Page 1 of 1
ghazal01
Posted: Tue Feb 03, 2009 11:21 pm
by dil ki majbori
is tarah se ishq maiN khud ko saza deta raha
bewafa ke shehr maiN dars e wafa deta raha
bekhabar basti ke baasi bekhabar sote rehe
chaandni raatooN maiN ik paagal sada deta raha
khud bhi jal jai gaa ik din ye khabar hote hoye
surkh angaarooN ko daaman se hawa deta raha
ratjagoN ke saath reh ker raat bhi achchi kaTi
nashsha e deedaar e jaanaN bhi maza deta raha
zindagi ki aazmaaish imtehaaN der imtehaaN
nemateN kia kia muje mera khuda deta raha
subh ke aasaar aise hi nazar aai nahi
jaan ka nazraana her roshan dia deta raha
mere khadd o khaal babar muj pe zaahir ker deye
zindagi bher aaine ko maiN dua deta raha
(faiz e alam babar)
Re: ghazal01
Posted: Sat Feb 07, 2009 4:16 pm
by farhan
dil ki majbori wrote:is tarah se ishq maiN khud ko saza deta raha
bewafa ke shehr maiN dars e wafa deta raha
bekhabar basti ke baasi bekhabar sote rehe
chaandni raatooN maiN ik paagal sada deta raha
khud bhi jal jai gaa ik din ye khabar hote hoye
surkh angaarooN ko daaman se hawa deta raha
ratjagoN ke saath reh ker raat bhi achchi kaTi
nashsha e deedaar e jaanaN bhi maza deta raha
zindagi ki aazmaaish imtehaaN der imtehaaN
nemateN kia kia muje mera khuda deta raha
subh ke aasaar aise hi nazar aai nahi
jaan ka nazraana her roshan dia deta raha
mere khadd o khaal babar muj pe zaahir ker deye
zindagi bher aaine ko maiN dua deta raha
(faiz e alam babar)
Salaam o RaHmat,,,
Janaab Faiz e Alam Babar
aap say ghaliban maiN pehli baar sharf.e.guftagoo hasil kar raha hooN.bal k maiN nay aap ko pehli baar hi paRha hai. bahut khoob ghazal kahi hai aap nay. mandarja zial ahsaar rawani, biyaan aur bunnat kay lehaaz say mujhay bahut pasand aaye. daad qabool kijeaga SaHib!
is tarah se ishq maiN khud ko saza deta raha
bewafa ke shehr maiN dars e wafa deta raha................bahut khoob!

chaandni raatooN maiN ik paagal sada deta raha.............waaaaah!
[khud bhi jal jai gaa ik din ye khabar hote hoye
surkh angaarooN ko daaman se hawa deta raha]
iss shair kay talluq say yeh arz karna chahta hoon k, {{angaara; aag ka gola: nihayat surkh: wagairah is kay maani haiN}},mical youN di jati hai, {{uss ki aankheen angaroon ki tarah surkh hogayeeN}}, kya "surkh angaare" kehna durst hoga?
jawab ka muntazir
FarHan Aziiz
Madinah Munawwarrah.
Re: ghazal01
Posted: Wed Feb 11, 2009 11:03 pm
by dil ki majbori
farhan wrote:dil ki majbori wrote:is tarah se ishq maiN khud ko saza deta raha

w/salam
daad aur ghalati ki nishaandahi per aap ka mashkoor hooN
wassalaam
babar