Page 1 of 1

A Ghazal by YUSUF JAMAL

Posted: Tue Dec 30, 2008 3:43 pm
by yusufjamal
SAARA BADAN HAI KHOON SE KION TAR USEY DIKHA
SHAH RAG KATI HAI JIS SE WOH NISHTAR USEY DIKHA

AAYEGI KAISE NEEND DIKHA WOH HUNAR USEY
PHIR USKE BAAD KHWAAB KO CHHUKAR USEY DIKHA

AANKHON SE APNE ASHK KE TAARON KO TOD KAR
SUKHI NADI KE DARD KA MANZAR USEY DIKHA

AAEY JO KOI SHISHE KA PAIKAR LIYE HUEY
TOO APNE DASTE SHAUK MEN PATTHAR USE DIKHA

SHAUK-E-SAFAR SAMUNDARON KA HAI TO PHIR NA KION
TOOFAN AABI DAAKUON KA DAR USEY DIKHA

DUKH SUKH JO DHOOP CHHAON KA EK KHEL HAI TO PHIR
SURAJ KE SAATH BADALON KE PAR USEY DIKHA

GIRYA KUNAN JO BAKHT PE APNE KOI MILEY
HAATHON ME LEKE APNA MUQADDAR USE DIKHA

POOCHE JO ZINDAGI KI HAQEEQAT KOI JAMAL
TO CHUTKIYON SE RET UDA KAR USEY DIKHA

Re: A Ghazal by YUSUF JAMAL

Posted: Tue Dec 30, 2008 4:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Yusuf jamal saaHib aadaab!

meHfil meN aap kee tashreef aawaree himmat afzaa aor khush kun hai. mamnoon hooN.
Aap kee yeh Ghazal jo dil ko Ghazal ke aek na'e aor munfarid usloob se aashnaa kar gaee bohot pasand aaee. meree jaanib se Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Ummeed hai apnee dilkash kalam se mustafeed farmate raheeN ge. inshAllah!

Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar