Page 1 of 1
Ek Ghazal - Firaq Gorakhpuri ki Nazr...!!
Posted: Sat Dec 27, 2008 8:16 am
by munir-armaan-nasimi
Pyare Dosto aur Saathiyo,
Salaam o Rehmat aur Naya Saal Mubarak !!
Ek taza ghazal... Firaq Gorakhpuri ki Nazr.. aapki khidmat main pesh hai. Pasand aaye to apni aara se nawazein.
Khuda Haafiz,
Aapka apna,
Munir Armaan Nasimi
- Ghazal-FiraqNazr2.jpg (114.34 KiB) Viewed 155 times
Re: Ek Ghazal - Firaq Gorakhpuri ki Nazr...!!
Posted: Sat Dec 27, 2008 2:09 pm
by aabarqi
منیر ارمان نسیمی کی یہ غزل ان کے ذوق سلیم،رنگ تغزل،فکری اور فنی بصیرت اور شعری محاسن کی غماز ھے۔خیالات کا تسلسل ان کے تبحر زبان اورقادرالکلامی کا واضح ثبوت ھے۔اشعار حدیث دلبری کے ساتھ ساتھ حکایت روزگار کے بھی حامل
ھیں- -خیالات میں گہرائی بھی ھے اور گیرائی بھی-انداز بیاں آب رواں کی طرح رواں ،شیریں، گوش نواز اور دلفریب ھے۔
غزل کا مجموعی تاثر قابل تحسین و ستایش ھے-
ڈاکٹر احمد علی برقی اعظمی
Re: Ek Ghazal - Firaq Gorakhpuri ki Nazr...!!
Posted: Sat Dec 27, 2008 2:52 pm
by sbashwar
Aziz-e-man Munir Mian
Kya kehne. Ye rang aapka bohat achcha laga. Ghazal bohat pasand aayee.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Mukhlis
Salem Bashwar
Re: Ek Ghazal - Firaq Gorakhpuri ki Nazr...!!
Posted: Sat Dec 27, 2008 3:38 pm
by munir-armaan-nasimi
aabarqi wrote:منیر ارمان نسیمی کی یہ غزل ان کے ذوق سلیم،رنگ تغزل،فکری اور فنی بصیرت اور شعری محاسن کی غماز ھے۔خیالات کا تسلسل ان کے تبحر زبان اورقادرالکلامی کا واضح ثبوت ھے۔اشعار حدیث دلبری کے ساتھ ساتھ حکایت روزگار کے بھی حامل
ھیں- -خیالات میں گہرائی بھی ھے اور گیرائی بھی-انداز بیاں آب رواں کی طرح رواں ،شیریں، گوش نواز اور دلفریب ھے۔
غزل کا مجموعی تاثر قابل تحسین و ستایش ھے-
ڈاکٹر احمد علی برقی اعظمی
Mohtarmee o Mukarramee Janab Barqii Saaheb,
Aapki zarra nawaazi ka intehaayi mamnoon o mashkoor hoon. Aap zarre ko sitaara bana rahe hain. Main sach keh raha hoon keh mujhe shairi ki Aleef Be bhi theek tarah nahin maaloom. Bas aap jaise mohsin aur mushaffiq ahbaab ka saath hai keh.. jo keh deta hoon usko saja sanwaar dete hain aur wohh Ghazal ban jaati hai.
Sarwar Sir ka bhi ehsaan mand hoon keh unki rehnumai bohat kaam aa rahi hai.
DuaoN main yaad rakhkhein.
Aapka apna,
Munir Armaan
Re: Ek Ghazal - Firaq Gorakhpuri ki Nazr...!!
Posted: Sat Dec 27, 2008 3:53 pm
by munir-armaan-nasimi
sbashwar wrote:Aziz-e-man Munir Mian
Kya kehne. Ye rang aapka bohat achcha laga. Ghazal bohat pasand aayee.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Mukhlis
Salem Bashwar
Bhai Salem Bashwar Saaheb.. Bas karein... sirf Aziz-e-man se hi kaam chal jaayega (m.a.n = munir armaan nasimi) uske baad "Mian" mat lagayiye keh mujhe sharm aati hai
Socha... keh kuch alag kehne ki koshish karoon... kiya... aapko pasand aaya... Shukriyaa !!
Muklis,
Munir Armaan