Page 1 of 1

ma'zarat

Posted: Wed Feb 18, 2009 5:44 am
by yasir shah
arakeen bazm !
assalaam-o-a’laikum


kaee dinoN se soch raha thaa keh maaZee ki talkhiyoN par mu’aafee chaahee jaa.ay chunaaNcheh aik muddat ba’d HaaZir-e-khidmat hooN aur aap sab logoN se tamaam guzashtah Haq talfiyoN peh ma’zarat khwaah hooN – khuSooSan adabee baHcoN aur tanqeedoN par keh meN is maidaain kaa mard nah thaa aur nah hooN isee liye baarahaa Ghalat’iyoN par bhi muSir rah chukaa hooN –


Ummeed hay aap Hasb-e-dastoor mu’aaf kar deN gay aur apnee du’aaoN meN is Ghareeb ko bhi yaad raKhaiN gay–Allaah aap sab se raaZee ho jaa.ay-


t'aalib-e-du'aa
yasir

Re: ma'zarat

Posted: Wed Feb 18, 2009 6:19 am
by sbashwar
Mohtaram Yasir Shah Saheb
:salaam:

Kaise hain aap? Kafi arse baad aapki wapasi par dili massarrat hui. Yeh aapki apni bazm hai. Hamein aapki kami hamesha mehsoos rahi. Urdu adab ke bahane apni ek rawabit ka zarya bhi hai.

Aapka mukhlis
Salem Bashwar

Re: ma'zarat

Posted: Wed Feb 18, 2009 6:58 am
by munir-armaan-nasimi
yasir shah wrote:arakeen bazm !
assalaam-o-a’laikum

kaee dinoN se soch raha thaa keh maaZee ki talkhiyoN par mu’aafee chaahee jaa.ay chunaaNcheh aik muddat ba’d HaaZir-e-khidmat hooN aur aap sab logoN se tamaam guzashtah Haq talfiyoN peh ma’zarat khwaah hooN – khuSooSan adabee baHcoN aur tanqeedoN par keh meN is maidaain kaa mard nah thaa aur nah hooN isee liye baarahaa Ghalat’iyoN par bhi muSir rah chukaa hooN –

Ummeed hay aap Hasb-e-dastoor mu’aaf kar deN gay aur apnee du’aaoN meN is Ghareeb ko bhi yaad raKhaiN gay–Allaah aap sab se raaZee ho jaa.ay-

t'aalib-e-du'aa
yasir

Mohtaram Yasir Shah Saaheb,

Khush-Aamdeed..!! Alla'h aap ko salamat rakhkhe; Aap aaye hamare bazm kii raunaq badh gayi. Hum ek doosre ke khayaalat se to 'Naraaz" ho sakte hain...... Bahcon main aksar Na-ittefaaqii bhi ho jaati hai aur meri samajh main aisa HONA BHI CHAAHIYE..... Adabi behcoN main agar mukhtaleef khayaalat paida na honge to Adab..... adab nahin rahega, kisi political leader ka likha hua "Ailaan" ban jaayega....

Kahin ek sher suna tha keh....

Dushmani jam kar karo, lekin yeh Gunzaayish rahe
Jab kabhi hum Dost hoN to koyi sharmindah na ho

Hum aapka dil se isteqbaal karte hain aur ummeed karte hain keh... Urdu zaban o adab ki khidmat main aap bhi hamar saath qadam se qadam mila kar chaalenge........

Khuda Haafiz,

Khair-andesh,

Munir Armaan Nasimi

Re: ma'zarat

Posted: Wed Feb 18, 2009 2:36 pm
by ismail ajaz
yasir shah wrote:arakeen bazm !
assalaam-o-a’laikum


kaee dinoN se soch raha thaa keh maaZee ki talkhiyoN par mu’aafee chaahee jaa.ay chunaaNcheh aik muddat ba’d HaaZir-e-khidmat hooN aur aap sab logoN se tamaam guzashtah Haq talfiyoN peh ma’zarat khwaah hooN – khuSooSan adabee baHcoN aur tanqeedoN par keh meN is maidaain kaa mard nah thaa aur nah hooN isee liye baarahaa Ghalat’iyoN par bhi muSir rah chukaa hooN –


Ummeed hay aap Hasb-e-dastoor mu’aaf kar deN gay aur apnee du’aaoN meN is Ghareeb ko bhi yaad raKhaiN gay–Allaah aap sab se raaZee ho jaa.ay-


t'aalib-e-du'aa
yasir
bhaai SaHab maiN tow aap ko jaanta naheeN laikin phir bhii mu'aaf kiya kya yaad karein ge aap bhii kis ra'ees se paala paRa tha

:lol:

Re: ma'zarat

Posted: Sat Feb 21, 2009 7:10 am
by yasir shah
jazaakumullah-
inshaaAllaah aaindah bhi aataa rahooN gaa-