Page 1 of 1

" The Jewel of Medina" kaa urdu tajziyh

Posted: Fri Feb 20, 2009 10:38 pm
by tahira Masood
Pehli Qist


Image
Image
Image
Image
Image
Image

Talibe duaa: Tahira Masood

Re: " The Jewel of Medina" kaa urdu tajziyh

Posted: Fri Feb 20, 2009 10:40 pm
by tahira Masood
dooseri aur aakheri Qist

Image
Image
Image
Image
Image
Image

Talibe duaa: Tahira Masood

Re: " The Jewel of Medina" kaa urdu tajziyh

Posted: Mon Feb 23, 2009 8:06 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Tahirah Masao'd SaaHbah aadaab!

Mutna'aziah kitaab " The Jewel of Medina" kaa urdu tajziyh" dekhaa jo nihayat e'lmi kawish hai. jis meN mazkoor alzael ketaab kee muSannifah kee qeyaas aaraiyooN kaa jawaab turqee bah turqee diya geya hai. maiN samajhtaa hooN aap kee is kaawish ko jald az jald manz^ar-e-a'aam par aanaa chahiye. taa aesee badikhlaqiyooN kaa galah ghooNTaa ja sake.

Muzaffar AHmad Muzaffar

Re: " The Jewel of Medina" kaa urdu tajziyh

Posted: Sun Mar 08, 2009 2:57 am
by tahira Masood
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtarmah Tahirah Masao'd SaaHbah aadaab!

Mutna'aziah kitaab " The Jewel of Medina" kaa urdu tajziyh" dekhaa jo nihayat e'lmi kawish hai. jis meN mazkoor alzael ketaab kee muSannifah kee qeyaas aaraiyooN kaa jawaab turqee bah turqee diya geya hai. maiN samajhtaa hooN aap kee is kaawish ko jald az jald manz^ar-e-a'aam par aanaa chahiye. taa aesee badikhlaqiyooN kaa galah ghooNTaa ja sake.

Muzaffar AHmad Muzaffar
Janaab Muzaffar Bha'ee

salaam

aap ki post se meri bohat HauSlah afza'ee huee hai
maiN aapki inaHsaasat per the-e-dil se mamoon hoN. in mozuuaat per ziyaad se iyaadh lkh ker awaamunaas ko bataanaa chaahiye.

bohat se muslamaanon ko maine istafsaar karte sunaa hai keh shaadi k waqt HaDHrat Aaysha ki umr kayaa thi. yehaaN maghrabi mumaalik maiN gore ham logoN ko apni terafse is teraH laa jwaab kerte haiN.
aSal hqeeqat kaa sabko ilm honaa chaahiye.

Khush rehaiN

wassalam

Re: " The Jewel of Medina" kaa urdu tajziyh

Posted: Tue Mar 10, 2009 5:09 pm
by munir-armaan-nasimi
Behen Tahira Masood Sahiba,

Aapne wohh kaam kiya hai jiska azr aapko duniya main bhi aur Aakhirat main bhi milega. Ho sakta hai mazmoon itna bada hai keh pura padh kar reply dene main hamare forum ke membaraaN ko waqt na mila ho magar........ yeh mazmoon Mazameen Section ki jaan hai.

MEDIA - BOTH PRINT AND ELECTRONIC - ne aajkal bure ko nek aur nekokaar ko badd banane ka theka le rakhkha hai. Khaas kar "Media" estemaal Muslims ke khilaaf kia jaata hai. Hamare India main agar koi Hari Shankar chori karta pakda jaaye to wohh sirf Hari Shankar rehta hai lekin.. jab koi Habib Khan chori karta pakda jaata hai to........... Musalmaan Chor kehlata hai....

MusalmaaN Aatankvaadi (Kashmiri DahshtgardoN ko) kaha jata hai lekin...... Aasam, Nagaland, Punjab main jo Aatankvaadi maasoom logoN ko maar dete hain unko "Hindu Aatankbadi" nahin kaha jaata... wohh sirf Aatankbaadi hote hain.

LEKIN... Media aur Uske Dalaal (ek survey ke mutabiq duniya ke 80% media ko Israil fund deta hai)... yeh bhool jaate hain keh....

Tum jitna taraasoge utna hi hara hoga
Islam wo pauda hai kaato to bada hoga

Main aapka shukrguzaar hoon keh aapne ek behad aham aur mufeed mazmoon se hamein nawaza, Alla'h aapko nawaze. Aameen!

Aapka bhai,

Munir Armaan Nasimi

Re: " The Jewel of Medina" kaa urdu tajziyh

Posted: Tue Aug 10, 2010 2:35 pm
by Tanwir Phool
Muhtarama Tahira Masood sahiba !
Assalaam-o-alaikum wa RahmatULLAH wa BarakaatuHu

Aap ki yeh baish qeemat tahreer aaj meri nazar se guzri.MaiN iss mahfil maiN abhi nau waarid hooN.JazaakALLAH aap nay bahut aham mauzoo' par qalam uThaaya. Urdu ke elaawa English maiN bhi iss topic par likhnaa chaahi'ey. "The Jewel of Medina" chhapnay se pahlay
hi raaqim-ul-huroof ne aik article "Importance of Sex in Religion" likhaa thaa jo iss link par dekhaa jaa saktaa hai:

http://allaboutreligions.blogspot.com/2 ... igion.html

Raaqim-ul-huroof ne yeh article "The Jewel of Medina" ke publisher ko bhi bhaij diyaa hai taake haqeeqat kaa izhaar ho sakay Wamaa alainaa illal balaagh.Aap bhi iss article ko mulaahiza farmaai'ey aur apni graaNqadr raa'ey se nawaazi'ey.Apnay article maiN aik tasheeh kar leeji'ey ke
Hazrat Zainab (R) ki pahli shaadi Hazrat Anas (R) se naheeN balke Hazrat Zaid (R) se hui thi jin kaa zikr Surah Ahzaab maiN maujood hai.
Sab ko salaam kahi'ey aur duaa'oN maiN yaad rakhi'ey.
Mukhlis: Tanwir Phool
http://www.allaboutreligions.blogspot.com