske liye main aapka mamnoon aur sameem e qalb se sepasguzaar hoon. Chand filbadih ash'ar aur hazir e khidmat hain. Gar qubool uftad zahe izz o sharaf...

Masha'Allah.... sahl mumtenah to hai magar baat badi gehrii hai.... sirf aakhri sher aapke shaayaan-e-shaan nahin hai (Charas wala sher)... yeh mera khayaal hai... ho sakta hai main sher kii gehraayi ko nahin samajh saka...

Sir, aap mujhe sharmindah kar rahe hain; mujhe aapki har takhleeque pasand aati hai magar apni kam-elmi ki wazah se tabserah likhne se darrta hoon keh kahin koyi baat aapki shaan ke khilaaf na ho jaaye. Abhi kuch din pahle aisa "haadsa" mere saath ho chuka hai... Internet pe pahli baar kisi Shair ko padhte waqt... uski umr aur qad ka andaaza nahin hota... to main ne aakhir main likh diya "Allah kare zor-e-qalam aur ziyaadah"........ Baat Mohtaram Shair Saaheb ko Naa-gawar guzrii aur unhoN ne usko taareef nahin "Tanz" ka naam de diya..!!

Main aaj tak khud se sharmindah hoon keh main ne aisa kyon likha?????

Bahar-haal, main aapke ye ashaar bhi wahin le jaa kar jod deta hoon.

Taalib-e-dua,

Munir Armaan Nasimi

Re: غزل : بانگ جرس

Posted: Tue Nov 25, 2008 5:27 pm
by aabarqi
Hain Munir Armaan Adab ke pasdaar
Unki website hai behad shandaar

Unki ghazlein hai hadees e dibari
Unki nazmein hain nehayat bawaqaar

Unke afsaanon mein hai soz e duroon
Jinse asri aagahi hai aashkaar

Kar rahe hain khidmat e Urdu Adab
De jaza iski unhein Parwardigaar

Hai dua meri yahi Ahmad Ali
Unko Hasil ho jahaan mein aitebaar

Mukhlis
Ahmad Ali Barqi Azmi
(Filbadih)

Re: غزل : بانگ جرس

Posted: Thu Nov 27, 2008 4:35 pm
by munir-armaan-nasimi
aabarqi wrote:Hain Munir Armaan Adab ke pasdaar
Unki website hai behad shandaar

Unki ghazlein hai hadees e dilbari
Unki nazmein hain nehayat bawaqaar

Unke afsaanon mein hai soz e duroon
Jinse asri aagahi hai aashkaar

Kar rahe hain khidmat e Urdu Adab
De jaza iski unhein Parwardigaar

Hai dua meri yahi Ahmad Ali
Unko Hasil ho jahaan mein aitebaar

Mukhlis
Ahmad Ali Barqi Azmi
(Filbadih)

Aameen....!!

Mohtaram Dr. A.A.Barqi Azmi Saaheb...... Mere paas alfaaz nahin hai keh aap ka shukriyaa kaise ADA karoon? Aapki MohabbatoN ka Qarzdaar raha... Insha'Allah kabhi koi aisa mauqa naseeb hoa to.... yeh Qarz Utaarne ki koshish karoonga....!!

Meri aaj tak ki zindagii ka sab se achcha "Compliments" hai aur main esko apne website pe bhi share karoonga. (Waise apnii tareef sunna kise achcha nahin lagta :lol: )

Ek baar phir aap ka tah-e-dil se shukr guzaar hoon.

Armaan

Re: غزل : بانگ جرس

Posted: Fri Nov 28, 2008 2:08 pm
by aabarqi
نذر منیر ارمان نسیمی

Re: غزل : بانگ جرس

Posted: Mon Dec 01, 2008 4:56 am
by sbashwar
Mohtaram Dr. Ahmed Ali Baarqi Saheb
:salaam:


Sheeren Bayani Uski Mere
Gholti hai KaanoN main Ras

Bohat khoob. Inayat ka shukria.
Meri daad aur mubarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar