Page 1 of 1

muHarramul Haraam k Hawaale se

Posted: Mon Jan 05, 2009 12:37 pm
by tahira Masood
Sabki khidmat maiN salaam

saaneHa-e- kerbalaa bhulaaey jaane waala waqia nahiN hai. is ki yaad her muslamaan k dil mai aik zaKhm ban ker rehti hai.

aik nehaayat aajizana koshish bayaad-e-shaadat-e-Hadhrat-e-Imaam Hussain Alihis alaam

aap sabki basaartoN ki nazr kerti hoN. Allah Ta'ala qabuul fermaaey.aameen

wassalam

Note:

moHteram maine isko theek ker diyaa hai


Re: muHarramul Haraam k Hawaale se

Posted: Tue Jan 06, 2009 7:35 am
by sbashwar
Mohtarama Tahira Masood Sahiba
:salaam:

photobucket Saudi Arab mein blocked hai.
Guzarish hai aap apni post link ke bajai raast attach karein taake Saudi Arab mein paRh sakein.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: muHarramul Haraam k Hawaale se

Posted: Tue Jan 06, 2009 10:51 pm
by afzalshah
tahira Masood wrote:Sabki khidmat maiN salaam

saaneHa-e- kerbalaa bhulaaey jaane waala waqia nahiN hai. is ki yaad her muslamaan k dil mai aik zaKhm ban ker rehti hai.

aik nehaayat aajizana koshish bayaad-e-shaadat-e-Hadhrat-e-Imaam Hussain Alihis alaam

aap sabki basaartoN ki nazr kerti hoN. Allah Ta'ala qabuul fermaaey.aameen

wassalam

Note:

moHteram maine isko theek ker diyaa hai

muhatarmah tahira masood sahibah adaab!
bohut khoob

kiya kehnay

ChoN'keh aapnay imaam-e-aali maqaaam [radhi allah ta'aalah anhu]ki mahabbat meN sarshaar ho kar manqabat kahi hay is liay fanni kharaabiyoN ko nazar'andaaz kiya ja sakta hay

dua'go
afzal shah

Re: muHarramul Haraam k Hawaale se

Posted: Wed Jan 07, 2009 4:58 am
by sbashwar
Mohtarama Tahira Masood Sahiba
:salaam:

Bohat hi umda apne koshish ki hai. Kalam pur asr hai. Allah aapke jazbaat ko qubool farmaye. :ameen:

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: muHarramul Haraam k Hawaale se

Posted: Fri Jan 09, 2009 8:35 pm
by tahira Masood
afzalshah wrote:

muhatarmah tahira masood sahibah adaab!
bohut khoob

kiya kehnay

ChoN'keh aapnay imaam-e-aali maqaaam [radhi allah ta'aalah anhu]ki mahabbat meN sarshaar ho kar manqabat kahi hay is liay fanni kharaabiyoN ko nazar'andaaz kiya ja sakta hay

dua'go
afzal shah
bohat bohat shukeriyah Afzal bha'ee

kalaam pasand krene aur isko seraahne k liye mamnon hoN

jehaaN per aap ko jhol nazar aa rehaa hai beraa-e-mehrbaani usko nishaandahi fermaa deiN

wassalam



Re: muHarramul Haraam k Hawaale se

Posted: Fri Jan 09, 2009 8:36 pm
by tahira Masood
sbashwar wrote:Mohtarama Tahira Masood Sahiba
:salaam:

Bohat hi umda apne koshish ki hai. Kalam pur asr hai. Allah aapke jazbaat ko qubool farmaye. :ameen:

Mukhlis
Salem Bashwar
Jazaakomulah Salem Bha'ee

is HauSlah afza'ee per muashakkir hoN