Page 1 of 1

na shikwaa na ko'ee gilaah chaahta hooN (taraHee Ghazal)

Posted: Mon Feb 16, 2009 4:10 pm
by ismail ajaz
urdubandhan ke tamaam paRhne waaloN ko aadaab o tasleemaat,maiN paihlee baar aap aiHbaab kii Khidmat meiN apnee taraHee Ghazal ke saath iss ummeed ko le kar aaya hoon keh aap aiHbaab mujhe paRheiN ge bhii aur apnee qeemtii aaraa se bhii nawaazeiN ge (shukriyah)



na shikwah na ko'ee gilaah chaahta hooN
maiN tujh se kuchh aisa Silaah chaahta hooN
tu mujh se hii rooThe mujhee ko mana'ay
maiN tujh ko sabhee se judaa chaahta hooN

mujhe yeh patah hai keh tu bewafaa hai
maiN phir bhee tujhii se wafaa chaahta hooN
maiN dekhooN tujhe dow ghaRee !aur jee looN
meree saadgee dekh kya chaahta hooN

maiN tujh se judaa phir kabhee ho na paa'ooN
na dooree na kuchh faaSlaa chaahta hooN
tu chaahe mujhe aur Khud ko bhulaa de
"tire ishq kii intehaa chaahta hooN "

mire dil kii dhaRkan tu jaan e jigar hai
tire dil meiN apnee jagah chaahta hooN
tu mera "khayaal" aur meree Ghazal hai
tujhe sunnaa kaihnaa sadaa chaahta hooN

Ismail ajaz khayaal

Re: na shikwaa na ko'ee gilaah chaahta hooN (taraHee Ghazal)

Posted: Tue Feb 17, 2009 3:59 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Janaab Isma'ail Kheyaal saaHib aadaab-o-tasleemaat! :-)

meHfil-e-mushae'rah meN aap kee shirkat ke liye dil-o-jaan se mamnoon hooN. aap kee aamad se Aa'alami mushae'rah ko chaar chaand lag gae haiN. mujhe ummed hai keh aap yooN apne aa'laa takhleeqee SalaHiyatooN kaa lohaa manwaate huwe meHil ko yooN hee aabaad-o-shaadaab rakhne meN apna aham kirdaar ada kareN ge. inshAllah!

Aap kee Ghazal be Had pasand aaee. sabhee asha'aar dilkash haiN. khubSurat kheyaal ne Ghazal ke asha'aar ko purlut^f kar diya hai. us par saadagee-e-bayaan ne bhee khub rang bakheraa hai. meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

na shikwah na ko'ee gilaah chaahta hooN
maiN tujh se kuchh aisa Silaah chaahta hooN
tu mujh se hii rooThe mujhee ko mana'ay
maiN tujh ko sabhee se judaa chaahta hooN

Waah Waah!

mujhe yeh patah hai keh tu bewafaa hai
maiN phir bhee tujhii se wafaa chaahta hooN
maiN dekhooN tujhe dow ghaRee !aur jee looN
meree saadgee dekh kya chaahta hooN

Kiya kehne!

maiN tujh se judaa phir kabhee ho na paa'ooN
na dooree na kuchh faaSlaa chaahta hooN
tu chaahe mujhe aur Khud ko bhulaa de
"tire ishq kii intehaa chaahta hooN "

Waah Waah!

mire dil kii dhaRkan tu jaan e jigar hai
tire dil meiN apnee jagah chaahta hooN
tu mera "khayaal" aur meree Ghazal hai
tujhe sunnaa kaihnaa sadaa chaahta hooN

Bohot khoob!

Wassalam
AHmad

Re: na shikwaa na ko'ee gilaah chaahta hooN (taraHee Ghazal)

Posted: Wed Feb 18, 2009 2:11 pm
by ismail ajaz
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Janaab Isma'ail Kheyaal saaHib aadaab-o-tasleemaat! :-)

meHfil-e-mushae'rah meN aap kee shirkat ke liye dil-o-jaan se mamnoon hooN. aap kee aamad se Aa'alami mushae'rah ko chaar chaand lag gae haiN. mujhe ummed hai keh aap yooN apne aa'laa takhleeqee SalaHiyatooN kaa lohaa manwaate huwe meHil ko yooN hee aabaad-o-shaadaab rakhne meN apna aham kirdaar ada kareN ge. inshAllah!

Aap kee Ghazal be Had pasand aaee. sabhee asha'aar dilkash haiN. khubSurat kheyaal ne Ghazal ke asha'aar ko purlut^f kar diya hai. us par saadagee-e-bayaan ne bhee khub rang bakheraa hai. meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

na shikwah na ko'ee gilaah chaahta hooN
maiN tujh se kuchh aisa Silaah chaahta hooN
tu mujh se hii rooThe mujhee ko mana'ay
maiN tujh ko sabhee se judaa chaahta hooN

Waah Waah!

mujhe yeh patah hai keh tu bewafaa hai
maiN phir bhee tujhii se wafaa chaahta hooN
maiN dekhooN tujhe dow ghaRee !aur jee looN
meree saadgee dekh kya chaahta hooN

Kiya kehne!

maiN tujh se judaa phir kabhee ho na paa'ooN
na dooree na kuchh faaSlaa chaahta hooN
tu chaahe mujhe aur Khud ko bhulaa de
"tire ishq kii intehaa chaahta hooN "

Waah Waah!

mire dil kii dhaRkan tu jaan e jigar hai
tire dil meiN apnee jagah chaahta hooN
tu mera "khayaal" aur meree Ghazal hai
tujhe sunnaa kaihnaa sadaa chaahta hooN

Bohot khoob!

Wassalam
AHmad
moHtaram janaab Muzaffar Ahmad Muzaffar SaHab

assalaam o alaikum

aap kii bhar poor daad ne dheroN himmatoN ko yakja kiya aur aa'indah bhii shirkat karne ka HuaSla baRhaaya.maiN aap ka beHad mamnoon hooN,mujhe aap kii bazm ne izzatoN se nawaaza.

ek baar phir main urdubandhan ke tamaam paRhe waaloN ka shukriyah ada karooN ga keh aap ne mujhe izzat baKhshee

mamnoon

Ismail ajaz khayaal