Page 1 of 1
طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن فروری2009
Posted: Fri Feb 06, 2009 6:09 pm
by aabarqi
طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن فروری2009
Re: طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن فروری2009
Posted: Sat Feb 07, 2009 6:09 am
by munir-armaan-nasimi
MASHA'ALLAH... GHAZAL MAIN AISI RAWAANI HAI KEH MAIN EK HI SAANS MAIN PURI GHAZAL PADH GAYA.. SHAYAD ISI KO HI "AAMAD" KEHTE HAIN.......
Bhai Aap to bas Aap hain, Aapka Jawaab Kya !!
Ek baat aapse poochni thee Dr. Saaheb keh.. yeh jo tarahi misra hai wohh Dr. Iqbal ki ghazal ka hai na?? Jis main ek misra yeh bhi hai "Meri Saadgi Dekh Kya Chaahta Hoon" ???
Agar haan to phir es misre pe kahin na kahin tarahi mushaira ho chuka hai aur mainne us-mein shirkat bhi kii hai. ab yaad nahin aa raha hai keh kahaan?
Baharhaal, Ghazal behad pyari, sunder aur "susheel" hai
Daad qobool kiziye.
Munir Armaan
Re: طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن فروری2009
Posted: Sun Feb 15, 2009 5:28 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram janaab barqee Sb
tasleemaat
yeh pur kaif teraa bayaan-e-taGhazzul
keh jaise laboN par khilaa rakkhaa hai gul
kahaaN aap ne sikhaa "Barqee" hunar yeh
rawanee yeh aisee yeh aisaa tasalsul
"Ghazal paRh ke yeh poochhnaa chaahtaa hooN"
khairaNdesh
aap kaa
Khurshidul Hasan Naiyer
Re: طرحی غزل برای مشاعرہ اردو بندھن فروری2009
Posted: Mon Feb 16, 2009 3:17 pm
by aabarqi
Khurshidul Hasan Naiyer wrote:muHtaram janaab barqee Sb
tasleemaat
yeh pur kaif teraa bayaan-e-taGhazzul
keh jaise laboN par khilaa rakkhaa hai gul
kahaaN aap ne sikhaa "Barqee" hunar yeh
rawanee yeh aisee yeh aisaa tasalsul
"Ghazal paRh ke yeh poochhnaa chaahtaa hooN"
khairaNdesh
aap kaa
Khurshidul Hasan Naiyer
محترم خورشید الحسن نیر صاحب
آداب
بتائوںمیں کیا آپ کو مشفق من
یہہ فیضان ھے والد محترم کا
میں جو کچہہ ھوں وہ ھے انھیں کا تصرف
اثر ھے انھیں کے یہ زور قلم کا
مخلص
احمد علی برقی اعظمی