Page 1 of 1

Rukhsat hotey Saal ki Aakhri saa`teiN..SAJHashmi

Posted: Fri Dec 19, 2008 9:58 pm
by sajhashmi
Aadab o tasleemat!
2008 tezi ce guzargaya hameiN to 17th December,2008 kay hadicay meiN apni Taang kay zakhmouN ne saheb e farash hi rakha tahem waqai waqt bohut tezi ce guzra
Merhoom Shair Dr:Yousuf Jawaid Jaypuri ka shair yaad aaya:
HEY WAQT RAWAN GHOOMTEY PERKAR KI MANAND
THEHRAY TO KUCH ANDAZAH E RAFTAR KIYA JAIYE
APNI GHAZAL RUKHSAT HOTEY SAAL 2008 KI AAKHRI SAAT`OUN MEIN KAHI GAI EHBAAB URDU BANDHAN KI NAZR:

Dill laganey ki hey tadbeer koii
Eishq kernay ki hey ta`aZeer koii

Hamm giraftar e a`na ho bhi chuke
zulf bann pai nah zanjeer koii

Hamm ne di hey tumheiN rukhSet lay lo
Ghamm nahiN dill nahiN jageer koii

Hijr hi hijrr her eik gaam miley
Yeh mohabbat ki hey tafceer koii

Keh to sekta hey kahani dill ki
Bann nahiN sekta herr eik Mir koii

Eishq kerne ka saleeqa nah raha
Koii Ranjha nah yehaN heer koii

Dill k aangan meiN utertay taaro
Khwab jesi bhi hey tabeer koii!

Tumm sazawaar e mohabbat nah rahey
HASHMI hogaii taqceer koii?

Syed Anwer Jawaid Hashmi 20-12-2008

Re: Rukhsat hotey Saal ki Aakhri saa`teiN..SAJHashmi

Posted: Sun Dec 21, 2008 5:27 pm
by munir-armaan-nasimi
Hai hai... kya sher keh di Hashmi Saaheb...

Dill ke Aangan Main Utertey Taaro
Khwaab Jaisi bhi Hai Tabeer Koyii???

Masha'Allah... mujhe ye sher itna pasand aaya keh jee chaahta hai yeh sher churaa loon :lol:

Meri taraf se Dher saari Daad... Qobool karein.

Aur haan yeh aapke per ko kya hooa... EK Taang ya Dono Taang???

Dua-go,

Armaan

Re: Rukhsat hotey Saal ki Aakhri saa`teiN..SAJHashmi

Posted: Sun Dec 21, 2008 10:52 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram S. Hashami SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Ummeed hai baakheriyat hooN ge. Ghazal a't^aa farmane ke liye nihayat mamnoon hooN. Dr.Yousuf Jawaid Jaypuri ka she'er apnee jagah dil khench geya. aor aap kee Ghazal ne alag se maza diya kiya kehne mashAllah is Ghazal par jitnee bhee daad dee jae so kam ho gee. meree jaanib se is Ghazal kee eejaad par mubarak baad qubool keejiye.

17th December, 2008 kay Hadicah meiN apni Taang kay zakhmouN kee baabat aap ne likha hai. jis ka mujhe dilee Sadmah huwa hai. Allah aap ko Sehat-e-kaamilah se nawaze. Aameen! apnee Sehat ka barah meN ab aagah keejiye gaa keh ab kiya kaefiyat hai?

Dill laganey ki hey tadbeer koii
Eishq kernay ki hey ta`aZeer koii

Waah Waah!

Hamm giraftar e a`na ho bhi chuke
zulf bann pai nah zanjeer koii

Waah!

Hamm ne di hey tumheiN rukhSet lay lo
Ghamm nahiN dill nahiN jageer koii

Kiya kehne Waah! Bohot khoob!

Hijr hi hijrr her eik gaam miley
Yeh mohabbat ki hey tafceer koii

Kiya kehne! Waah!

Keh to sekta hey kahani dill ki
Bann nahiN sekta herr eik Mir koii

Waah Waah!

Eishq kerne ka saleeqa nah raha
Koii Ranjha nah yehaN heer koii

Bohot khoob!

Dill k aangan meiN utertay taaro
Khwab jesi bhi hey tabeer koii!

Kiya kehne Waah Waah!

Tumm sazawaar e mohabbat nah rahey
HASHMI hogaii taqceer koii?

Kiya baat hai Waah!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: Rukhsat hotey Saal ki Aakhri saa`teiN..SAJHashmi

Posted: Mon Dec 22, 2008 6:03 am
by sbashwar
Mohtaram Syed Anwar J. hashmi Saheb
:salaam:

Aapne apne hadca aur zakmaon ka zikr kiya hai. BaRi fik rahi. Allah aapko jald mukammil sehat-yab kare, :ameen:
Apni sehat ka khaas khalal rakhein.

In haalat mein bhi aapne ek achchi ghazal se hamein nawaza hai jiske liye main bohat hi mamnoon houn.
Meri dili daad aur mukarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar