Page 1 of 1

dil ko yooN behlaa rakkhaa hai

Posted: Tue Feb 17, 2009 6:14 pm
by Sarwar A. Raz
GHAZAL

dil ko yooN behlaa rakkhaa hai
dard kaa naam dawaa rakkhaa hai

aa,o pyaar kee baateN kar leN
in baatoN meN kyaa rakkhaa hai?

aur bhee ho kuchh baaqee pyaar?
kaun saa z^ulm uThaa rakkhaa hai?

jhilmil, jhilmil kartee aaNkheN
jaise ek diyaa rakkhaa hai

a'ql ne apnee majbooree kaa
thak kar naam Khudaa rakkhaa hai!

raah-e-wafaa ke har kaaNTe par
dard kaa ik qat^rah rakkhaa hai

ab aaYe to kyaa aaYe ho
aah! yahaaN ab kyaa rakkhaa hai?

meree Soorat dekhte kyaa ho?
saamne aa,eenah rakkhaa hai!

karnaa hai to kaam karo kuchh
warnah naam meN kyaa rakkhaa hai?

:Sarwar:! kuchh to muNh se bolo
yeh kyaa rog lagaa rakkhaa hai?

Re: dil ko yooN behlaa rakkhaa hai

Posted: Tue Feb 17, 2009 7:27 pm
by farhan


Janab.e.MuHtaram Sarwar Raz SaHib,,,

As Salaamu Aalaikum Wa Rahmatuallhi Wa barakatuhu,,,

aap ki ghazaleen aap ki shaerna azmat ki daleel hoti haiN. ziyadah to maiN kuch arz karne kay layeQ nahiN hooN. bus yeh kehna chahta hooN k aap ki yeh ghazal bahut khoob hai. KHaaS tour per yeh shair mujhay bahut bahut bahut pasand aaya. Daad o Mubarakbaad ba.Sad aHtayraam peesh karta hooN. Qabool farmiyeaga.

ab aaYe to kyaa aaYe ho
aah! yahaaN ab kyaa rakkhaa hai?

aap ki muKHliSana duaooN ka mutamanni,,,

FarHaz Aziiz

Re: dil ko yooN behlaa rakkhaa hai

Posted: Mon Feb 23, 2009 5:31 am
by Sarwar A. Raz
farhan wrote:

Janab.e.MuHtaram Sarwar Raz SaHib,,,

As Salaamu Aalaikum Wa Rahmatuallhi Wa barakatuhu,,,

aap ki ghazaleen aap ki shaerna azmat ki daleel hoti haiN. ziyadah to maiN kuch arz karne kay layeQ nahiN hooN. bus yeh kehna chahta hooN k aap ki yeh ghazal bahut khoob hai. KHaaS tour per yeh shair mujhay bahut bahut bahut pasand aaya. Daad o Mubarakbaad ba.Sad aHtayraam peesh karta hooN. Qabool farmiyeaga.

ab aaYe to kyaa aaYe ho
aah! yahaaN ab kyaa rakkhaa hai?

aap ki muKHliSana duaooN ka mutamanni,,,

FarHaz Aziiz
a'zeezam Farhan SaaHeb: aadaab!

taaKheer se aane ke liYe u'Zr-Khwaah hooN! aap ko Ghazal pasand aayee aur yeh mere liYe masarrat aur i'zzat-afzaayee kaa baa,ic huwaa. dilee shukriyah qubool keejiye.

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Re: dil ko yooN behlaa rakkhaa hai

Posted: Mon Feb 23, 2009 6:47 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib aadaab-o-tasleemaat! :-)

kuch dinooN se khaaSah maSroof raha aor yahee wajah rahee keh dostooN kee shikaayaat kaa Hadaf bana raha. aap kee Ghazaliyaat par bhee az^haar-e-raae nah kar sakaa. inshAllah ab raftah raftah dobarah mahaafil meN ata jataa rahooN gaa.

Aap kee jahaN har Ghazal hee aek takhleeqee shahkaar hotee hai. wahaaN yeh Ghazal bhee aap kee aa'la takhleeqee SalaHiyatooN kaa MuNh booltaa cuboot hai. ra'naaee-e-kheyaal, aap kee be laag ShakhSiyat kee t^arH ujlee aor shaffaaf hai. jis meN munaafiqaanah rawaiyooN aor mutaZ^aad t^arz-e-a'mal kee koee aaludagee shaamil naheeN. ya'nee asha'aar kee feZ^aa SeHat mand aor rooH afzaa hai. Aap chunkeh lisaanee aor fannee pech-o-kham se kamah Haqqah hu waaqif haiN isee liye har she'er qaaree ko apnee jaanib aek khaaS andaaz se kheenchtaa hai. aor is khaS andaaz ko maiN khumaar-e-Ghazal se ta'beer kartaa aayaa hooN.

shaa'ree meN ghaer Z^arooree takallufaat ka Ghalabah naheeN balkeh be takalluf miThaas dil moh letee hai. is chooTee aor mutarannum beHer meN aap kaa yeh khubSurat aor barjastah tajrubah qaabil-e-teHseen hai. aap ne milaan-e-t^aba' kaa rujHaan medaan-e-Ghazal meN payaa aor afkaar-o-takhaiyyul kaa dhaara waadee-e-Ghazal kee jaanib moR diya. yahee sabab hai keh aap kaa mie'aar-e-Ghazal saraaee Haraf-e-teHseen kaa mustaHiq qaraar pata hai.

bilamubaalGhah asha'aar meN balaa kee sarmastee aor khaef ras ghooltaa ma'loom hotaa hai. GharaZ^ aap ne khaamah farsaaee kaa safar jo qareeba" nisf sadee qabl aaGhaar kiya thaa hunooz baRee shaan-o-rawaanee se jaaree hai. taa eeN dam aap ne Ghazal saaraaee ke baab meN jitnaa kaam kiya hai. aap chaheeN to is par fakhar kar sakte haiN.

GHAZAL

dil ko yooN behlaa rakkhaa hai
dard kaa naam dawaa rakkhaa hai

Waah!

aa,o pyaar kee baateN kar leN
in baatoN meN kyaa rakkhaa hai?

Waah!

aur bhee ho kuchh baaqee pyaar?
kaun saa z^ulm uThaa rakkhaa hai?

waah waah!

jhilmil, jhilmil kartee aaNkheN
jaise ek diyaa rakkhaa hai

Kiya baat hai Waah Waah! =D>

a'ql ne apnee majbooree kaa
thak kar naam Khudaa rakkhaa hai!

Waah! Waah! :-)

raah-e-wafaa ke har kaaNTe par
dard kaa ik qat^rah rakkhaa hai

Bohot khoob! Wah! =D>

ab aaYe to kyaa aaYe ho
aah! yahaaN ab kyaa rakkhaa hai?

Waah Waah!

meree Soorat dekhte kyaa ho?
saamne aa,eenah rakkhaa hai!

Kiya baat hai!

karnaa hai to kaam karo kuchh
warnah naam meN kyaa rakkhaa hai?

Waah!

:Sarwar:! kuchh to muNh se bolo
yeh kyaa rog lagaa rakkhaa hai?

Bohot khoob Waah Waah Waah Kiya kehne lajawaab maqt^a' hai Waah Waah! =D>

Muzaffar AHmad Muzaffar

Re: dil ko yooN behlaa rakkhaa hai

Posted: Tue Feb 24, 2009 2:30 am
by Sarwar A. Raz
mukarram-e-bandah janaab Muzaffar SaaHeb: salaam-o-niyaaz!

ek muddat ke ba'd aap se niyaaz HaaSil huwaa to dilee masarrat huyee. maiN aap ko doosree meHfiloN meN baraabar sargarm dekhtaa rahaa hooN. kyaa a'jab ke ab aap kee tawajjuh aur meHfiloN kee t^araH Urduanjuman kee jaanib bhee multafit ho. shukriyah.

Ghazal kee pazeeraayee aur daad ke liYe maiN saraapaa sipaas hooN. aap nacr meN shaa,i'ree karte haiN aur mujh se naz^m meN bhee woh naheeN ho paataa! ab Ghazal-goyee :ba-qadr-e-baadaam: ho kar reh gayee hai. kabhee kabhee kuchh keh letaa hooN. bas ab yaaro Allah hee Allah hai!

i'zzat-afzaayee ke liYe mamnoon hooN. aap kaa intiz^aar rahe gaa.

Sarwar A. Raz :Sarwar: