Page 1 of 1

yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

Posted: Mon Dec 22, 2008 6:38 am
by afzalshah
ahbaab ki nazr aik aor ghzal umeed hay pasand aaigi
raay ka muntazir
afzal shah

ye zindagi azal say hi dushwaar thi so hay
jaisay ye aik jaadah-e-pur khaar thi so hay

iski ko'ee dawa hi nahiN charagar kay paas
yaani hamaari saoch jo biimaar thi so hay

nafrat ki aag nay hamain barbaad kar diya
ulfat jo iss say bar'sar-e-paikaar thi so hay

yoN to usay maiN diakh chuka hooN hazaar baar
laikin jo dil meN khaahish-e-diidaar thi so hay

dunya meN aish-o-ishrat-o-daolat ki aarzoo
insaaniyat ki raah meN diwaar thi so hay

gulshan meN jaa ke bhi mujhay AFZAL mila nah chain
dil par jo aik yoorish-e-aazaar thi so hay
AFZAL SHAH

Re: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

Posted: Tue Dec 23, 2008 6:56 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram AfZ^al Shah SaaHib aadaab!

Aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. kiya kehne lut^f aageya. har har Harf se Saadaa-e-naalah shewan sunaee de rahee. jo Gham in sut^oor meN bayaN nah ho sakaa. woh baen-ul-sut^oor se aashkaar hai. meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

ye zindagi azal say hi dushwaar thi so hay
jaisay ye aik jaadah-e-pur khaar thi so hay

Waah Waah!

iski ko'ee dawa hi nahiN charagar kay paas
yaani hamaari saoch jo biimaar thi so hay

Waah Waah!

nafrat ki aag nay hamain barbaad kar diya
ulfat jo iss say bar'sar-e-paikaar thi so hay

Waah!

yoN to usay maiN diakh chuka hooN hazaar baar
laikin jo dil meN khaahish-e-diidaar thi so hay

Kiya kehne Waah Waah Bohot khoob! =D>

dunya meN aish-o-ishrat-o-daolat ki aarzoo
insaaniyat ki raah meN diwaar thi so hay

Bohot khoob! Waah Wah! =D>

gulshan meN jaa ke bhi mujhay AFZAL mila nah chain
dil par jo aik yoorish-e-aazaar thi so hay

Waah Waah!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

Posted: Wed Dec 24, 2008 3:34 pm
by munir-armaan-nasimi
dunya meN aish-o-ishrat-o-daolat ki aarzoo
insaaniyat ki raah meN diwaar thi so hay

Masha'Allah....

Mohtaram Afzal Shah Saaheb... kya khoon ghazal pesh kii hai aap ne... dil o nazar dono ghayaal ho gaye... mandarza bala sher mujhe behad pasand aaya.

Allah kare aap roz roz aisi pyari pyari ghazal hum se share karte rahein aur Urdubandhan ka me'yaar badhaate rahein.

Aameen.

Re: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

Posted: Fri Dec 26, 2008 11:32 pm
by afzalshah
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram AfZ^al Shah SaaHib aadaab!

Aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. kiya kehne lut^f aageya. har har Harf se Saadaa-e-naalah shewan sunaee de rahee. jo Gham in sut^oor meN bayaN nah ho sakaa. woh baen-ul-sut^oor se aashkaar hai. meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

ye zindagi azal say hi dushwaar thi so hay
jaisay ye aik jaadah-e-pur khaar thi so hay

Waah Waah!

iski ko'ee dawa hi nahiN charagar kay paas
yaani hamaari saoch jo biimaar thi so hay

Waah Waah!

nafrat ki aag nay hamain barbaad kar diya
ulfat jo iss say bar'sar-e-paikaar thi so hay

Waah!

yoN to usay maiN diakh chuka hooN hazaar baar
laikin jo dil meN khaahish-e-diidaar thi so hay

Kiya kehne Waah Waah Bohot khoob! =D>

dunya meN aish-o-ishrat-o-daolat ki aarzoo
insaaniyat ki raah meN diwaar thi so hay

Bohot khoob! Waah Wah! =D>

gulshan meN jaa ke bhi mujhay AFZAL mila nah chain
dil par jo aik yoorish-e-aazaar thi so hay

Waah Waah!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar




janaab muzzaffar ahmad muzzaffar sahib
taslimaat!

aap nay kalaam ko pasand kia aor mujh aisay ahqar kay kalaam ko jo paziraa'ee di dar'asl aap nay meray haosaloN ko baland kia jis say mujh maiN aik na'ee tahreek paidah hu'ee
daad marhamat farmaaanay ka bohut shukria
umeed hay apni giraaN qadr raa'ey say bhi nawaazeNgay
niaaz'mand
afzal shah

Re: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

Posted: Fri Dec 26, 2008 11:37 pm
by afzalshah
munir-armaan-nasimi wrote:dunya meN aish-o-ishrat-o-daolat ki aarzoo
insaaniyat ki raah meN diwaar thi so hay

Masha'Allah....

Mohtaram Afzal Shah Saaheb... kya khoon ghazal pesh kii hai aap ne... dil o nazar dono ghayaal ho gaye... mandarza bala sher mujhe behad pasand aaya.

Allah kare aap roz roz aisi pyari pyari ghazal hum se share karte rahein aur Urdubandhan ka me'yaar badhaate rahein.

Aameen.



janaab munir armaan nasimi sahib

adaab!

bohut shukria daad marhamat farmaanay ka

pasand farmaanay ka

umeed hay aaindah is karam kay saath saath apni qimati raa'ey say bhi nawaazeN gay

khair'andaish
afzal shah

Re: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

Posted: Sat Dec 27, 2008 6:48 am
by sbashwar
Mohtaram Afzal Shah Saheb
:salaam:

dunya meN aish-o-ishrat-o-daolat ki aarzoo
insaaniyat ki raah meN diwaar thi so hay

Kya kehne. Bohat khoob. Aapki ye ghazal ko bar bar paRhne ko ji chahta hai. Bohat hi umda ghazal kahi aapne.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

Posted: Tue Jan 06, 2009 10:12 pm
by afzalshah
sbashwar wrote:Mohtaram Afzal Shah Saheb
:salaam:

dunya meN aish-o-ishrat-o-daolat ki aarzoo
insaaniyat ki raah meN diwaar thi so hay

Kya kehne. Bohat khoob. Aapki ye ghazal ko bar bar paRhne ko ji chahta hai. Bohat hi umda ghazal kahi aapne.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

muhtaram salem bashwar sahib !

adaab!

daad-o-tehseen kay phool niChaawar karnay ka bohut bohut shukria

umeed hay keh aa'endah bhi karam farmaa;eNgay

naiz raa'e bhi marhamat farmaa'eNgay

ahqar
afzal shah