"voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota"...by FarHan
Posted: Sat Jan 31, 2009 7:34 pm
Salaam o RaHmat,,,
Apni tazah tareen tarahi ghazal aur takheer kay liye mA'ziart kay saath maiN HaZir hooN. ummid karta hooN k nazim.e.mushaira aur ahbaab darguzar say kaam leengaye.
takheer ka sabab yeh hai k main in dinoon main bahut hi maSroof raha.
ghazal
1]
hone ko zamane meiN bhala kiya nahin hota.
bas mayra hara naKHl.e.tamanna nahin hota.
2]
ik Harf.e.galat keh k maiN ruswa.e.jahaN hooN.
"voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota".
3]
kirdaar.e.muballiG meiN nahin rooH.e.MuHabbat,
bay.noor CHaraGaooN say ujaala nahin hota.
4]
nafrat kay Ewaz, uss ko muHabbat say nawazooN,
dushman ko mire yeh bhi gawara nahin hota.
5]
afsoos k badli na tirii fikr nay karwaT,
sooraj k nikalne say sawayra nahin hota.
6]
KHaka sa muHabbat ka hooN, QirTaas.e.azal per,
dukh hai k mukammal yo sarapa nahin hota.
7]
na.shukr.guzarooN ka yeh roona hai hamesha,
aisa nahin hota kabhi waisa nahin hota.
8]
lamHooN meiN utar jati haiN KHushboo ki naQaabeeN,
do pal ka muSaHib kabhi apna nahin hota.
9]
har ranG meiN dhoke hi diye zeest nay itne,
KHushiyooN pay kisi Tour bharosa nahin hota.
10]
ujRe hue logooN nay sunayii yeh kahanii,
bimaar.e.muHabbat kabhi achcha nahin hota.
11]
hum jis kay liye zeenat.e.maQtal hue FarHan!
voh paikar.e.maGhroor hamara nahin hota.
Talib.e.dua
FarHan Aziiz
Madinah Munawwarrah.