Ek Puraanee Ghazal
Posted: Thu Mar 05, 2009 6:28 am
yaaraan Anjuman: aadaab!
maiN apnee GhazloN ke naYe (aur aaKhiree!) majmoo,e'h :Gulshan-e-Shiraz: par kaam kar rahaa thaa to ek puraanee Ghazal naz^ar aayee jis par mere ustaad (aur waalid-e-marHoom) ne iSlaaH dee thee. sochaa keh aap kee Khidmat meN pesh karooN. mujh ko yaad hai keh is Ghazal par maiN bohat Khush huwaa thaa kyoN.k waalid SaaHeb ne beshtar ash,a'ar jooN ke tooN chhoR diYe the.
maiN ne un maqaamaat kee nishaan-dehee kar dee hai jahaaN unhoN ne iSlaaH dee thee. aap kee raaYe kaa intizaar rahe gaa.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
======================
GHAZAL
(12 July, 1957)
uThe ham Khastah-dil, aashuftah-sar, be-iKhtiyaar uTThe
bahaar aayee, qadam phir dasht ko deewaanah-waar uTThe
kuchh ab ke mausam-e-gul meN naheeN woh baat pehlee see
nigaah-e-naaz se keh do nah woh yooN sogawaar uTThe
gunaah-e-aarzoo aisaa gunah to ho naheeN saktaa
phir aaKhir kyaa huwaa? kyoN bazm se ham dil-figaar uTThe?
idhar ham bazm se uTThe, udhar baiThaa dil-e-meHzooN
nah uThnaa thaa, nah uTThe ham agar.ch baar baar uTThe!
baRee pur-lut^f meHfil hai, chaleN to HaZ^rat-e-waa,i'z^
paRheN ge sau namaazeN ham agar aap ek baar uTThe!
kahaaN se himmat-e-Sad-intizâar-e-jaam-e-mai laaYeN?
Khudaa raa saaqiyaa! maigooN naz^ar bas ek baar uTThe
ta,a'jjub se nigaah-e-lut^f kaa muNh tak rahaa hai dil (1)
Khudaa-naa-Khwaastah aisaa kisee kaa e'tibaar uTThe!
chaman tak kyoN chaleN? Zauq-e-junooN meN zor gar kuchh hai (2)
dil-e-deewaanah se hee jhoom kar faSl-e-bahaar uTThe
nigaah-e-sharmsaar-e-Husn-o-ra'naayee se poochheN ge
qadam kyoN soo-e-SeHraa is t^araH begaanah-waar uTThe (3)
yahaaN dast-e-t^alab z^arf-e-junooN se bhee siwaa-tar hai
ta,a'jjub kyaa agar dunyaa se dil be-e'tibaar uTThe? (4)
abhee Zauq-e-gunah meN tishnagee meHsoos kartaa hooN
usee andaaz se lillaah! chashm-e-maigusaar uTThe
kahaaN tak ro,iYe :Sarwar: keh ab to waqt-e-aaKhir hai
bharee meHfil se kaise kaise raNgeeN baadah-Khwaar uTThe! (5)
==========================
(1) is she'r meN waalid-e-marHoom ne :Khudaa-naa-Khwaastah: par kuchh tabneeh kee thee. kyaa aap bataa sakte haiN keh woh kyaa thee?
(2, 4) in donoN ash,a'ar ko unhoN ne qalam-zad (delete) kar diyaa thaa.
(3) is meN :mastaanah-waar: ko :begaanah-waar: se badal diyaa thaa.
(5) is meN :ajal kee haath: ko :bharee meHfil se: se badal diyaa thaa
===========================