Page 1 of 1

::sar miraa raah-e-maHabbat meiN kaTaa hai to sahii ::

Posted: Fri Jan 23, 2009 4:43 am
by Star Mind
Yaaran-e-Anjuman, aadaab !

aaj muddatoN baa'd is KhoobSoorat Anjuman meiN apne tazaha tarahi kalaam ke saath Haazir hooN ! ummeed hai k apnii qeemati aaraa se navaazeN ge !
shukriya

:: Urdu Version ::
Image
:: Roman Version ::

1.

sar miraa raah-e-maHabbat meiN kaTaa hai to sahii
yeh bhi ik sheva-e-arbaab-e-vafaa hai to sahii !

2.

aek tofaan-e-ajal-dast uThaa hai to sahii
har koii maut ke paNje meiN phaNsaa hai to sahii !

3.

kheNch kar naaqa-e-ayyaam se maHmal apnaa
vaqt kii qaid se dil, chhooT gayaa hai to sahii !

4.

dekhiye kyaa ho ma'aal-e-dil-e-aavaarah-mizaaj
safar-e-shauq ka aaGhaaz hu'aa hai to sahii !

5.

aur kyaa cheez qiyaamat ki balaa hotii hai ?
jis taraf dekhiye haNgaamah-bapaa hai to sahii !

6.

aasmaaN aek nayaa raNg dikhaane ko hai
maiN ne soraj ki zabaanii yeh sunaa hai to sahii !

7.

i'shq ke haath lagaa hai na'i dunyaa ka suraaGh
aur maiN ne bhi qadam us meiN rakhaa hai to sahii !

8.

yuuN to pat-jhaR ne ujaaRaa hai gulistaaN saaraa
haaN magar, ik shajar-e-yaad haraa hai to sahii !

9.

yeh alag baat ko'ii aah naheeN hoNToN par
i'shq ka kaaNTa mire dil meiN chubhaa hai to sahii !

10.

mustavii jis pe Khudaavand-e-jahaaN hai Zaalim !
aah-e-mazloom se voh a'rsh hilaa hai to sahii !

11.

meri faryaad ko Khaatir meiN na laane vaale !
mere naaloN se tiraa raNg uRaa hai to sahii !!

12.

aur kyaa chaahiye seene meiN ujaaloN keliye ?
dil meiN raushan Gham-e-insaaN ka diyaa hai to sahii !!

13.

tuu hi aataa naheeN ulfat-kadah-e-dil meiN mire
varna darvaaza maHabbat ka khulaa hai to sahii !

14.

maiN ne pochha jo maqaam apna dil-e-jaanaaN meiN
yeh javaab aaya k thoRii si jagah hai to sahii !

15.

kaun kehtaa hai tire dar se mujhe kuchh na milaa ?
aek pathhar mire daaman meiN giraa hai to sahii !

16.

be-sabab shor zamaane meiN kahaaN machtaa hai ?
Haadicah ko'i mire dil meiN hu'aa hai to sahii !

17.

jab se chhaayaa hai mirii rooH peh Bolan ka raNg
mehki mehki mire seene ki fazaa hai to sahii !

18.

har musalmaan ki deRh eeNt ki masjid hai alag
deen bhii seNkRoN tukRoN meiN baTaa hai to sahii !

19.

i'shq meiN jaan luTaane ki Khushii meiN yaaro !
bar-sar-e-daar :Zia: naGhma-saraa hai to sahii !

................................................................................................

shukriya

Zia Baloch

Re: ::sar miraa raah-e-maHabbat meiN kaTaa hai to sahii ::

Posted: Fri Jan 23, 2009 2:29 pm
by sbashwar
Mohtaram Zia Baloch Saheb
:salaam:

har musalmaan ki deRh eeNt ki masjid hai alag
deen bhii seNkRoN tukRoN meiN baTaa hai to sahii !

Kaise hain aap? Kafi muddat baad apne ek khoobsurat ghazal se nawaza hai.
Ghazal ka har sheir pasand ayaa.
Merid daad aur mubarakbaad qubool farmayen.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: ::sar miraa raah-e-maHabbat meiN kaTaa hai to sahii ::

Posted: Mon Jan 26, 2009 5:43 am
by Star Mind
sbashwar wrote:Mohtaram Zia Baloch Saheb
:salaam:

har musalmaan ki deRh eeNt ki masjid hai alag
deen bhii seNkRoN tukRoN meiN baTaa hai to sahii !

Kaise hain aap? Kafi muddat baad apne ek khoobsurat ghazal se nawaza hai.
Ghazal ka har sheir pasand ayaa.
Merid daad aur mubarakbaad qubool farmayen.

Mukhlis
Salem Bashwar
moHtarami Saleem SaaHib, w/salaam

bas Allah ka karam hai , ummeed hai k aap bhii ba-Khair hoN ge !

zindagii bahut tez raftaar ho ga'ii hai ! aur phir net par bhii meHfiloN ki ta'daad bahut baRh ga'ii hai , is liye aane meiN der ho hi jaatii hai ! go k Urdu bandhan ba-nisbat dosrii bazmoN ko ziyaadah qadeem hai aur maiN bhii chooNkeh is bazm ka puraana member hoN , so mujhe yahaaN ziyaada vaqt guzaarnaa chaahiye ! maiN koshish karooN gaa k kisii Had tak is kamii ko door karoN !

daad ke liye tah-e-dil se mamnoon hooN ! shukriya

Zia Baloch