Haalaat e Haazira peh parindoN kii guftugu
Posted: Wed Jan 14, 2009 9:52 am
www.urdujahaan.com meiN post kii ga'ee nazm urdubandhan se bandhan baandhne ke liye tamaam aihl e bazm kii nazr
Haalaat e Haazira peh parindoN kii guftugu
ay suno !......................
humaara kaunsii dunya meiN abb baseraa hai
jahaaN peh chhaaya huwa har taraf andheraa hai
na rishta daariyaaN insaaN nibhaa rahaa hai kaheeN
na zimadaariyaaN apnii uThaa rahaa hai kaheeN
jise bhii dekho raah e faraar chaahta hai
nigaaheiN pher ke dil ka qaraar chaahta hai
hai khud numaa'ee,har ikk shakhS meiN banaawaT hai
freb o jhooT meiN kirdaar kii sajaawaT hai
kaheeN peh zindagii ka qatl e aam jaaree hai
kaheeN peh kaif o mastee suroor taarii hai
kaheeN peh bhook hai aflaas hai tabaahee hai
kaheeN peh ayesh hai,aur zeest tarz e shaahee hai
kisii ko faKhr hai Khud ke kafeel hone ka
kisee ko qalq hai kamtar zaleel hone ka
kaheeN peh zindagii be aabroo sisaktee hai
kaheen peh dekho tow Hayewaaniyat thiraktee hai
chalo hum apnii na'ee dunya ko basaa'aiN ge
aur apna aashiyaaN insaan se bachaa'aiN ge
ajab urooj hai inn ka ajeeb pastii hai
"khayaal" yeh dunya ! naheeN panchhiyoN kii bastii hai
Ismail ajaz khayaal