Page 1 of 1

طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن

Posted: Sat Jan 03, 2009 1:24 pm
by aabarqi
طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن

بشکریہ : منیر ارمان نسیمی
Ghazal-Woqatlbhikartehain.jpg
Ghazal-Woqatlbhikartehain.jpg (111.25 KiB) Viewed 987 times

Re: طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن

Posted: Sat Jan 03, 2009 4:56 pm
by munir-armaan-nasimi
WAAHH WAAHHH DR. BARQI SAAHEB... KYA KEHNE HAIN???

BADI KHUBSOORATI SE NIBHAYAA HAI AAPNE TARAHI MISRA KO....

Hum Aah bhi karte hain to Ho jaate hain Badnaam
Wohh Qatl bhi karte hain to Charchaa nahin hota;

aur aapka sher hai....

Naa-kardah Gunaahi ki sazaa miltee hai humko
Wohh Qatl bhi karte hain to Charchaa nahin hota;

Masha'Allah... bilkul "Teer" nishaane pe laga hai....

Aur aapki ghazal ka maqta' bhi mujhe behad pasand aaya...

Jo log hain Sabr-aazma Ahmad Ali Barqi
Unke liye kuchh Hausla farsa nahin hota

bilkul saheeh kaha aapne Barqii Saaheb... magar :lol:

Kahaan se Laaoun Sabr Hazarat-e-Ayyub Aye Saaqii
Kham aayega, Suraahi aayegi tab Jaam Aayegaa !!

=D>

aapka apna,

Munir Armaan

Re: طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن

Posted: Mon Jan 05, 2009 5:01 am
by sbashwar
Mohtaram Dr. Ahmed Ali Barqi Saheb
:salaam:

Fitrat ka amal koi bhi beja nahiN hota
hota na agar sar to ye sauda nahiN hota

Wah bohat khoob. ek umda ghazal kehne par meri daad aur mubarakbaad arz hai.

mukhlis
Salem Bashwar

Re: طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن

Posted: Mon Jan 05, 2009 2:06 pm
by aabarqi
Azizaan e Gerami
Aadaab O Tasleemaat

Aap sab hazraat ke husn e nazar ka shukriyah
Gardish e haalaat par meri ghazal hai tabserah

Hai ghazal is daur mein aainah e naqd o nazar
Tang hai Ahmad Ali Barqi sabhi ka qaafiah

Hain kahaan jo amn e aalam ke alambardar hain
Jis taraf bhi dekhiye Ghazah mein hai ek saneha
Khaksar

Ahmad Ali Barqi Azmi[/b

http://draabarqi.tripod.com

aabarqi.blogspot.com

Re: طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن

Posted: Thu Jan 08, 2009 2:26 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaam Dr, AHmad A'li Barqi SaaHib aadaab!

mah-e-rawaN ke liye aap kee Ghazal naz^ar afrooz huee. kiya kehne Waah! muddat ba'd aesee dilkas aor dilawaez Ghazal se lut^f andooz hone kaa maoqa' mila hai. sabhee asha'aar laai'q-e-daad haiN. nudrat-e-bayaN jo aap kaa khaaS HiSSah hai. bayaaN se Saaf z^aahir ho rahee hai. meree janib se Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiey.

mujhe ummeed hai keh aap yooN hee mushae'rah men tashreef la kar is raonaq baRhaate raheeN ge. aor yooN ham sab likhne walooN kee HaoSlah afzaee farmate raheeN ge. meree jaanib se is khubSurat aor hardila'zeez Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

khush raheN
wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar

Re: طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن

Posted: Mon Jan 12, 2009 9:20 pm
by haamidbaaqri
mohtaram dr ahmed ali barqi saahib
Assalam o alaikum

maahay rawaaN kay micray per aapki khoobsoorat ghazal nazar nawaaz huee.

hamaari dile daad qubool farmayeN

allah(sbhnwt) karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
hamid baaqari