Page 1 of 1

"tireY e'shq kee intehaa chahataa hooN"

Posted: Thu Feb 12, 2009 5:11 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaaraan-e-mehfil aadaab-o-taslemaat!

A'alami rawaaN mushae'irah rubah-e-u'rooj hai. qawee ummeed hai keh mazeed takhleeqaat bhee mushae'irah baae'ic-e-raonaq hooN gee. khaadim ne is zameen meN qabl is se teen a'dad GhazleeN kaheeN haiN. janaab-e-khurshid naiyyar SaaHib kaa kehna bhee bajaa hai. unhooN ne bhee qabl is se aek a'dad Ghazal yaheeN isee meHfil ke t^arhee mushae'rah meN a't^aa kee thee. jis kaa miSra' khaadim hee ne t^arH kiya thaa. miSra' rawaaN hai. asha'aar az khud naok-e-qalam par aajaate haiN. yahee kaefiyat deegar dostooN kee bhee ho gee. meree koshish rahe gee keh aae'indah aese hee rawaaN aor aasaan miSra'e t^arH kiye jaaeeN. taa zeyaadah se zeyaadah shua'rah shamil mushae'iah ho sakeeN.

in dinooN kaSee maSroofiyat ke baae'ic meHfil meN kam kam hee aana ho pata hai. inshAllah do chaar dinooN tak furSat ke raat din DhooND looN gaa. to khub guzre gee.

apnee aek Ghazal pesh-e-khidmat hai. mulaHiZ^ah keejiye.

Ghazal

Chaman ko bahaar Aashnaa chahataa hooN!
ada-e-khizaaN par miTaa chahataa hooN!

tiraa sang-e-dar choomnaa chahataa hooN!
nah kuch is se maiN maa siwaa chahataa hooN!

nah ho kuch khabar bazm-e-hastee kee mujh ko
muHabbat meN be khud huwaa chchataa hooN!

mireY sar peh hai Aaftaab-e-qeyaamat
terY GesuooN kee ghaTaa chahataa hooN!

jo barpaa kareY dil meN hangaam-e-meHshar
adaa-e-naz^ar fitnah zaa chahataa hooN!

koee jaa ke mereY maseeHaa se keh de
maiN Zakhm-e-jigar kee dawaa chahataa hooN!

jo Gharqaab hone se kashtee bachaa leY
maiN aesaa koee naa khudaa chahataa hooN!

ada ho jo naqsh-e-kaf-e-paa peh tereY
koee aesaa sajdah rawaa chahataa hooN!

nah ho Aadamee Aadamiyat kaa dushman
Zamane se bas yeh kaha chahataa hooN!

naheeN aa'tedaal-e-muHabbat gawaarah
"tireY e'shq kee intehaa chahataa hooN"

maiN muHtaaj hooN tereee reHmat kaa Yaarab!
nigaah-e-karam baarhaa chahataa hooN!

koee us ko :AHmad: yeh baawar karaaeY
use maiN bohot baa khudaa chahataa hooN!

Muzaffar :AHmad: Muzaffar

Re: "tireY e'shq kee intehaa chahataa hooN"

Posted: Fri Feb 13, 2009 7:52 am
by aabarqi
Ghazal yeh Muzaffar ki hai rooh parwar
Main aisi hi tarz e ada chahta hoon

Hai Rang e taghazzul Bahut khoobsoorat
jise har jagah dekhna chahta hoon

Mukhlis
aabarqi

Re: "tireY e'shq kee intehaa chahataa hooN"

Posted: Sun Feb 15, 2009 5:09 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:

Janaab muHtaram Muz^affar Sb

aap kee dilnasheen or purHusn Ghazal nazar nawaaz hue,i kiyaa hee ustaadanah andaaz hai aap kaa, alfaaz^ aap ke HuZoor dast bastaa khaRe naz^ar aate haiN,

ek purkaif Ghazal ke liye mujh nacheez kee daad qubool farmaaeN

t^alib-e-dua'aa

Khurshidul Hasan Naiyer

Re: "tireY e'shq kee intehaa chahataa hooN"

Posted: Sun Feb 22, 2009 7:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
aabarqi wrote:Ghazal yeh Muzaffar ki hai rooh parwar
Main aisi hi tarz e ada chahta hoon

Hai Rang e taghazzul Bahut khoobsoorat
jise har jagah dekhna chahta hoon

Mukhlis
aabarqi
moHtaram Biradaram Janaab AHmad A'li Barqi SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

yeh Husn-e-naz^ar aap ka Allah Allah!
mazaaq-e-sukhan par miTaa chahataa hooN!

mereY Haq meN ta'reef-o-taoSeef aesee!
keh har Harf ko choomnaa chahataa hooN!

rahe aap kaa daast-e-shafqat salaamat
adaa-e-karam par miTaa chahataa hooN!

yeh miSra' sanad hai mireY Haq meN :BarQi:
"maiN aesee hee t^arz-e-adaa chahataa hooN"*

mujh aeseY kee himmat baRhaa dee yeh keh kar
"jiseY har jagah dekhnaa chahataa hooN"*

chalaktaa rahe! :BarQi: jaam-e-e'naayat
zeyaadah maiN kab saaqiyaa chahataa hooN?

sharaab-e-tawajjah se makhmoor ho kar
Muzaffar zaraa jhoomnaa chahataa hooN!

* yeh donooN miSre'eY jaanb-e-Aaqaaee A'li AHmad BarQi SaaHib ke haiN.

Muzaffar A Muzaffar

"