ek Ghazal
Posted: Thu Dec 25, 2008 7:20 pm
yaaraan-e-Anjuman: aadaab!
ek muddat ke ba'd ek nayee (aur apne a'am raNg se alag!) Ghazal laayaa hooN. is ko paRh kar yaqeena" aap ke Zehn meN sawaalaat aaYeN ge. guzaarish hai keh apnee raaYe se aagaah farmaaYeN. shukriyah!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
------------------------
dil ko yooN behlaa rakkhaa hai
dard kaa naam dawaa rakkhaa hai!
aa,o pyaar kee baateN kar leN
in baatoN meN kyaa rakkhaa hai?
apne dil meN dekho pehle
tum ne Khud ko chhupaa rakkhaa hai
karnaa hai to kaam karo kuchh
naam meN warnah kyaa rakkhaa hai?
aur bhee kuchh hai pyaare! baaqee?
kaun saa z^ulm uThaa rakkhaa hai?
jhilmil jhilmil karte aaNsoo
jaise ek diyaa rakkhaa hai!
a'ql ne apnee majbooree kaa
thak kar naam Khudaa rakkhaa hai!
raah-e-wafaa ke har kaaNTe par
dard kaa ik qat^rah rakkhaa hai!
ab aaYe to kyaa aaYe ho?
aah! yahaaN ab kyaa rakkhaa hai?
meree Soorat dekhte kyaa ho?
saamne aa,eenah rakkhaa hai!
:Sarwar: kuchh to muNh se bolo
yeh kyaa rog lagaa rakkhaa hai?
=====================
ek muddat ke ba'd ek nayee (aur apne a'am raNg se alag!) Ghazal laayaa hooN. is ko paRh kar yaqeena" aap ke Zehn meN sawaalaat aaYeN ge. guzaarish hai keh apnee raaYe se aagaah farmaaYeN. shukriyah!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
------------------------
dil ko yooN behlaa rakkhaa hai
dard kaa naam dawaa rakkhaa hai!
aa,o pyaar kee baateN kar leN
in baatoN meN kyaa rakkhaa hai?
apne dil meN dekho pehle
tum ne Khud ko chhupaa rakkhaa hai
karnaa hai to kaam karo kuchh
naam meN warnah kyaa rakkhaa hai?
aur bhee kuchh hai pyaare! baaqee?
kaun saa z^ulm uThaa rakkhaa hai?
jhilmil jhilmil karte aaNsoo
jaise ek diyaa rakkhaa hai!
a'ql ne apnee majbooree kaa
thak kar naam Khudaa rakkhaa hai!
raah-e-wafaa ke har kaaNTe par
dard kaa ik qat^rah rakkhaa hai!
ab aaYe to kyaa aaYe ho?
aah! yahaaN ab kyaa rakkhaa hai?
meree Soorat dekhte kyaa ho?
saamne aa,eenah rakkhaa hai!
:Sarwar: kuchh to muNh se bolo
yeh kyaa rog lagaa rakkhaa hai?
=====================