Page 1 of 1

Guzaarish#49: tarahi Ghazal

Posted: Tue Feb 03, 2009 1:51 pm
by musaafir
aadaab 'arz hai -

yeh Ghazal meri bahut hi puraani hai aur hamaare
shehr ke mush'aaire meiN isi Ghazal ka misr'a 1995 meiN
ba.taur-e-tarah diya gayaa tha, jis meiN naacheez ko bhi
shirkat ka mauq'a mila tha. lehaaza vohi Ghazal aap sab ki
Khidmat meiN yahaaN bhi pesh karne ki jurrat kar raha hooN,
gar qubool uftad.

=====================================
'ilaaj-e-Gham-e-laa.davaa chaahtaa hooN
maiN marham nayaa zaKhm kaa chaahtaa hooN

zamaane se 'ahd-e-vafaa chaahtaa hooN
vafaa kar rahaa hooN, vafaa chaahtaa hooN

maiN ik be.vafaa se vafaa chaahtaa hooN
"miree saadgi dekh, kyaa chaahtaa hooN" (1)

baRhaa jaata hai dard-e-dil is qadar ab
k. Khud hee se maiN faaslaa chaahtaa hooN

yeh maana sabhi dost haiN anjuman meiN,
magar koi dard.aashnaa chaahtaa hooN!

nadaamat mujhe kyoN ho apne kiye par?
gunahgaar hooN to sazaa chaahtaa hooN

yeh anjaam-e-ulfat! yeh naakaam hasrat!
mujhe kyaa milaa hai? maiN kyaa chaahtaa hooN!

muhabbat meiN go Khoon-e-dil hai musallam
na jaane kyoN raah-e-fanaa chaahtaa hooN

zamaana hai naaraaz kyoN mujhse, 'naadaaN'?
zamaane ka maiN kab buraa chaahtaa hooN?

(APRIL 30, 1995)

(1) Dr. "Iqbal"

=======================================

Re: Guzaarish#49: tarahi Ghazal

Posted: Sat Feb 07, 2009 4:18 pm
by farhan


Salaam o RaHmat,,,

Janaab Musafir ya Nadaan SaHib

{MaA'zairat khaw hoon k aap kay naam say waqif nahin hooN}

mayra manna hai k ghazal kabhi purani nahin hoti. haan aur baat k yeh bahut pehlay ki likhi hui ho.khair, aap ki ghazal k yeh shair mujhay khas tour per pasand aaya.

[yeh maana sabhi dost haiN anjuman meiN,
magar koi dard.aashnaa chaahtaa hooN! ]

daad o mubarak baad qabool kijeaga.


Talib.e.dua

FarHan Aziiz
Madinah Munawwarrah.

Re: Guzaarish#49: tarahi Ghazal

Posted: Thu Feb 12, 2009 5:30 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Musaafir SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

A'alami mushae'irah Guzarish#49 ke liye aap ke asha'aar taskeen-e-qalb-o-naz^ar kaa baai'c huwe. kalam meN dard-o-ranj kee ghulaawaT aor bandishooN kee sajaawaT ne lut^f pedah kar diya hai. aap ne apne maa feeiZZ^ameer ko baRe khubSurat aor dilkash andaaz meN baSurat-e-Ghazal pesh kar ke ehl-e-meHfil ke zaoq-e-saleem kaa bharpoor kheyaal rakhaa hai.

Ghazal ko Ghazal ke rawaayatee usloob ke saanche meN Dhaal kar pesh karna keh Ghazal jis meN e'shqiyah waardaat aor dilee kaefiyaat ke barjastah tajrubah kee khushbu aor mehk mehsoos kee jaa sake yahee aSal fan hai. kalam meN jadeed a'Sree sha'oor ke saath saath aap ne apnee takhleeqee salaHiyatooN par inhesaar kiya hai. aor yahee shaa'ir kee me'raaj-e-fan bhee hai.

=====================================
'ilaaj-e-Gham-e-laa.davaa chaahtaa hooN
maiN marham nayaa zaKhm kaa chaahtaa hooN

Waah!

zamaane se 'ahd-e-vafaa chaahtaa hooN
vafaa kar rahaa hooN, vafaa chaahtaa hooN

Kiya baat hai!

maiN ik be.vafaa se vafaa chaahtaa hooN
"miree saadgi dekh, kyaa chaahtaa hooN" (1)

Waah waah! Kiyakehne!

baRhaa jaata hai dard-e-dil is qadar ab
k. Khud hee se maiN faaslaa chaahtaa hooN

Waah!

yeh maana sabhi dost haiN anjuman meiN,
magar koi dard.aashnaa chaahtaa hooN!

Bohot khoob Waah Waah! =D>

nadaamat mujhe kyoN ho apne kiye par?
gunahgaar hooN to sazaa chaahtaa hooN

Waah!

yeh anjaam-e-ulfat! yeh naakaam hasrat!
mujhe kyaa milaa hai? maiN kyaa chaahtaa hooN!

Waah!

muhabbat meiN go Khoon-e-dil hai musallam
na jaane kyoN raah-e-fanaa chaahtaa hooN

Waah!

zamaana hai naaraaz kyoN mujhse, 'naadaaN'?
zamaane ka maiN kab buraa chaahtaa hooN?

Kiya baat hai Waah Waah! =D>

dua'aa hai keh Allah aap kee t^aba'-e-rawaaN ko mazeed rawaaN dawaaN rakhe aor baa eeN sabab aap kee jaanib se taazah taazah she'er sunne ko mileeN. meree jaanib se is khubSurat takhleeq par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
AHmad

Re: Guzaarish#49: tarahi Ghazal

Posted: Sun Feb 15, 2009 5:14 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Musaafir Sb

salaam a'laik

ek achhee or purkashish Ghazal par daad qubool farmaaeN

yeh maana sabhi dost haiN anjuman meiN,
magar koi dard.aashnaa chaahtaa hooN!

bhaut hee khoob hai yeh she'r waah waah

aap se pahlee baar mukhaat^ib ho rahaa hooN ummeed hai daad qubool farmaaeNge.

wassalaam

Khurshidul Hasan Naiyer

Re: Guzaarish#49: tarahi Ghazal

Posted: Sat Feb 21, 2009 3:53 pm
by musaafir
mohtaram 'Aziiz, Muzaffar aur Naiyer saahibaan -

vaqt ki qillat aur kaam ki masroofiyaat ki vajh se aaj tak javaab dene
se qaasir rahaa. aaj kuchch vaqt mila to fauran aap sab ki hausla.afzaai
aur pazeeraai ka shukriya kehna aa gayaa. aap sab ka bahut mamnoon.

naacheez.