Page 1 of 1

Mashraq-e-Wasta Ke Hawaley Se - Azeez Belgaumi

Posted: Fri Feb 20, 2009 12:27 pm
by sbashwar
:salaam:

Image
Image
Image
Image
Image
Image
Image
Image
Image
Image
Image
Image
Image

Re: Mashraq-e-Wasta Ke Hawaley Se - Azeez Belgaumi

Posted: Fri Feb 20, 2009 10:18 pm
by tahira Masood
moHteram Salem SaHeb

Asslamo Alaikum w. w

aap ne aik nehaayat mufeed mudallil aur mominaana tajziye ki hamil post yehaaN ham se share ki hai.

I salute the writer for writing this article

isko baar baar paRhne ki zaroorat hai. jazaakomullah-o-Khairaah

aisee baSeerat aur islaam kaa hi nahiN balkeh aqwaam-e-aalam kaa dukh rakhnaa her kisee ko HaaSil nahiN

dil maiN jab aik taRap ho tau hi aisee teHreereiN janam laitee haiN

aur aisaa likhte huay aik insaan kin adwaar se guzertaa hai aur apne logoN ki be hisee per jis teraH uskaa dil noHa kunaaN hotaa hai wo Sirf wohi jaanat hai yaa uskaa Khudaa.

kaash ham aqal pakReiN. ibrat HaSil kerieN. Yahuudi jo aik waqt maiN Allah Ta'aalah k chunidah thay kis teraH Khuda Ta'alaa ne unko apne faraaiz se chasham poshi k baaiC germanoN k haathoN azaab diyaa. Allah Ta'aala ne muslamaanoN ko bhi keh rakhaa hai keh agar tum apne fraaiz ko bhoole tau woh is baat per qaadir hai keh kisee aur ko unki jagah le aaey.
Yeh Us k liye kuch mushkil nahiN.

Allah Ta'laa hameiN muaaf kare.aameen

wassalam

Re: Mashraq-e-Wasta Ke Hawaley Se - Azeez Belgaumi

Posted: Wed Feb 25, 2009 4:48 am
by azeezbelgaumi
Qabil e Sad Ihtaraam Taheera Sahiba,

Assalamu Alaikum

Aapke Khat se badi himmat afzaai hui hai ke ab bhi aap jaise log duniya meiN moujood haiN jo Haq pasandi ka bade khuloos ke saath Izahar karte haiN. Ye usi waqt mumkin hai jab qari Khali uz Zahn ho. Apni "default memory" ke mutabiq kisi tahreer ka jayeza lene wala na ho. Warna maiN dekhta hun ke log pahle se tay shuda mafruzaat ki roushni mein mazmoon nigar ke khayalat ko parakhte haiN aur mauzoo ki gehraai tak nahin pahunch paate. Aapne baja taur par ise bar bar parhne ke tajveez pesh ki hai. Khuda kare ke ye mazmoon UNO ke kisi arbabe Ikhtiyar tak pahunche aur duniya meiN bhadki aag ko bujhane ka mauqa naseeb ho jaye jo na jaane kab se dahak rahi hai.

Ek baar aur shukriya.. Salam Bhai ka bhi shukriya. MaiN aapke liye duaa go huN.

Wassalam
Aapka Bhai
Azeez Belgaumi