Page 1 of 1

jo Gham huwa use Gham-e-janaaN bana diya!

Posted: Sat Dec 20, 2008 1:20 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Arbaab-e-meHfil aor SaaHibaan-e-Zaoq Aadaab-o-tasleemaat!

GuZarish#41 ke liye apne chand asha'aar le kar maojood-e-khidmat hooN. ummeed hai pasand farma kar shukriyah ada karne kaa maoqa' faraham kareeN ge. aor apnee qeematee aara' se bhee nawazeeN ge. inshAllah!

Ghazal

1,
Dil ko Qateel-e-jalwah-e-janaaN bana diya!
Shaam-e-alam ko SubH-e-darakhshaaN bana diya!

2,
likh kar SaHeefah Gham ka lahu meN Dubo diya
khun-e-jigar ko Zeenat-e-u'nwaaN bana diya!

3,
Ab eHteyaat^ kee koee Surat naheeN rahee
Qalb-e-HaZeeN ko shua'lah badamaaN bana diya!

4,
WeeraaN rakhaa nah ka'bah-e-dil ko tumhareY ba'ad
ek but taraash kar use yaZdaaN bana diya!

5,
kuch is adaa se yaar tabassum fishaaN huwaa
SeHraa ko pal meN rashk-e-GulistaaN bana diya!

6,
aeY Qaes! mujh ko paas-e-junooN hai isee liye
"jo Gham huwaa use Gham-e-janaaN bana diya"

7,
:AHmad: jigar figaar ne pee kar Zeher ke ghooNT
seenah tamaam Ganj-e-shaheedaaN bana diya!

Muzaffar :AHmad: Muzaffar

Re: jo Gham huwa use Gham-e-janaaN bana diya!

Posted: Mon Dec 22, 2008 5:44 am
by sbashwar
Mohtaram Muzaffar Ahmad Muzaffar Saheb
:salaam:


Dil ko Qateel-e-jalwah-e-janaaN bana diya!
Shaam-e-alam ko SubH-e-darakhshaaN bana diya!

Wah

2,
likh kar SaHeefah Gham ka lahu meN Dubo diya
khun-e-jigar ko Zeenat-e-u'nwaaN bana diya!

Kya kehne, bohat achcha sheir hai.

3,
Ab eHteyaat^ kee koee Surat naheeN rahee
Qalb-e-HaZeeN ko shua'lah badamaaN bana diya!

Bohat khoob kahhi. wah.

4,
WeeraaN rakhaa nah ka'bah-e-dil ko tumhareY ba'ad
ek but taraash kar use yaZdaaN bana diya!

wah

5,
kuch is adaa se yaar tabassum fishaaN huwaa
SeHraa ko pal meN rashk-e-GulistaaN bana diya!

Bohat achcha sheir hai.

6,
aeY Qaes! mujh ko paas-e-junooN hai isee liye
"jo Gham huwaa use Gham-e-janaaN bana diya"

Wah

7,
:AHmad: jigar figaar ne pee kar Zeher ke ghooNT
seenah tamaam Ganj-e-shaheedaaN bana diya!

Wah wah.

Ek umdah ghazal inayat karne par meri dili daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: jo Gham huwa use Gham-e-janaaN bana diya!

Posted: Tue Dec 23, 2008 4:50 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sbashwar wrote:Mohtaram Muzaffar Ahmad Muzaffar Saheb
:salaam:


Dil ko Qateel-e-jalwah-e-janaaN bana diya!
Shaam-e-alam ko SubH-e-darakhshaaN bana diya!

Wah

2,
likh kar SaHeefah Gham ka lahu meN Dubo diya
khun-e-jigar ko Zeenat-e-u'nwaaN bana diya!

Kya kehne, bohat achcha sheir hai.

3,
Ab eHteyaat^ kee koee Surat naheeN rahee
Qalb-e-HaZeeN ko shua'lah badamaaN bana diya!

Bohat khoob kahhi. wah.

4,
WeeraaN rakhaa nah ka'bah-e-dil ko tumhareY ba'ad
ek but taraash kar use yaZdaaN bana diya!

wah

5,
kuch is adaa se yaar tabassum fishaaN huwaa
SeHraa ko pal meN rashk-e-GulistaaN bana diya!

Bohat achcha sheir hai.

6,
aeY Qaes! mujh ko paas-e-junooN hai isee liye
"jo Gham huwaa use Gham-e-janaaN bana diya"

Wah

7,
:AHmad: jigar figaar ne pee kar Zeher ke ghooNT
seenah tamaam Ganj-e-shaheedaaN bana diya!

Wah wah.

Ek umdah ghazal inayat karne par meri dili daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

mohtaram Biradaram janaab S, Bashwar SaaHib aadaab!

Ummeed hai kheriyat se hooN ge. maiN aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN keh aap ne bandah ke kalam par raae'e dete huwe. nah Sirf khuloS-o-murawwat kaa muz^aahirah kiya. balkeh daad-o-taoSeef se nawaza aor himmat bhee baRhaee. mujhe ummeed hai keh aap isee t^arH apnee Urdu nawaazee ka cuboot faraham karte huwe daad-o-mashwarah se nawaazte raheeN ge. aor yooN meHfil ko shaad-o-aabaad rakhne ke liye maSroof-e-kaar raheeN ge. inshAllah!

Muzaffar AHmad Muzaffar

Re: jo Gham huwa use Gham-e-janaaN bana diya!

Posted: Wed Dec 24, 2008 10:00 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
Arbaab-e-meHfil aor SaaHibaan-e-Zaoq Aadaab-o-tasleemaat!

GuZarish#41 ke liye apne chand asha'aar le kar maojood-e-khidmat hooN. ummeed hai pasand farma kar shukriyah ada karne kaa maoqa' faraham kareeN ge. aor apnee qeematee aara' se bhee nawazeeN ge. inshAllah!

Ghazal

1,
Dil ko Qateel-e-jalwah-e-janaaN bana diya!
Shaam-e-alam ko SubH-e-darakhshaaN bana diya!

2,
likh kar SaHeefah Gham ka lahu meN Dubo diya
khun-e-jigar ko Zeenat-e-u'nwaaN bana diya!

3,
Ab eHteyaat^ kee koee Surat naheeN rahee
Qalb-e-HaZeeN ko shua'lah badamaaN bana diya!

4,
WeeraaN rakhaa nah ka'bah-e-dil ko tumhareY ba'ad
ek but taraash kar use yaZdaaN bana diya!

5,
kuch is adaa se yaar tabassum fishaaN huwaa
SeHraa ko pal meN rashk-e-GulistaaN bana diya!

6,
aeY Qaes! mujh ko paas-e-junooN hai isee liye
"jo Gham huwaa use Gham-e-janaaN bana diya"

7,
:AHmad: jigar figaar ne pee kar Zeher ke ghooNT
seenah tamaam Ganj-e-shaheedaaN bana diya!

Muzaffar :AHmad: Muzaffar
Asslaam o alaikum
muzaffar bhaaii sahib

umeed hai keh aap khairiyat se honge.

maahay rawaaN ke micre per aapki ghazal bahut hi umdah hai

hameN bahut pasand aayee.

is dilkash ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN. =D>

allah(sbhnwt) kare zore qalam aur ziyaadah.

aapka apna
haamid baaqari