"is haseeN duniya meiN"taza tarhi ghazal peshay khidmat hai
Posted: Thu Dec 11, 2008 11:01 pm
Assalaaam o alaikum
dosto
taza tarhi ghazal hum aapki bacaaratoN ki nazr kar rahay haiN
gar qubool uftad zahay....
arz kiya hai.....
humnay islam say seekha hai 'ebaadat karna
'ishqay moula meiN har ik banday ki khidmat karna
is haseeN duniya meiN jee karkay shareefoN ki tarah
hum musalmaanoN ko hai 'aam sharaafat karna
haaji bankar bhi jau insaan nahiN ban paaye
unka baykaar hua hajjo ziyaarat karna
dekho zaahir nah karo 'ayb kisee kay warna
humkau pahunchayega dauzakh meiN yeh gheebat karna
kat bhi sakti hai zabaaN 'ishq meiN tere moula
" itna aasaaN bhi nahiN tujh say mohabbat karna"
odhkar sham o sahar humkau libaasay taqwa
apnay in qadmoN kau hai baicay barkat karna
jau haiN naamard wohi maangtay phirtay haiN jahez
hai bajaa aisaoN peh haamid tira l'aanat karna
nateejaye fikr
haamid baaqri
al hamdulilah