Page 1 of 1

Guzarish#47 ke liye miSra' pesh-e-khidmat hai.

Posted: Sun Nov 30, 2008 8:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Arbaab-e-meHfil aor SaaHibaan-e-Zaoq aadaab-o-taslemaat!

GuZarish#47 1/12/08 ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai. jise kuliyaat-e-Maolana ASGhar Husain ASGhar GunDawi marHoom se muntakhib kiya geya hai. Aap 1884 ko pedah huwe aor 1936 ko daae'ee-e-ajal ko labbaek kaha. miSra'-e-t^arH mulaHiZ^ah keejiye.

"jo Gham huwa use Gham-e-janaaN bana diya"


Quwafi: AasaaN, janaaN, eemaaN, ZindaaN, e'SyaaN, GulsitaaN, insaaN waGhaerah.
radeef: bana diya.

Behr: Yeh beHr-e-MuZaaria' akhrab makfoof maqSoor MeHzoof hei. Iska vazn hei.

maaf'oolu…..faa'ilaatu…..maafaa'ee'lu…..faa'ilun
=/0/0/…../0//0/…..//0/0/…../0//0
= 22/…..212/…../22/…..212

Ijaazut: Ghair qaafiyah band miSra' ke aakhee rukn ko faa'ilun kii bajaaye faa'ilaat ista'maal karsakte heiN.

Ummeed ke aap sab t^ab' Aaazmayee farmaakar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

mutamannee-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan

Re: Guzarish47 -yaarab vo kyaa Thaa ham meiN k insaaN banaa diya

Posted: Wed Dec 03, 2008 5:31 pm
by PK Swami
Yaraan.e mehfil
aadaab.

jo gham huaa usse gham.e janaaN banaa diyaa - iss taraH par aik maamoolee see koshish aap
kee khidmat mein pesh hai. aap kee araa aur islaaH kaa intzaar hai.

dushwaariyoN ko dekhiye aasaaN banaa diyaa
jo gham huaa usse gham.e janaaN banaa diyaa

iss eztaraab.e shoq ke lazzat kee khair ho
haD se baRhaa to kufr ko emaaN banaa diyaa

teraa khayaal hai to salaamat hai zindgee
har daag.e dil ko tune gulistaaN banaa diyaa

dam bhar ko tere aks ne jaam.e sharaab meiN
kaif.e khudee meiN mast ko hairaaN banaa diyaa

umr.e daraaz paa ke bhee ham kuchh na paa sake
yaarab vo kyaa Thaa ham meiN k insaaN banaa diyaa

pazmurdaa dil kee aaNkh se zaahir Thee tishngee
kasb.e sukoon ko kis liye isiyaaaN banaa diyaa

naahaq sunaa ke khwaab meiN rudaad.e ranj.o.gham
zulfoN ko teri aur pareshaaN banaa diyaa


PK Swami

Re: Guzarish#47 ke liye miSra' pesh-e-khidmat hai.

Posted: Wed Dec 03, 2008 8:19 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Janaab P, K Sawami SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Ummeed hai baakheriyat hooN ge. GuZarish#47 mah-e-rawaN ke liye aap kee t^arhee Ghazal dekhee. jo nihayat pasand aaee. Aap ne AsGhar marHoom kee Zameen meN yeh Ghazal keh kar un kee rooH ko sukoon-o-qaraar se hamkinaar kiya ho gaa. kalam meN dilkash tarakeeb aor ista'aare bilashubah is baat kee daleel haiN keh Urdu zabaan-o-bayaan par aap kee qudrat baRhtee hee jaa rahee hai. Zameen agarcheh dushwaar hai. lekin aap baRee u'mdagee se apne nafees aor pur taGhazzul kheyaalaat ko Ghazal kaa jaamah pehnaya hai. jis ke liye meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

dushwaariyoN ko dekhiye aasaaN banaa diyaa
jo gham huaa usse gham.e janaaN banaa diyaa

Bohot khoob Waah Waah Waah! Kiya kehne! =D>

iss eztaraab.e shoq ke lazzat kee khair ho
haD se baRhaa to kufr ko emaaN banaa diyaa

Kiya kehne Waah Waah Waah! =D> eztaraab=iZ^t^iraab

teraa khayaal hai to salaamat hai zindgee
har daag.e dil ko tune gulistaaN banaa diyaa

Kiya kehne Waah Waah! =D>

dam bhar ko tere aks ne jaam.e sharaab meiN
kaif.e khudee meiN mast ko hairaaN banaa diyaa

Waah Waah! kiya baat hai.

umr.e daraaz paa ke bhee ham kuchh na paa sake
yaarab vo kyaa Thaa ham meiN k insaaN banaa diyaa

Waah!

pazmurdaa dil kee aaNkh se zaahir Thee tishngee
kasb.e sukoon ko kis liye isiyaaaN banaa diyaa

Waah!

naahaq sunaa ke khwaab meiN rudaad.e ranj.o.gham
zulfoN ko teri aur pareshaaN banaa diyaa

Kiya kehne Waah Waah!

Ummeed hai apne kalam se yooN hee mustafeed farmate raheeN ge.

Muzaffar :AHmad:

Re: Guzarish#47 ke liye miSra' pesh-e-khidmat hai.

Posted: Fri Dec 05, 2008 9:05 pm
by haamidbaaqri
aadab arz hai
mohtaram swaami saahib

aapki ghazal nazar nawaaz huee

hameN pasand ayee

daad qubool farmaayeN

MUKHLIS
HAAMID BAAQARI

Re: Guzarish#47 ke liye miSra' pesh-e-khidmat hai.

Posted: Sat Dec 06, 2008 3:18 am
by PK Swami
MoHtaram Muzaffar saheb
MoHtaram Baaqari saheb

aadaab.

hauslaa afzaaie kaa bohat bohat shukriya.


PK Swami

Re: Guzarish#47 ke liye miSra' pesh-e-khidmat hai.

Posted: Sat Dec 06, 2008 7:44 pm
by sbashwar
Mohtaram P. K. Swami Saheb
:salaam:

Sabse pehle main aapka behad mamnoon houn kaafi arse baad aapne bazm mein hazir huay hain. Main aapka dili isteqbal karta houn. Ummid hai aap hasb-e-sabqa apne kalaam se hamein nawazenge.


umr.e daraaz paa ke bhee ham kuchh na paa sake
yaarab vo kyaa Thaa ham meiN k insaaN banaa diyaa

Aapki ghazal bohat pasand aayee. Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayen.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: Guzarish#47 ke liye miSra' pesh-e-khidmat hai.

Posted: Mon Dec 08, 2008 3:33 pm
by PK Swami
MoHtaram Salem saheb
aadaab.

aap ko meri kaavish pasand aayee paRh kar achhaa lagaa.
hauslaa afzaaie kaa behad shukriyaa.

PK Swami