غزل: جب مرے سامنے تیرا رخ زیبا ھوگا

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

غزل: جب مرے سامنے تیرا رخ زیبا ھوگا

Post by aabarqi »

GHAZAL
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Jab mere samne tera rukh e zeba hoga
Tab kaheen ja ke shab e gham ka savera hoga

Hai mera khanah e dil Tere liye chashm baraah
Tu na aayega agar kaise guzara hoga

Kis tarah mere guzarte hain shab o roz na pooch
Hoga mahsoos tujhe jab kabhi tanha hoga

Gulbadan ,ghuncha dahan,zohra jabeen, jaan e ghazal
Kitna purkaif o haseen tera nazara hoga

Hai teri jalwah gah e naaz o ada hosh ruba
Sochta hoon main sarapa tera kaisa hoga

Hai mujhe josh e junoon mein bhi tera paas o lehaaz
Tu ho ruswa yeh mujhe kaise gawaara hoga

Yeh teri zulf e girahgeer hai gharatgar e hosh
Tujh ko mashshatah e fitrat ne sanwara hoga

Tera jana hai khezaan aur tera aana hai bahaar
Tu na hoga to yeh bekaif nazara hoga

Teri tasveer e tasawur hai nehayat purkaif
Hoga kya rubaru jab bhi tera jalwa hoga

Laya yeh soz e duroon rang bilaakhir Barqi
Ab tere samne woh husn e dilaara hoga
[/b]
Ghazal-Hoga-Desgn.jpg
Ghazal-Hoga-Desgn.jpg (138.51 KiB) Viewed 104 times
http://www.drbarqiazmi.com
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: غزل: جب مرے سامنے تیرا رخ زیبا ھوگا

Post by munir-armaan-nasimi »

Kis tarah mere guzarte hain shab o roz na pooch
Hoga mahsoos tujhe jab kabhi tanha hoga

Wah wah Dr.Saaheb kya baat hai... puri ghazal main ek ajeeb si mausequiyat rachi basi hai jo padhne main maza deta hai.....

Urdubandhan aapka apna forum hai.. isi tarah aate rahiye aur apnee takhleequat se nawazte rahiye.

Shukriyaa.
Post Reply