Page 1 of 1

taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.

Posted: Wed Mar 18, 2009 2:32 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaaraan-e-meHfil ek taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai. mulaaHiZ^ah keejiye.

Ghazal
Muzaffar Ahmad Muzaffar

MujheY karne lagee hai shaam-e-Gham ranjeedah ranjeedah!
judaaee meN dil-e-muZ^t^ar bhee hai shaoreedah shaoreedah!


t^uwaaf-e-ka'bah-e-dil ho yaa ho but khaanah-e-Aazar!
tamannaa karne lagtee hai mujhe namdeedah namdeedah!


mujheY teer-e-nigaah-e-yaar kar de jaaN baHaq aeY kaash!
miree jaanib uThee to hai naz^ar duZdeedah duZdeedah!


miraa jazb-e-junooN leY aaya aakhir mujh ko manzil par!
wagarnah raastah purkhaar thaa pecheedah pecheedah!


tireY Aai'nah-e-dil par jo hai a'ks-e-wafaa meraa!
nigah-e-naaZ ko lagtaa hai woh naadeedah naadeedah!


wohee maiN hooN magar yeh kiya qayaamat sar peh tooTee hai?
koee meHfil bhee ho rehtaa hooN maiN sanjeedah sanjeedah!


Sada jab tak nah de manzil musaafir chal naheeN saktaa!
tiree jaanib qadam uThte haiN par laGhzeedah laGhzeedah!


agar sharmindah-e-ta'beer meraa khuwaab ho jataa!
nah rehtee u'mr bhar Chashm-e-t^alab khuwabeedah khuwabeedah!


:Muzaffar: daaGh haa-e-dil se hai teerah shabee aesee!
kiran aflaak se phooTe hai par naadeedah naadeedah!


Re: taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.

Posted: Wed Mar 18, 2009 4:05 pm
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram Janab Muzaffar A. Muzaffar Saaheb,

Masha'Allah ek aur Laajawaab ghazal se nawaaza hai aapne, kis kis sher ki tareef karoon, mujh haqueer faqueer ke paas alfaaz ki kami hai....

Magar jo ashaar..... main samajh nahin paaya woh yeh hain..

t^uwaaf-e-ka'bah-e-dil ho yaa ho but khaanah-e-Aazar!
tamannaa karne lagtee hai mujhe namdeedah namdeedah!

tuwaaf-e-ka'bah-e-dil.... aur.... but khaanah-e-Aazar se aapkii muraad???????? jiske liye aap namdeedah hain...!!


wohee maiN hooN magar yeh kiya qayaamat sar peh tooTee hai?
koee meHfil bhee ho rehtaa hooN maiN sanjeedah sanjeedah!

Yeh sher mujhe behad pasand aaya....... shayad aapka ishaara "Recession" kii taraf hai.... Shair apne aas paas ke haalat se mutacir hota hai...... main theek soch raha hoon na???


Sada jab tak nah de manzil musaafir chal naheeN saktaa!
tiree jaanib qadam uThte haiN par laGhzeedah laGhzeedah!

YahaaN "Tiree" se muraad "Manzil" hi hai yaa........ Agar haan to phir theek hai warna mujhe yeh sher samajh main nahin aaya.......

Apnii na-samjhee pe hooN sharmindah sharmindah....!!

Munir Armaan

Re: taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.

Posted: Thu Mar 19, 2009 5:25 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
munir-armaan-nasimi wrote:Mohtaram Janab Muzaffar A. Muzaffar Saaheb,

Masha'Allah ek aur Laajawaab ghazal se nawaaza hai aapne, kis kis sher ki tareef karoon, mujh haqueer faqueer ke paas alfaaz ki kami hai....

Magar jo ashaar..... main samajh nahin paaya woh yeh hain..

t^uwaaf-e-ka'bah-e-dil ho yaa ho but khaanah-e-Aazar!
tamannaa karne lagtee hai mujhe namdeedah namdeedah!

tuwaaf-e-ka'bah-e-dil.... aur.... but khaanah-e-Aazar se aapkii muraad???????? jiske liye aap namdeedah hain...!!


wohee maiN hooN magar yeh kiya qayaamat sar peh tooTee hai?
koee meHfil bhee ho rehtaa hooN maiN sanjeedah sanjeedah!

Yeh sher mujhe behad pasand aaya....... shayad aapka ishaara "Recession" kii taraf hai.... Shair apne aas paas ke haalat se mutacir hota hai...... main theek soch raha hoon na???


Sada jab tak nah de manzil musaafir chal naheeN saktaa!
tiree jaanib qadam uThte haiN par laGhzeedah laGhzeedah!

YahaaN "Tiree" se muraad "Manzil" hi hai yaa........ Agar haan to phir theek hai warna mujhe yeh sher samajh main nahin aaya.......



Apnii na-samjhee pe hooN sharmindah sharmindah....!!

Munir Armaan
moHtaram Biradaram janaab Muneer Arman Nasimi SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Aek muddat ba'ad aap se khat^-o-ketaabat kaa sharf HaaSil ho raha hai. aap apnee jagah maSroof-e-kaar haiN aor khaadim apnee jagah kushtah-e-roozgaar! guzashtah teen chaar hafte to isee daoR dhoop kee nazr huwe. maHaafil kee sabhee kaam khaaTaee meN paRe rahe. aap dostooN aor khuSuSa" moHtaram S, Bashwar SaaHib kee e'naayat hai keh kaam ko ba t^areeq-e-aHsan chaalate rahe. aor yooN yeh qaafilah-e-a'aashiqaan-e-zabaan-e-Urdu rawaaN dawaaN raha.

Ghazal kee pazeeraee aor himmat azaee ke liye sarapaa sipaas hooN. Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze!
daoraan-e-mut^aalea'ah aap ne do aek jagah baRe dilshasp sawaal uThae haiN. maiN baaree baaree un ke ke jawaabaat likhe detaa hooN.

t^uwaaf-e-ka'bah-e-dil ho yaa ho but khaanah-e-Aazar!
tamannaa karne lagtee hai mujhe namdeedah namdeedah!

tuwaaf-e-ka'bah-e-dil.... aur.... but khaanah-e-Aazar se aapkii muraad???????? jiske liye aap namdeedah hain...!!


meree muraad yeh hai keh maiN chaahe kaheeN bhee chalaa jaooN woh ka'bah-e-dil ka t^uwaaf ho yaa woh but khaanah-e-aazar ho GharZ^ meree tamannaa meree Aarzu mujhe wahaN aabdeedah kar deetee hai. aese maqaamaat par bandah apne maqaaSid-o-mudda'aa kee baat karta hai. aor roo roo kar HuSool-e-tamannaa ke liye dua'aa gao hotaa hai. musalmaan ka'bah kaa tuwaaf kartaa hai. aor but barast but khaane meN jaa kar muraad maangtaa hai. yahaN aek aor baat laai'q-e-tawajjah hai keh jesa ke miSra' se z^aahir hai keh maiN bila ta'Sub in jumlah maqaamaat par jaa kar apnee bedaad-e-tamannaa aor maAaal-e-muhabbat ke haathooN purnam ho jataa hooN.

wohee maiN hooN magar yeh kiya qayaamat sar peh tooTee hai?
koee meHfil bhee ho rehtaa hooN maiN sanjeedah sanjeedah!

Yeh sher mujhe behad pasand aaya....... shayad aapka ishaara "Recession" kii taraf hai.... Shair apne aas paas ke haalat se mutacir hota hai...... main theek soch raha hoon na???


waardaat-e-e'shq a'aashiq ko barbaad-o-nikamma kar deetee hai. nateejata" meHboob kee yaad se kise lamHah bhee Ghafil naheeN ho pata. fikr-e-meHboob meN Dooba rehtaa hai. dunya wa maa fee haa se Ghaail ho jataa hai. chehra utar jata hai. aor pehle se khush mizaajee naheeN rehtee. aor nihayat sanjeedah-o-gum sum ho jataa hai. mera ishaarah isee u'moomi kaeiyat kee jaanib hai. (Allah sab ko meHfooz^ rakhe)

Sada jab tak nah de manzil musaafir chal naheeN saktaa!
tiree jaanib qadam uThte haiN par laGhzeedah laGhzeedah!

YahaaN "Tiree" se muraad "Manzil" hi hai yaa........ Agar haan to phir theek hai warna mujhe yeh sher samajh main nahin aaya.......


jee aap ne bajaa samjhaa meree muraad :manzil: hee hai.

khush raheeN
Muzaffar AHmad Muzaffar