Page 1 of 1
guzeray huay saal
Posted: Fri Jan 09, 2009 9:14 pm
by tahira Masood
Guzere hue saal
Guzerte hue saal
meri ankhoN maiN kirchiyaaN bher rehe haiN
an ginatt lahuu lahuu manaaZir
phailti putliyan dubti siskiyaaN
chuT'te sehaare sulagte nazaare
kayaa kayaa feraamosh karoN?
Falastee? Iraaq?? Kashmir???
Nine eleven????
muzaffar gaRh kaa zalzilaa?????
Sunaami kaa Toofan???????
laal masjid kaa snehaa??????????????
aankhoN k lahuu rang jharokoN ko
band bhi ker loN tau
zehn k parde per yeh manaaZir
chalte hi rehte haiN
meri aankhoN maiN kirchiaan
bherte hi rehte haiN
guzre hue saal
guzerte hue saal
Re: guzeray huay saal
Posted: Sun Jan 11, 2009 7:50 am
by sbashwar
Mohtarama Tahira Masood Sahiba
Aapne har ba shaoor insaan ke jazbaat ki kamyaab tarjumani ki hai.
Mukhlis
Salem Bashwar
Re: guzeray huay saal
Posted: Thu Jan 15, 2009 12:57 pm
by ismail ajaz
tahira Masood wrote:Guzere hue saal
Guzerte hue saal
meri ankhoN maiN kirchiyaaN bher rehe haiN
an ginatt lahuu lahuu manaaZir
phailti putliyan dubti siskiyaaN
chuT'te sehaare sulagte nazaare
kayaa kayaa feraamosh karoN?
Falastee? Iraaq?? Kashmir???
Nine eleven????
muzaffar gaRh kaa zalzilaa?????
Sunaami kaa Toofan???????
laal masjid kaa snehaa??????????????
aankhoN k lahuu rang jharokoN ko
band bhi ker loN tau
zehn k parde per yeh manaaZir
chalte hi rehte haiN
meri aankhoN maiN kirchiaan
bherte hi rehte haiN
guzre hue saal
guzerte hue saal
"tahira Masood" SaHebah
qatra e aab se paththar meiN bhii chhed hote haiN
kaihte sunte rahe tow dil bhii pighal ja'aiN ge
(khayaal)
Re: guzeray huay saal
Posted: Thu Feb 05, 2009 12:54 pm
by tahira Masood
sbashwar wrote:Mohtarama Tahira Masood Sahiba
Aapne har ba shaoor insaan ke jazbaat ki kamyaab tarjumani ki hai.
Mukhlis
Salem Bashwar
Salem Saheb
Salaam
bohat bohat shukeryah
aap k in khoobSurat kalimaat k liye maiN beHad mamnoon hoN
khush rehaiN
wassalam
Re: guzeray huay saal
Posted: Thu Feb 05, 2009 12:57 pm
by tahira Masood
ismail ajaz wrote:tahira Masood wrote:Guzere hue saal
Guzerte hue saal
meri ankhoN maiN kirchiyaaN bher rehe haiN
an ginatt lahuu lahuu manaaZir
phailti putliyan dubti siskiyaaN
chuT'te sehaare sulagte nazaare
kayaa kayaa feraamosh karoN?
Falastee? Iraaq?? Kashmir???
Nine eleven????
muzaffar gaRh kaa zalzilaa?????
Sunaami kaa Toofan???????
laal masjid kaa snehaa??????????????
aankhoN k lahuu rang jharokoN ko
band bhi ker loN tau
zehn k parde per yeh manaaZir
chalte hi rehte haiN
meri aankhoN maiN kirchiaan
bherte hi rehte haiN
guzre hue saal
guzerte hue saal
"tahira Masood" SaHebah
qatra e aab se paththar meiN bhii chhed hote haiN
kaihte sunte rahe tow dil bhii pighal ja'aiN ge
(khayaal)
jazaakomullah Ajaz SaHeb
be shakk aap ne SaHeeH fermaaya hai
yehi meraa naziryah hai
yeh bhi tau hai naa keh
dil se jo baat niklatee hai acar rakhti hai
khush reheiN!!!