Page 1 of 1
"aansooN"gaza kay hawalay say peshay khidmat hai
Posted: Mon Jan 12, 2009 9:23 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto
gaza kay hawaalay say hamaaray jazbaat mulaahiza farmayeN.
"aansooN"
kabhie rukjaatay haiN in palkauoN peh aakar aansooN
kabhie aankhoN say barastay haiN baraabar aansooN
aye musalmanoN zara daykho tau gaza ki taraf
woh madad maangtay hum say haiN bahaakar aansooN
nateejaye fikr
haamid baaqari
alhamdulillah
Re: "aansooN"gaza kay hawalay say peshay khidmat hai
Posted: Wed Jan 14, 2009 6:57 am
by sbashwar
Mohtaram Haamid Baaqri Saheb
Aapka kalaam har dard-mand dil rakhne walaun k jazbaat ki tarjumani kar rahe hain.
Meri sab se guzarish hai k kasrat se duayeN karein.
Re: "aansooN"gaza kay hawalay say peshay khidmat hai
Posted: Fri Jan 16, 2009 12:52 pm
by tahira Masood
haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto
gaza kay hawaalay say hamaaray jazbaat mulaahiza farmayeN.
"aansooN"
kabhie rukjaatay haiN in palkauoN peh aakar aansooN
kabhie aankhoN say barastay haiN baraabar aansooN
aye musalmanoN zara daykho tau gaza ki taraf
woh madad maangtay hum say haiN bahaakar aansooN
nateejaye fikr
haamid baaqari
alhamdulillah
Hamid bha'ee
salaam
ap k jazbaat her muslamaan dil ki akaasi kerte ahin
Allah Ta'alaa hamare in muslmaan bhaaiyoN per reHam fermaaey.aameen
aur aap ki yeh koshihs qabuul fermaaey sumaa aameen
wassalam
Re: "aansooN"gaza kay hawalay say peshay khidmat hai
Posted: Sat Jan 17, 2009 4:01 pm
by ismail ajaz
haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto
gaza kay hawaalay say hamaaray jazbaat mulaahiza farmayeN.
"aansooN"
kabhie rukjaatay haiN in palkauoN peh aakar aansooN
kabhie aankhoN say barastay haiN baraabar aansooN
aye musalmanoN zara daykho tau gaza ki taraf
woh madad maangtay hum say haiN bahaakar aansooN
nateejaye fikr
haamid baaqari
alhamdulillah
moHtaram janaab haamid baaqari SaHab
inn khoobSoorat aur Hassaas ash'aar ko hum tak pohNcha kar ek lamHe ke liye humaarii soch o khayaalaat ka rukh maujoodah Soorat e Haal kii jaanib moR dene par bhar poor daad aur bohot bohot shukriyah o dilee mubaarakbaad,waqt ka taqaazah yehii hai ke hum apne dil ke phapholoN ke saath saath Haalaat ka bhii ja'ezaah lete raheiN,aaj humeiN phir se IQBAL kii zaroorat hai.
aap kii tawajjoh ka taalib
Ismail ajaz khayaal
Re: "aansooN"gaza kay hawalay say peshay khidmat hai
Posted: Sat Jan 24, 2009 6:42 am
by haamidbaaqri
sbashwar wrote:Mohtaram Haamid Baaqri Saheb
wa alaikumussalaam
saliem bashwar saahib
Aapka kalaam har dard-mand dil rakhne walaun k jazbaat ki tarjumani kar rahe hain.
aik adnah si kaushish hai saliem saahib
Meri sab se guzarish hai k kasrat se duayeN karein.
insha allah.
aapka apna
haamid
Re: "aansooN"gaza kay hawalay say peshay khidmat hai
Posted: Sat Jan 24, 2009 6:44 am
by haamidbaaqri
Hamid bha'ee
salaam
wa alaikumussalaam
tahira behan
ap k jazbaat her muslamaan dil ki akaasi kerte ahin
Allah Ta'alaa hamare in muslmaan bhaaiyoN per reHam fermaaey.aameen
aameen summa aameen
aur aap ki yeh koshihs qabuul fermaaey sumaa aameen
ilaahi aameen
jazakallah
aapka bhaaii
haamid baaqari
Re: "aansooN"gaza kay hawalay say peshay khidmat hai
Posted: Sat Jan 24, 2009 6:47 am
by haamidbaaqri
moHtaram janaab haamid baaqari SaHab
jee ...mohtaram ismail ajaz khayaal saahib
inn khoobSoorat aur Hassaas ash'aar ko hum tak pohNcha kar ek lamHe ke liye humaarii soch o khayaalaat ka rukh maujoodah Soorat e Haal kii jaanib moR dene par bhar poor daad aur bohot bohot shukriyah o dilee mubaarakbaad,
yeh humsabka fareezah hai ismail saahib.hausalah afzaayee ka shukriya.
waqt ka taqaazah yehii hai ke hum apne dil ke phapholoN ke saath saath Haalaat ka bhii ja'ezaah lete raheiN,aaj humeiN phir se IQBAL kii zaroorat hai.
aap bajaa farmaa rahe haiN.
aap kii tawajjoh ka taalib
Ismail ajaz khayaal
jazakallah
aapka apna
haamid baaqari