Page 1 of 1
SOHAIL AKHTAR HASHMI KI GHAZAL....SAJHASHMI
Posted: Thu Dec 11, 2008 9:55 am
by sajhashmi
SOHAIL AKHTAR HASHMI KI AIK TAZAH GHAZAL HAMAR EINTIKHAAB AAP KI BASARATOUN KI NAZR
APNI RAIYEY CE NAWAZEIN AAINDAH BHI UNN KA KALAM HASIL KIYA JAIYE GA:
SYED ANWER JAWAID HASHMI
11-12-2008]
Re: SOHAIL AKHTAR HASHMI KI GHAZAL....SAJHASHMI
Posted: Thu Dec 11, 2008 12:01 pm
by Ehtesham Anwar
Janab Syed Anwer Jawaid Hashmi Shb Aadab
Aap ki yeh ada bohut pasand aaii k aap apni Takhleeqat k saath Ehbaab
khuSoSan achchay SukhanwarouN ka Kalam bhi Urdu kay forums per paish
ker rahey hein.Aap ki kushadah dili ka eis ce baRa Suboot kiya hoga vernah
yehaN to Ham choo wa digarey neist koi kisi ko maanta nah gardnata
Aap ka shukriya k aik achchay Sukhanwar ka achcha kalam paish kiya aur
PaRhwaya
Ehtesham Anwer
Re: SOHAIL AKHTAR HASHMI KI GHAZAL....SAJHASHMI
Posted: Sun Dec 14, 2008 5:01 am
by sbashwar
Mohtaram Syed Anwar J. Hashmi Saheb
Aap ka inteqab kya kehne. Sohail Akhtar Hashmi Saheb ki ghazal bohat pasand aayee.
Bohat shukria inayat ka.
Aapka mukhlis
Salem Bashwar
Re: SOHAIL AKHTAR HASHMI KI GHAZAL....SAJHASHMI
Posted: Tue Dec 16, 2008 3:47 am
by sajhashmi
Janab Ehtesham Anwar,Janab Salem A Bashwar Walekum as Salam
Sohail Akhter Hashmi tek aap donouN sahebaan kay jazbaat pohnchadiyey gaiye heiN voh shukriya ada kertay heiN
Unn ki qiyamgah per mushairay ki report aur tasaveer anqareeb aap loag dekh sakeiN gay
Ghazal ki paishkash ki pasandeedgi ka bhi shukriya
Syed Anwer Jawaid Hahmi
16-12-2008
Re: SOHAIL AKHTAR HASHMI KI GHAZAL....SAJHASHMI
Posted: Fri Dec 19, 2008 6:29 am
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram S.A.J Hashmi Saaheb,
Bohat hi shaandaar ghazal "share" kii aapne. Sohail Akhtar Hashmi Saheb ko Mubarakbaad.
Lekin main aapse ek Guzaarish karoonga keh... aap Mohtaram Sohail Akhtar Hashmi Saaheb ko bhi hamare "Urdu-Bandhan" ke bandhan se baandh diziye. Unse kahiye keh hum SAB unki aamad ka be-chaini se intezaar kar rahe hain........
Aakhir kab tak hum aapko "zehmat" dete rahenge. Aap unki ghazal "share" karenge... Hum apni baat aapse kahenge aur aap un baatoN ko phir unse "share" karenge...... aur phir wohh jo jawaab denge.. unko aap humse "share" karenge...... aakhir yeh "share" kab tak?????
Ummeed hai meri baatoN ka bura nahin maanenge aur Sohail Bhai Saaheb ko Bandhan ka member banne ka mashworah jaroor denge.
Aur haan mujhe puri ghazal main yeh sher bhaa gaya............
Mehfil main dushmanoN se bhi Taareef jab suno
Samjho Sitamgarii ke Tareeque badal gaye
Aapka apna,
Munir Armaan
Re: SOHAIL AKHTAR HASHMI KI GHAZAL....SAJHASHMI
Posted: Fri Dec 19, 2008 10:10 am
by sajhashmi
BHAI MUNIR ARMAN NASEEMI MUJHEY TO AAP CE SHARE KER KAY ITINA HI MAJA AATA HEY JITNAY SHARES AAP NE APNEY TABCIREY MEIN SHARE KIYEY HEIN BAAT JABB HO SHAIRI KI YA SHAIR KI TO SHARE TO KARENGAY NAAN BHAI! SOHAIL AKHTER HASHMI ADVOCATE FROM 0800 AM TO 10.00 PM BUSY REHTEY HEIN UNN KO 25-30 SAAL BAAD DOBARAH AAMADAH KIYA GAYA TO VOH MASHGHOOL E SUKHAN HOGAIYE KABHI KISI MUSHAIREY MEIN MEIN UNHEY LEGAYA YA APNEY GHAR PER UNHOUN NE NASHIST KII TO LOAG EHBAAB UNN KO SUNN LETAY HEIN VOH SHOHRAT CE BEGANA PUBLIC RELATIONING CE DOOR REHNAY VALEY SIRF SHAIR HEIN AGER UNN KO MEIN NEY URDUBANDHAN KAY BANDHAN CE BAQOL AAPKEY BANDH BHI DIYA TO ZIMMAYDARI TO MERI HI RAHEY GII ISSLIYEY EISI PER IKTIFA KEJIYEY!
GHAZAL KI PASANDEEDGI PER HAMM DONOUN AAP KEY MAMNOON HEIN
MA` ASSALAM WA AL EHTIRAAM
SYED ANWER JAWAID HASHMI
19-12-2008
=D>