Eid ka din hai!
Posted: Mon Dec 08, 2008 5:27 pm
yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!
meree jaanib se tamaam arbaab-e-Anjuman ko dilee Eid Mubarak meree dua'aa hai keh khuda wand aap ko aesee hazaarooN Eidae'een se hamkinaar kare. Aameen! apnee aek naz^m pesh-e-khidmat hai. mulaHiZ^ah keejiye.
Eid Ka din hai!
Gul-e-muraad khilaao keh eid ka din hai!
reyaaZ^-e-dehr sajao keh eid ka din hai!
suNwaaro Gesu-e-hastee ko aaj jaaN de kar
koee to e'hd nibhaao keh eid ka din hai!
maiN jee raha hooN muHabbat meN khaak-e-paa ho kar
mujhe nah aaj uRaao keh eid ka din hai!
baRhe hee jatee kiyooN z^ulmat-e-shab-e-hijraaN
CharaaGh-e-raah jalao ke eid ka din hai!
rafu-e-Chaak-e-GareebaN kee fikr laazim hai
mujhe gale se lagao keh eid ka din hai!
t^uwaaf-e-kuchah-e-janaN kee a'z^mateeN taobah!
naSeeb apna jagao keh eid ka din hai!
nah beTho aaj ke din maekade meN tashnah lab
jigar kee payaas bujhao keh eid kaa din hai!
e'laaj-e-tangee-e-damaaN ko mere kaafee hai
wafaa ke deep jalao keh e'id ka din hai!
mujhe e'zeez haiN lamHaat-e-talkhee-e-daoraaN
nah mujh peh ashk bahao keh e'id kaa din hai!
maiN khu geya hooN hajoom-e-jahaN meN ae AHmad!
khudara DhoonD ke lao keh e'id kaa din hai!
Muzaffar :AHmad: Muzaffar