"I'shQ meN purkaef haiN ruswae'yaaN"
Posted: Fri Mar 20, 2009 3:11 pm
ayaaraan-e-meHfil aadaab-o-taslemaat!
Mumtaaz shaa'ir Janaab Ali AHmad Barqi Azmi saaHib ke miSra' par chand she'er kehne kee jasaarat kee hai. maoSoof kohnah mashq shaae'ir haiN. un kee khidmat meN yeh chand she'er bat^aor-e-hadiyah-e-khulooS pesh kar raha hooN. deegar dostooN kee Ghazliyaat kaa bhee muntazir hooN.
Sadr-e-mushae'irah Siyad Anwar Jawaid Hashmi SaaHib kee ijaazut se Ghazal pesh-e-khidmat hai.
Ghazala
Muzaffar AHmad Muzaffar
Aap kee hooN gee karam farmai'yaaN!
farHat aaGeeN theeN kheyaal Aarae'yaaN!
Aek muddat se hai ghar zer-e-A'taab!
haiN kisee Aaseb kee parchaae'yaaN
Naag bankar dasht-e-weHshat meN mujheY
U'mr bhar Dastee raheeN tanhae'yaaN!
Apnee qismat meN nah thee shaam-e-wiSaal
raas aaeeN haiN magar tanhaae'yaaN!
Khaanah-e-dil meraa weeraaN hee raha!
u'mr bhar go keeN jahaN aarae'yaaN!
Chaak rakh ulfat meN daamaan-e-junooN
"I'shQ meN purkaef haiN ruswae'yaaN"
Qaafilah-e-shaq nah aayaa qareeb!
dooruftadah raheeN shehnae'yaaN!
Woh nah aaeY gee :Muzaffar: dekhnaa!
raae'gaaN jaaeeN gee bazm aarae'yaaN!