Page 1 of 1

guzarish # 46 haamid baaqri

Posted: Sat Nov 29, 2008 8:40 pm
by haamidbaaqri
Asalaam o alaikum
dosto

yeh zindagi ik musalsal imtihaan hai,har haalat meiN hameN kaamiyaab hauna hai.hum bhi is imtihaan meiN kaamiyaab haune ki kaushish kar rahe haiN.dua farmaayeN

guzishta chand maheenoN se ghair haazir rahne ki apnay ahbaab se muaafi chaahte hue maahay rawaaN kay micray per apni adna kaavish hum pesh karne jaa rahe haiN.

GAR QUBOOL UFTAD ZAHE ......

arz kiya hai...

musalmaaN hooN mujhe laugoN kau tadpaana nahiN aata
zabaaN daykar zabaaN say apni phirjaana nahIN aata

hai farmaanay mohammed(sawaw)ahtiraamay rizq waajib hai
woh haiwaaN haiN jinheN tahzeeb say khaana nahiN aata

mufakkir har zamaanay ka yahi kehta hua aaya
jahaaN deewaaanay hautay haiN wahaaN daana nahiN aata

tarannum ka kabhie mohtaaj shaayir hau nahaiN sakta
nah kar afsaus aye shayir agar gaana nahiN aata

koyee ustaad shayir aisa micra keh nahiN sakta
"samjhta hooN magar dunyaa kau samjhaana nahiN aaata"

bahaadur zulm kay aagay khaday haiN taan kar seena
woh buzdil haiN jinheN zaalim say takraana nahiN aata

nabi(sawaw)ki aal(as)say rishtah hai tera isliye haamid
kisee kay aagay tujhkau haath phailaana nahiN aata

natejaye fikr
haamid baaqri
al hamdulillah


Re: guzarish # 46 haamid baaqri

Posted: Sun Nov 30, 2008 5:35 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram janaab Hamid Baqari SaaHib aadaab-o-tasleemaat! :-)

Qiblah kaese mizaaj haiN? kahaN rahe aap ne to baRa udaas rakhaa. chaleeN ab tashreef laaeeN haiN to dil-o-jaan se khush aamdeed Allah kare keh aap ab baaqaae'dagee se Hasb-e-saabiqah tashreef late raheeN aor is Anjuman kee raonaq aor afaadiyat meN iZ^aafah farmate raheeN. Aameen!

Aap kee t^arHee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. kiya kehne wohee masaae'il-e-taSawwuf wohee rangeenee-e-kheyaal wohee mazhabee sha'aaor-o-insaan daostee aor maojoodah daor kee hosh rubaa talkhiyooN kee daastaaN jo qareeb qareeb aaj sabhee kaa ijtema'aaee masa'lah hai. aap kee fikr ne baRee dilkash andaaz-o-peraae meN nooraanee pekar meN Dhal kar zindagee aor ikhlaaqee masaae'l kee raah hamwaar karne kee koshish kee hai. aap ne mufakkiraanah fikr aor jazbaatee selaab se kaam lete huwe Ghazal ke medaan meN jo HaseeN aor iSlaaHee tajrube kiye haiN woh hameshah yaad rakhe jaaeN ge. GharaZ^ yeh lat^eef aor jaandaar tajrube kalam ko nae'ee aor der paa raoshanee a't^aa kar rahe haiN jis kaa acar kabhee Zaaei'l nah ho gaa. meree jaanib se is baamaqSad-o-ta'meeree iqdaam par kheraaj-e-teHseen qubool keejiye.

musalmaaN hooN mujhe laugoN kau tadpaana nahiN aata
zabaaN daykar zabaaN say apni phirjaana nahIN aata

Kiya kehne Waah waah Bohot khoob Waah! =D>

hai farmaanay mohammed(sawaw)ahtiraamay rizq waajib hai
woh haiwaaN haiN jinheN tahzeeb say khaana nahiN aata

Bohot khoob Waah Waah! =D>

mufakkir har zamaanay ka yahi kehta hua aaya
jahaaN deewaaanay hautay haiN wahaaN daana nahiN aata

Waah Waah!

tarannum ka kabhie mohtaaj shaayir hau nahaiN sakta
nah kar afsaus aye shayir agar gaana nahiN aata

Bohot khoob Waah Wah! =D>

koyee ustaad shayir aisa micra keh nahiN sakta
"samjhta hooN magar dunyaa kau samjhaana nahiN aaata"

Waah Waah Waah!

bahaadur zulm kay aagay khaday haiN taan kar seena
woh buzdil haiN jinheN zaalim say takraana nahiN aata

Kiya kehne Waah Waah! =D>

tu aulaaday nabi(sawaw) hai kehday is dunyaa say aye haamid
in haathoN kau kisee kay aagay phailaana nahiN aaata

Bohot khoob Waah Waah Waah! lajawaab maqt^a' hai Waah! =D>

meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wasalam
Muzaffar AHmad

Re: guzarish # 46 haamid baaqri

Posted: Sun Nov 30, 2008 10:25 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram janaab Hamid Baqari SaaHib aadaab-o-tasleemaat! :-)
Assalaam o alaikum
muzaffar bhaaii sahib


Qiblah kaese mizaaj haiN?

jee ....al hamdulillah....aur....aap kaisay haiN?

kahaN rahe aap ne to baRa udaas rakhaa.

hum muaazirat chaahtay haiN.

"imtihaanay 'ishqay daawar hau raha hai
gham meiN bhi muaiN muskuraana chaahta hooN."


chaleeN ab tashreef laaeeN haiN to dil-o-jaan se khush aamdeed

bahut bahut shukriya aapka.jazakallah.

Allah kare keh aap ab baaqaae'dagee se Hasb-e-saabiqah tashreef late raheeN aor is Anjuman kee raonaq aor afaadiyat meN iZ^aafah farmate raheeN. Aameen!

insha allah.

Aap kee t^arHee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee.

zahay naseeb.

kiya kehne wohee masaae'il-e-taSawwuf wohee rangeenee-e-kheyaal wohee mazhabee sha'aaor-o-insaan daostee aor maojoodah daor kee hosh rubaa talkhiyooN kee daastaaN jo qareeb qareeb aaj sabhee kaa ijtema'aaee masa'lah hai. aap kee fikr ne baRee dilkash andaaz-o-peraae meN nooraanee pekar meN Dhal kar zindagee aor ikhlaaqee masaae'l kee raah hamwaar karne kee koshish kee hai. aap ne mufakkiraanah fikr aor jazbaatee selaab se kaam lete huwe Ghazal ke medaan meN jo HaseeN aor iSlaaHee tajrube kiye haiN woh hameshah yaad rakhe jaaeN ge.

muzaffar bhaaii...yeh tafeeqay ilaahi kay elaawa kuch bhi nahiN.allah(sbhnwt)jo chahta hai wohi karta hai.

GharaZ^ yeh lat^eef aor jaandaar tajrube kalam ko nae'ee aor der paa raoshanee a't^aa kar rahe haiN jis kaa acar kabhee Zaaei'l nah ho gaa.

insha allah.

meree jaanib se is baamaqSad-o-ta'meeree iqdaam par kheraaj-e-teHseen qubool keejiye.

bahut bahut shukriya aapka.

musalmaaN hooN mujhe laugoN kau tadpaana nahiN aata
zabaaN daykar zabaaN say apni phirjaana nahIN aata

Kiya kehne Waah waah Bohot khoob Waah! =D>
bahut bahut shukriya


hai farmaanay mohammed(sawaw)ahtiraamay rizq waajib hai
woh haiwaaN haiN jinheN tahzeeb say khaana nahiN aata

Bohot khoob Waah Waah! =D>
bahut bahut shukriya

mufakkir har zamaanay ka yahi kehta hua aaya
jahaaN deewaaanay hautay haiN wahaaN daana nahiN aata

Waah Waah!
bahut bahut shukriya

tarannum ka kabhie mohtaaj shaayir hau nahaiN sakta
nah kar afsaus aye shayir agar gaana nahiN aata

Bohot khoob Waah Wah! =D>
bahut bahut shukriya

koyee ustaad shayir aisa micra keh nahiN sakta
"samjhta hooN magar dunyaa kau samjhaana nahiN aaata"

Waah Waah Waah!
bahut bahut shukriya

bahaadur zulm kay aagay khaday haiN taan kar seena
woh buzdil haiN jinheN zaalim say takraana nahiN aata

Kiya kehne Waah Waah! =D>
bahut bahut shukriya

tu aulaaday nabi(sawaw) hai kehday is dunyaa say aye haamid
in haathoN kau kisee kay aagay phailaana nahiN aaata

Bohot khoob Waah Waah Waah! lajawaab maqt^a' hai Waah! =D>
bahut bahut shukriya .baraaye karam maqtay ki naye shakl zara dekhleN.

meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
bahut bahut shukriya.allah(sbhnwt)aap per rahmatoN ki baarish karay.aameen.
Wasalam
Muzaffar AHmad
aapka apna
haamid baaqari

Re: guzarish # 46 haamid baaqri

Posted: Mon Dec 01, 2008 5:36 am
by sbashwar
Mohtaram Haamid Baaqari Saheb
:salaam:

tarannum ka kabhie mohtaaj shaayir hau nahaiN sakta
nah kar afsaus aye shayir agar gaana nahiN aata

Wah bohat khoob. Ek umda ghazal kehne par meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: guzarish # 46 haamid baaqri

Posted: Wed Dec 03, 2008 2:50 pm
by haamidbaaqri
[quote="sbashwar"]Mohtaram Haamid Baaqari Saheb
:salaam:
wa alaikumussalaam
mohtaram salem bashwar sahib


tarannum ka kabhie mohtaaj shaayir hau nahaiN sakta
nah kar afsaus aye shayir agar gaana nahiN aata

Wah bohat khoob.

Ek umda ghazal kehne par meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

bahut bahut shukriya aapka.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqari

Re: guzarish # 46 haamid baaqri

Posted: Thu Dec 04, 2008 1:51 pm
by khozema husaini
baqri sahib
aadaab
aap ki ghazal padhi meri taraf se is khoobsoorat kalam ke liye Khuloos e dil se daad hazir hai qubool farmayen
Husaini

Re: guzarish # 46 haamid baaqri

Posted: Fri Dec 05, 2008 8:53 pm
by haamidbaaqri
[quote="khozema husaini"]baqri sahib
aadaab

Asalaam o alaikum
mohtaram husaini saahib

kaise haiN aap?


aap ki ghazal padhi meri taraf se is khoobsoorat kalam ke liye Khuloos e dil se daad hazir hai qubool farmayen


bahut bahut shukriya aapki purkhuloos daad ka.

jazakallah

mukhlis
haamid baaqari