Page 1 of 1

t^arHee Ghazal baraae,y guzarish #49

Posted: Tue Feb 10, 2009 5:35 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
shorkaae,y bazm

adaab

apnee adnaa see kaawish lekar HaaZir hooN

Ghazal

teraa bas teraa maiN huwaa chaahtaa hooN
"tere i'shq kee iNtehaa chhaabtaa hooN"

mae,o jaam naa mae,y kadah chaahtaa hooN
maiN saaqee ki bas ek adaa chaahtaa hooN

tamannaa ragoN meiN lahoo ban ke doaRe
jawaanoN mien woh HoaSlah chaahtaa hooN

maiN tashnah labee kee shikaayat se behtar
sharaab-e-khudee hee piyaa chaahtaa hooN

nah saaHil pah meree nigaaheN lagee haiN
nah iHsaaN tereaa naakhudaa chaahtaa hooN

sitam gar meraa har sitam par kahe hai
jafaa kar rahaa hooN wafaa chaahtaa hooN

ho parwaaz ooNchee magar ghar nah bhoolooN
pariNdoN se yeh seekhnaa chaagtaa hooN

muHabbat kee kashtee hai baHr-e-kherad meiN
junooN maiN tumhaaree dua'aa chaahtaa hooN

kamaNdeN sitaaroN pa DalloN magar maiN
qadam bar zameeN bhee Tikaa chaahtaa hooN

khafa haiN woh mujhse a'jab waaqa'h hai
kuchh aHbaab se yeh sunaa chaahtaa hooN

de "Naiyer" ko dard-o-muHabbat kee doalat
nah kuchh or iske siwaa chaahtaa hooN


Allah Hafiz^

Khurshidul Hasan Naiyer

Re: t^arHee Ghazal baraae,y guzarish #49

Posted: Wed Feb 11, 2009 4:30 pm
by ismail ajaz
Khurshidul Hasan Naiyer wrote:shorkaae,y bazm

adaab
apnee adnaa see kaawish lekar HaaZir hooN
Ghazal



masha Allah janaab "Khurshidul Hasan Naiyer" SaHab kya khoobSoorat kaihte haiN aap



teraa bas teraa maiN huwaa chaahtaa hooN
"tere i'shq kee iNtehaa chhaabtaa hooN"

wah wah SaHab bohot baRhiya kaha hai



tamannaa ragoN meiN lahoo ban ke doaRe
jawaanoN mien woh HoaSlah chaahtaa hooN


jawaab naheeN SaHab bohot aala



maiN tashnah labee kee shikaayat se behtar
sharaab-e-khudee hee piyaa chaahtaa hooN


agar zara sa yuN ho tow kaisa hai?
maiN tashnah labee kee shikaayat se behtar
sharaab-e-khudee ka mazaa chaahtaa hooN



nah saaHil pah meree nigaaheN lagee haiN
nah iHsaaN tereaa naakhudaa chaahtaa hooN


bohot khoob kya khuddaarii hai kya baat hai



sitam gar meraa har sitam par kahe hai
jafaa kar rahaa hooN wafaa chaahtaa hooN


isse bhii agar zara sa iss taraaH dekha ja'ay tow?
sitam gar meraa har sitam par kahe hai
jafaa kii jagah maiN wafaa chaahtaa hooN




ho parwaaz ooNchee magar ghar nah bhoolooN
pariNdoN se yeh seekhnaa chaagtaa hooN

itna khoobSoorat she'r SaHab jawaab naheeN =D>



muHabbat kee kashtee hai baHr-e-kherad meiN
junooN maiN tumhaaree dua'aa chaahtaa hooN

wah SaHab




kamaNdeN sitaaroN pa DalloN magar maiN
qadam bar zameeN bhee Tikaa chaahtaa hooN


achha hai matlab khud ko bhoolna bhee naheeN chaahte haiN aap bohot khoob
[-X


khafa haiN woh mujhse a'jab waaqa'h hai
kuchh aHbaab se yeh sunaa chaahtaa hooN

de "Naiyer" ko dard-o-muHabbat kee doalat
nah kuchh or iske siwaa chaahtaa hooN


Allah Hafiz^

Khurshidul Hasan Naiyer
[/center]

SaHab bhar poor daad Haazir hai

Ismail ajaz khayaal

Re: t^arHee Ghazal baraae,y guzarish #49

Posted: Sun Feb 15, 2009 5:04 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Janaab Khyaal Sb

tasleemaat

aap ke daad dene kaa andaaz, aisa hai keh aap akele kee daad pure aNjuman kee daad ma'loom hotee hai.

intahaae,i dili jazbaat ke saath aap kaa mashkoor hooN. Allah jazaa-e-khair a't^aae, framaae,y Ameen

niaazmaNd

Khurshidul Hasan Naiyer