Page 1 of 1
"ek aafat hai yeh jawaani bhi"taza tarhi ghazal aapkay hawaa
Posted: Sun Dec 28, 2008 9:36 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto
hum apni taaza tarhi ghazal aapki bacaaratoN ki nazr kar rahay haiN.
gar qubool uftad zahay....
arz kiya hai......
jaavedaani bhi aur faani bhi
kya 'ajab shaye hai zindagaani bhi
cheen layta hai zindagi akcar
baadaloN say barasta paani bhi
naujawaaN aaj ka yeh kahta hai
ek aafat hai yeh jawaani bhi
maana 'aurat khuda ki rahmat hai
nah bujhay pyaas aisa paani bhi
haq ki aaghaush jannati jhoola
"neend bhi raat bhi kahaani bhi"
apni haamid haseen guzri hai
zindagaani bhi aur jawaani bhi
nateejaye fikr
haamid baaqari
al hamdulillah
jaavedani:immortality
faani:mortality
Re: "ek aafat hai yeh jawaani bhi"taza tarhi ghazal aapkay hawaa
Posted: Wed Dec 31, 2008 3:54 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram H. Baqri SaaHib aadaab!
Aap ne nihayat dilkash aor rooHparwar kalam se nawaza hai. jis ke liye maiN aap kaa mamnoon hooN. sabhee asha'aar qaabil-e-Sad daad-o-taoSeef haiN. Allah kare zaor-e-qalam aor zeyaadah!
jaavedaani bhi aur faani bhi
kya 'ajab shaye hai zindagaani bhi
waah Waah!
cheen layta hai zindagi akcar
baadaloN say barasta paani bhi
Waah Waah!
naujawaaN aaj ka yeh kahta hai
ek aafat hai yeh jawaani bhi
Kiya kehne!
maana 'aurat khuda ki rahmat hai
nah bujhay pyaas aisa paani bhi
Waah!
haq ki aaghaush jannati jhoola
"neend bhi raat bhi kahaani bhi"
Waah khub girah lagaee hai.
apni haamid haseen guzri hai
zindagaani bhi aur jawaani bhi
Kya kehne Waah Waah! Bohot khoob!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Re: "ek aafat hai yeh jawaani bhi"taza tarhi ghazal aapkay hawaa
Posted: Mon Jan 12, 2009 8:15 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram H. Baqri SaaHib aadaab!
Assalaam o alaikum
muzaffar bhaaii sahib
kaise haiN aap?
hamaara pc kharaab tha isilye idhar kuch dinoN se hum net per nah aasake.jawaab meiN deri keliye hum muaazirat chaahtay haiN.
Aap ne nihayat dilkash aor rooHparwar kalam se nawaza hai. jis ke liye maiN aap kaa mamnoon hooN. sabhee asha'aar qaabil-e-Sad daad-o-taoSeef haiN. Allah kare zaor-e-qalam aor zeyaadah!
jaavedaani bhi aur faani bhi
kya 'ajab shaye hai zindagaani bhi
waah Waah!
cheen layta hai zindagi akcar
baadaloN say barasta paani bhi
Waah Waah!
naujawaaN aaj ka yeh kahta hai
ek aafat hai yeh jawaani bhi
Kiya kehne!
maana 'aurat khuda ki rahmat hai
nah bujhay pyaas aisa paani bhi
Waah!
haq ki aaghaush jannati jhoola
"neend bhi raat bhi kahaani bhi"
Waah khub girah lagaee hai.
apni haamid haseen guzri hai
zindagaani bhi aur jawaani bhi
Kya kehne Waah Waah! Bohot khoob!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
aapki musalsal hausalah afzaaye keliye hum aapke behad mamnoono mashkoor haiN.
allah(sbhnwt) aap per rahmatoN ki baarish kare.ameen
aapka apna
haamid baaqari
Re: "ek aafat hai yeh jawaani bhi"taza tarhi ghazal aapkay hawaa
Posted: Tue Jan 13, 2009 6:00 am
by BeeKay
Haqeeqat, haqeeqat,
Kahaani, kahaani,
BuRhaapa, buRhaapa,
Jawaani, jawaani!!! (na maloom)
bk