Page 1 of 1
نظم : بتقریب جشن ولادت مرزا غالب
Posted: Sun Dec 28, 2008 11:05 am
by aabarqi
نظم : بتقریب جشن ولادت مرزا غالب
Re: نظم : بتقریب جشن ولادت مرزا غالب
Posted: Mon Dec 29, 2008 4:52 pm
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram Dr. A.A.Barqi Saaheb,
Aisa lagta hai... Chachaa Ghalib.. ab Durre-Yateem ho chuke hain. Aapki be-misaal nazm ko kisi ne......... kya ho gaya hai hamare Adab-aashna DostoN ko??? Jidhar dekhiye udhar "Groupism".... Log achchi takhleequat ki Qadr nahin kar rahe hain... bohat Dukh hota hai... aisi baatoN se.
27 December ko kis ne yaad rakhkha hai Bhai. Log to Ghalib ko bhool chuke hain. Bahar haal, aapki kaavish qaabil-e-taareef hai. Aapke qalam main woh rawaani hai keh samandar bhi sharma jaaye.. Likhte rahiye bhai... aur hamein sunate rahiye... aapko padh kar bohat kuchh seekhne ko milta hai.
Merii taraf se DAAD qobool kiziye.
Aapka apna,
Munir Armaan
Re: نظم : بتقریب جشن ولادت مرزا غالب
Posted: Wed Dec 31, 2008 3:49 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram A. Barqi SaaHib aadaab!
janab Muneer SaaHib ne baRe khubSuratee se aap ke kalam ko pasand farmate huwe ka'ee dusre masaae'il kee t^araf bhee nishaan dahee kee hai. Allah kare keh ham aee naabGhah-e-roozgaar shaae'ir kee ahmiyat ko samajh sakeeN.
kalam par Muneer SaaHib ke tabSirah ke ba'd mazeed kuch kehne kee gunjaaei'sh naheeN rah gaee pas mubarak baad par hee iktefaa karooN ga.
Wassalam
Muzffar A Muzaffar