Page 1 of 2

Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hogi..

Posted: Thu Mar 03, 2005 3:07 pm
by jawaid badauni
Mohtarm Abdullah Nazir Sahab: Tasleemat

T,AAmil.e irshad meN ek ghazal ke kuch she'r irsal kar raha hooN. Ummid hai hausa afzaii farmayenge.

Apka Mukhlis,

Jawaid Badauni
Muscat Oman

idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hougi

Idhar kya nagaah-e Mohabbat nah hogi
Mire lub pe phir bhi shikayat nah hogi

Na hoga suboot aur shahadat na hogi
To phir kya haqeeqat, haqeeqat na hogi

Kabhi ek rote hoe ko haNsa do
Zamane meN aisi ibaadat nah hogi

Yeh jeete hoe mulk daulat to deNge
DiloN per tumharee hukumat nah hogi

Zara jada-e sabr per chalke dekho
Museebat kabhie phir museebat nah hogi

Sitam hum kahen aur oonke sitam ko
Hamari to aisee jisarat nah hogi

Bahut admi hoNge agli sadee meN
Mujhe dar yeh hai admiyyat na hogi

Talab to talab hi rahegi hamesha
Hamesha magar aisee shiddat nah hogi

Ghazal na mukammal hai :Jawaid: mAana
To kya “Urdubandhan” men izzat nah hogi

Bahut khoob

Posted: Thu Mar 03, 2005 7:27 pm
by Abdullah Nazir

Muhtarami
JAWAID BADAYUNI Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Ujlat meiN kehi houii aapki TAraHi ghazal bahut pasand aayii. Agar ashAar meiN izaafah hou, to yahaN edit karke mazeed ashAaar likhne
kii zeHmat gawaaraa farmaayiye.

Aapka sawaal:
"tou kyaa Urdubandhan meiN izzat nah houg"
Yaqeenan aapki izzat bhii hougii aur shayeri kii qeemat jaane waalaoN ke dilaoN mein aapke liye muHabbat bhii hougi. Isi taraH se aap saamaAeen ke adabi zauq kii tashnagi ko sair kartee rehiye aur duAayeN leejiye
.

Aapka Mukhlis,
Nazir

Re: Bahut khoob

Posted: Thu Mar 03, 2005 9:19 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
Muhtarami
JAWAID BADAYUNI Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Ujlat meiN kehi houii aapki TAraHi ghazal bahut pasand aayii. Agar ashAar meiN izaafah hou, to yahaN edit karke mazeed ashAaar likhne
kii zeHmat gawaaraa farmaayiye.

Aapka sawaal:
"tou kyaa Urdubandhan meiN izzat nah houg"
Yaqeenan aapki izzat bhii hougii aur shayeri kii qeemat jaane waalaoN ke dilaoN mein aapke liye muHabbat bhii hougi. Isi taraH se aap saamaAeen ke adabi zauq kii tashnagi ko sair kartee rehiye aur duAayeN leejiye
.

Aapka Mukhlis,
Nazir

Bahoot bahoot shukriya Abdullah Nazir Sahab.

Aapke hukm ke pesh.e nazar dou ashAAr ka izafa kar diya hai. Bahut taweel ghazal kahne ki mujhe aadat nahiN hai.

Khair Andesh,
Jawaid

Re: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hog

Posted: Thu Mar 03, 2005 11:10 pm
by tahira Masood
jawaid badauni wrote:Mohtarm Abdullah Nazir Sahab: Tasleemat

T,AAmil.e irshad meN ek ghazal ke kuch she'r irsal kar raha hooN. Ummid hai hausa afzaii farmayenge.

Apka Mukhlis,

Jawaid Badauni
Muscat Oman

idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hougi

Idhar kya nagaah-e Mohabbat nah hogi
Mire lub pe phir bhi shikayat nah hogi

Na hoga suboot aur shahadat na hogi
To phir kya haqeeqat, haqeeqat na hogi

Kabhi ek rote hoe ko haNsa do
Zamane meN aisi ibaadat nah hogi

Yeh jeete hoe mulk daulat to deNge
DiloN per tumharee hukumat nah hogi

Zara jada-e sabr per chalke dekho
Museebat kabhie phir museebat nah hogi

Sitam hum kahen aur oonke sitam ko
Hamari to aisee jisarat nah hogi

Bahut admi hoNge agli sadee meN
Mujhe dar yeh hai admiyyat na hogi

Talab to talab hi rahegi hamesha
Hamesha magar aisee shiddat nah hogi

Ghazal na mukammal hai :Jawaid: mAana
To kya “Urdubandhan” men izzat nah hogi

Mukarram Jawaid Badauni SaaHeb

Assalaamo Alaikum w.w

:grin: Mashallah bohat khoobsurat kalaam innayat fermaaya hai aap nae

akheri shaer per tau be-ikhtiyaar muskuraa uThi

2sraa 3seaa 4thaa aur 7twaaN shaer khaas taur peh pasaNd aaey.

Jazakallah

wasslam

Re: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hog

Posted: Fri Mar 04, 2005 7:01 am
by jawaid badauni
tahira Masood wrote:

Mukarram Irfan Saheb

Assalaamo Alaikum w.w

:grin: Mashallah bohat khoobsurat kalaam innayat fermaaya hai aap nae

akheri shaer per tau be-ikhtiyaar muskuraa uThi

2sraa 3seaa 4thaa aur 7twaaN shaer khaas taur peh pasaNd aaey.

Jazakallah

wasslam

Yeh to bahut achcha mazaq ho gaya. Ghazal kahi maiNne aur daad ja rahee hai Irfan Abid Sahab ko. Phir bhi, aapke graNqadr tAAccurat to pahooNch hi gaye mujh tak, shukriya Bibi.

Khoosh RaheN

Mukhlis,
Jawaid Badauni

Re: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hog

Posted: Fri Mar 04, 2005 7:28 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:

idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hougi

Idhar kya nagaah-e Mohabbat nah hogi
Mire lub pe phir bhi shikayat nah hogi

bohat achi girah lagaayi hai bhaiyya.

Na hoga suboot aur shahadat na hogi
To phir kya haqeeqat, haqeeqat na hogi

waah! bohat khoob!

Kabhi ek rote hoe ko haNsa do
Zamane meN aisi ibaadat nah hogi

very nice!

Yeh jeete hoe mulk daulat to deNge
DiloN per tumharee hukumat nah hogi

bohat khoob!

Zara jada-e sabr per chalke dekho
Museebat kabhie phir museebat nah hogi

ahaa! bohat ache.

Sitam hum kahen aur oonke sitam ko
Hamari to aisee jisarat nah hogi

:-) sahi!

Bahut admi hoNge agli sadee meN
Mujhe dar yeh hai admiyyat na hogi

hmmmm....

Talab to talab hi rahegi hamesha
Hamesha magar aisee shiddat nah hogi

:-) bohat khoob!

Ghazal na mukammal hai :Jawaid: mAana
To kya “Urdubandhan” men izzat nah hogi

:-) bohat zabardast maqta aapne irshad fermaya..... :-) urdubandhan mein aap bandh gaye hain ab kya kahein hum aapse :grin:

Jawaid bhai,

salaam.

aapne bohat jaldi likhdi ghazal, mubarakbaad qubool keejiye.
main tou abhi shuru bhi nahi ki, ab koshish shuru kardoongi.

sara

Ghazal ki pazeeraii aur she'r ba she'r tabsare ke liye mamnoon hooN Sara. Chalo ek faida to hoa ghazal kahne ka aap ne apne Bhai ko yaad to kiya.

Khoosh Rahen

Jawaid

Re: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hog

Posted: Sun Mar 06, 2005 9:01 am
by nigaah
Na hoga suboot aur shahadat na hogi
To phir kya haqeeqat, haqeeqat na hogi

waaqai....kitni sachi baat hai ke haq tou phir haq hai ...suboot ho na ho....bohut achay....

Sitam hum kahen aur oonke sitam ko
Hamari to aisee jisarat nah hogi

waaaahhhhh.....kia kehnay....bohut pasand aaya ye shair....aur is ka tanzia lehja...

Bahut admi hoNge agli sadee meN
Mujhe dar yeh hai admiyyat na hogi

bohut Khoooob....bohut umda Khayal hai...

Jawed Sahab

is Khubsoorat Ghazal per meri jaanib say dhairoN daad aur mubaarakbaad qubool kijye....

Nigaah

Re: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hog

Posted: Sun Mar 06, 2005 10:13 am
by jawaid badauni
nigaah wrote:Na hoga suboot aur shahadat na hogi
To phir kya haqeeqat, haqeeqat na hogi

waaqai....kitni sachi baat hai ke haq tou phir haq hai ...suboot ho na ho....bohut achay....

Sitam hum kahen aur oonke sitam ko
Hamari to aisee jisarat nah hogi

waaaahhhhh.....kia kehnay....bohut pasand aaya ye shair....aur is ka tanzia lehja...

Bahut admi hoNge agli sadee meN
Mujhe dar yeh hai admiyyat na hogi

bohut Khoooob....bohut umda Khayal hai...

Jawed Sahab

is Khubsoorat Ghazal per meri jaanib say dhairoN daad aur mubaarakbaad qubool kijye....

Nigaah
Nigah bahin,

Ghazal ki iss qadar bharpoor pazeeraii ke liye aap ka bahud mamnoon.O.mashkoor hooN.

Jin ashAar ko aap ne pasaNd farmaya hai mujhe Khood bhi apni Ghazal meN wohee ashAAr pasaNd haiN.

Ek baar phir apka shukriya.

Khusoolkar,

Jawaid Badauni

Re: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hog

Posted: Mon Mar 07, 2005 9:05 pm
by Anis Hasan
jawaid badauni wrote:Mohtarm Abdullah Nazir Sahab: Tasleemat

T,AAmil.e irshad meN ek ghazal ke kuch she'r irsal kar raha hooN. Ummid hai hausa afzaii farmayenge.

Apka Mukhlis,

Jawaid Badauni
Muscat Oman

idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hougi

Idhar kya nagaah-e Mohabbat nah hogi
Mire lub pe phir bhi shikayat nah hogi

Na hoga suboot aur shahadat na hogi
To phir kya haqeeqat, haqeeqat na hogi

Kabhi ek rote hoe ko haNsa do
Zamane meN aisi ibaadat nah hogi

Yeh jeete hoe mulk daulat to deNge
DiloN per tumharee hukumat nah hogi

Zara jada-e sabr per chalke dekho
Museebat kabhie phir museebat nah hogi

Sitam hum kahen aur oonke sitam ko
Hamari to aisee jisarat nah hogi

Bahut admi hoNge agli sadee meN
Mujhe dar yeh hai admiyyat na hogi

Talab to talab hi rahegi hamesha
Hamesha magar aisee shiddat nah hogi

Ghazal na mukammal hai :Jawaid: mAana
To kya “Urdubandhan” men izzat nah hogi

Buhat umdah Jawaid bhai buhat khubsurat ghazal likhi hai aap nay saray shair hi lajawab hain. 4th shair mein aap nay maujooda halaat par buhat bharpoor tabsira kiya hai.

Re: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hog

Posted: Thu Mar 10, 2005 10:48 am
by jawaid badauni
Anis Hasan wrote:
jawaid badauni wrote:Mohtarm Abdullah Nazir Sahab: Tasleemat

T,AAmil.e irshad meN ek ghazal ke kuch she'r irsal kar raha hooN. Ummid hai hausa afzaii farmayenge.

Apka Mukhlis,

Jawaid Badauni
Muscat Oman

idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hougi

Ghazal ki pazeeraii ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Jazak Allah.

Khoosh RaheN

Jawaid

Idhar kya nagaah-e Mohabbat nah hogi
Mire lub pe phir bhi shikayat nah hogi

Na hoga suboot aur shahadat na hogi
To phir kya haqeeqat, haqeeqat na hogi

Kabhi ek rote hoe ko haNsa do
Zamane meN aisi ibaadat nah hogi

Yeh jeete hoe mulk daulat to deNge
DiloN per tumharee hukumat nah hogi

Zara jada-e sabr per chalke dekho
Museebat kabhie phir museebat nah hogi

Sitam hum kahen aur oonke sitam ko
Hamari to aisee jisarat nah hogi

Bahut admi hoNge agli sadee meN
Mujhe dar yeh hai admiyyat na hogi

Talab to talab hi rahegi hamesha
Hamesha magar aisee shiddat nah hogi

Ghazal na mukammal hai :Jawaid: mAana
To kya “Urdubandhan” men izzat nah hogi

Buhat umdah Jawaid bhai buhat khubsurat ghazal likhi hai aap nay saray shair hi lajawab hain. 4th shair mein aap nay maujooda halaat par buhat bharpoor tabsira kiya hai.

Mohtram Anis Sahab,

Ghazal ki pazeeraii ke liye mamnoon hooN aapka.

Jazak Allah.

Mukhlis,
Jawaid

Re: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hog

Posted: Thu Mar 17, 2005 7:13 pm
by tahira Masood
jawaid badauni wrote:
tahira Masood wrote:
jawaid badauni wrote:Mohtarm Abdullah Nazir Sahab: Tasleemat

T,AAmil.e irshad meN ek ghazal ke kuch she'r irsal kar raha hooN. Ummid hai hausa afzaii farmayenge.

Apka Mukhlis,

Jawaid Badauni
Muscat Oman

idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hougi

Idhar kya nagaah-e Mohabbat nah hogi
Mire lub pe phir bhi shikayat nah hogi

Na hoga suboot aur shahadat na hogi
To phir kya haqeeqat, haqeeqat na hogi

Kabhi ek rote hoe ko haNsa do
Zamane meN aisi ibaadat nah hogi

Yeh jeete hoe mulk daulat to deNge
DiloN per tumharee hukumat nah hogi

Zara jada-e sabr per chalke dekho
Museebat kabhie phir museebat nah hogi

Sitam hum kahen aur oonke sitam ko
Hamari to aisee jisarat nah hogi

Bahut admi hoNge agli sadee meN
Mujhe dar yeh hai admiyyat na hogi

Talab to talab hi rahegi hamesha
Hamesha magar aisee shiddat nah hogi

Ghazal na mukammal hai :Jawaid: mAana
To kya “Urdubandhan” men izzat nah hogi

Mukarram Irfan Saheb

Assalaamo Alaikum w.w

:grin: Mashallah bohat khoobsurat kalaam innayat fermaaya hai aap nae

akheri shaer per tau be-ikhtiyaar muskuraa uThi

2sraa 3seaa 4thaa aur 7twaaN shaer khaas taur peh pasaNd aaey.

Jazakallah

wasslam

Yeh to bahut achcha mazaq ho gaya. Ghazal kahi maiNne aur daad ja rahee hai Irfan Abid Sahab ko. Phir bhi, aapke graNqadr tAAccurat to pahooNch hi gaye mujh tak, shukriya Bibi.

Khoosh RaheN

Mukhlis,
Jawaid Badauni

:shock: :shock: :shock:

:lol: :lol: :lol:

Janab Jawaid Badauni Saheb maiN m'Azerat khwaah hoN

aji seraaser aap hi ki ghazal hai aur mubaarak baad aap hi ko jaaey gi

:oops:

maiN ooper bhi taS 'Heeh kiay det hoN

Re: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hog

Posted: Wed Mar 23, 2005 5:01 am
by Hashmat Usmani
salaam Jawaid saaHib,

kaise mizaaj haiN aapke? ummeed hai ki ba_Khair hoNge.

aapkii taraHii Ghazal paRhii maiN ne aur bahot lutf andoz huaa. aapke kalaam meN. aapkii Ghazal ke mazaameen ne kaii mazmoon ko ihaate meN kiye haiN...bahot Khoob. aapkaa maqt'a bahot dil_chasp hai...ji haN, yaqeenan hogii...kiuN nahiiN hogii...aap iske Haq_daar haiN janaab. saare hii ash'aar pasand aaye magar chand ek ko maiN ne kuchh ziyaada hii pasand kiyaa jo zel meN darj haiN:

Na hoga suboot aur shahadat na hogi
To phir kya haqeeqat, haqeeqat na hogi

Kabhi ek rote hoe ko haNsa do
Zamane meN aisi ibaadat nah hogi

Yeh jeete hoe mulk daulat to deNge
DiloN per tumharee hukumat nah hogi

Bahut admi hoNge agli sadee meN
Mujhe dar yeh hai admiyyat na hogi

Re: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hog

Posted: Wed Mar 23, 2005 8:22 am
by jawaid badauni
Hashmat Usmani wrote:salaam Jawaid saaHib,

kaise mizaaj haiN aapke? ummeed hai ki ba_Khair hoNge.

aapkii taraHii Ghazal paRhii maiN ne aur bahot lutf andoz huaa. aapke kalaam meN. aapkii Ghazal ke mazaameen ne kaii mazmoon ko ihaate meN kiye haiN...bahot Khoob. aapkaa maqt'a bahot dil_chasp hai...ji haN, yaqeenan hogii...kiuN nahiiN hogii...aap iske Haq_daar haiN janaab. saare hii ash'aar pasand aaye magar chand ek ko maiN ne kuchh ziyaada hii pasand kiyaa jo zel meN darj haiN:

Na hoga suboot aur shahadat na hogi
To phir kya haqeeqat, haqeeqat na hogi

Kabhi ek rote hoe ko haNsa do
Zamane meN aisi ibaadat nah hogi

Yeh jeete hoe mulk daulat to deNge
DiloN per tumharee hukumat nah hogi

Bahut admi hoNge agli sadee meN
Mujhe dar yeh hai admiyyat na hogi
Mohtarm Hashmat usmani Sahab, Aadab

Ghazal ki bharpoor pazeeraii ke liye aap ka marhoone minnat hooN.

Ummid hai aa.inda bhi aap se raah.o rabt qaa.im rahega.

Allah aap ko shaad.o. abad rakhekhe (Aamin).

Bahut Bahut shukriya,

Jawaid Badauni

wah wah

Posted: Fri Mar 25, 2005 2:16 pm
by irfan barabankwi
mohtaram

JAWAID BADAYUNI

salam-e-masnoon

pahli bar aapki ghazal per apna tabsirah lekar hazir hua hooN. wah kiya hi umdah ghazal hai aapki. sabhi ashaar khoob haiN. is haqeer ki dili daad qubool farmayeN. badayuN to hamare u.p. maiN hai lekin app ne apna koi pata yahan nahi darj kiya hai. filhal aap kahaN moqeem haiN ?

khair andaish

irfan barabankwi

irfan barabankwi

Re: wah wah

Posted: Fri Mar 25, 2005 3:36 pm
by jawaid badauni
irfan barabankwi wrote:mohtaram

JAWAID BADAYUNI

salam-e-masnoon

pahli bar aapki ghazal per apna tabsirah lekar hazir hua hooN. wah kiya hi umdah ghazal hai aapki. sabhi ashaar khoob haiN. is haqeer ki dili daad qubool farmayeN. badayuN to hamare u.p. maiN hai lekin app ne apna koi pata yahan nahi darj kiya hai. filhal aap kahaN moqeem haiN ?

khair andaish

irfan barabankwi

irfan barabankwi

Azeezi Irfan sahab, tasleem

Ghazal ki iss qadar pazeeraii ke liye aapka behad mashkoor hooN.

Mera tAAlluq Badaun se hai magar guzishta 20 saal se Muscat (Oman) men muqeem hooN. MaiN aap ka kalam paRhta rahta hooN aur aap ne bhi mera kalam muKhtalif sites per dekha hoga.

www.aligarians.com naam ki ek site per maiN Urdu poetry section ko moderate kar raha hooN. Aap se iltimas hai wahaN tashreef laiye aur apna kalam bhi saath laiyega. Hamare yahan bahut se non-aligs bhi haiN. Ummid hai registration kara leNge phir wahaN bhi aapse mulaqat rahegee. Yahan bhi maiN akcer haaziri lagata rahta hooN.

Khair andesh.
Jawaid