غزل "آئو حسن یار کی باتیں کریں"

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

غزل "آئو حسن یار کی باتیں کریں"

Post by aabarqi »

غزل "آئو حسن یار کی باتیں کریں"
Ghazal
Ahmad Ali Barqi Azmi

Aao husn e yaar ki batein karein
Ishq ke izhaar ki batein karein

Kuchch lab o rukhsaar ki batein karein
Pyar aur takraar ki batein karein

Saaz e dil woh jiski tu mizraab ho
Saaz ke us taar ki baatein karein

Daastan e zindagi ke kyon na ham
Markazi kirdaar ki batein karein

Ghamzah o naaz o ada husn e nazar
Shewah e guftaar ki batein karein

Aaj ham jab saath hai to kis liye
Apne haal e zaar ki batein karein

Bhool kar sab zindagi ke ranj o gham
Gulshan o gulzaar ki batein karein

Hijr mein ham par jo guzri bhool jaein
Phir vesaal e yaar ki batein karein

Bhool kar shikve gile ho jaein ek
Aaj kyon bekaar ki batein karein

Chod kar bughz o hasad fitnah fasaad
Aao sab se pyaar ki batein karein

Zindagi pazeb ki jhankaar hai
Kyon na us jhankaar ki batein karein

Dr.Ahmad Ali Barqi ke hum
Dilnasheen ash’aar ki batein karein [/size
]
Attachments
ghazal-batein-karein.gif
ghazal-batein-karein.gif (35.33 KiB) Viewed 151 times
http://www.drbarqiazmi.com
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: غزل "آئو حسن یار کی باتیں کریں"

Post by Sarwar A. Raz »

biraadar-e-mukarram Barqi SaaHeb: aadaab!

aap kee yeh dilpazeerGhazal dekhee aur Hasb-e-ma'mool shauq se paRhee. aap kee qaadir-ul-kalaamee to ash,a'ar se z^aahir hai. meree daad qubool keejiYe. aap yaqeena" :paidaa,ishee shaa,i'r: haiN! fit^rat-e-fai,yyaaZ^ ne aap ko Zehn-e-rasaa aur fikr-e-baland se nawaazaa hai. kaash aap yak-sooyee se she'r-goyee kar sakte. mujh ko koyee shak naheeN keh aap is maidaan meN apne waalid-e-muHtaram ke jaa-nasheen qaraar paate.

is Ghazal kee zameen kaafee paamaal hai. yoooN bhee is meN tawaarud kaa imkaan kaafee hai. aap beshtar jagah daaman bachaa kar nikal gaYe haiN lekin aisaa hameshah mumkin naheeN hotaa. so koyee baat naheeN. :lab-o-ruaKhsaar, Husn-e-yaar: kee baat ho gee to saamne ke miSre' Zehn meN aanaa a'in fit^rat kaa iqtiZ^aa hai. Ghazal rawaaN dawaaN aur taGhazzul se bhar-poor hai. mubaarakbaad!

yeh kehnaa to bhoole hee jaa rahaa thaa keh yeh she'r Ghazal ke u'moomee tanaazur meN alag-thalag saa lagaa:

Daastan e zindagi ke kyon na ham
Markazi kirdaar ki batein karein

yahaaN :markazee kirdaar: marhoon-e-tashreeH reh gayaa?

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: غزل "آئو حسن یار کی باتیں کریں"

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

"Aao Husn-e-Yaar kee bateeN kareeN"
(yeh miSra' Barqi SaaHib ka hai)


Ghazal
Nazr A'li Ahmad Barqi

muSHaf-o-rukhsaar kee bateeN kareeN
"Aao Husn-e-Yaar kee bateeN kareeN"


wa'dah-o-iqraar kee bateeN kareeN
kushtah-e-inkaar kee bateeN kareeN


kuch Hareem-e-naaz kaa ho tazkirah
kuch dar-o-deewaar kee bateeN kareeN


tark kar ke waSl kee ummeed ham
Hasrat-e-deedaar kee bateeN kareeN


shaGhul-e-giryah meN raha jo hamnawa
Aao us Ghamkhuwaar kee bateeN kareeN


lab peh ho har dam faQeeranah Sada
kochah-e-dildaar kee bateeN kareeN


Chashmah-e-Kaocar se rishtah tooR kar
sharbat-e-deedaar kee bateeN kareeN


saayah-e-abr-e-karam ke baab meN
Aablah-o-khaar kee bateeN kareeN


haath se chooTe nah daaman shaoq kaa
abru-e-khamdaar kee bateeN kareeN


QiSSah-e-yak jumbish-e-lab cheR kar
pursish-e-beemaar kee bateeN kareeN


shoa'lah-e-ulfat to bujhne kaa naheeN
Aao karoobaar kee bateeN kareeN


rishtah-e-e'hd-e-wafaa dil soZ hai
jaaN gusal adwaar kee bateeN kareeN


ho agar pur pech u'qdah Zeest kaa
Gesu-e-khamdaar kee bateeN kareeN


jab talak khultaa naheeN baab-e-qubool
justuju-e-Yaar kee bateeN kareeN


paas-e-pardah ham naheeN karte janaab
aao pardah daar kee bateeN kareeN


ba'd az marg-e-tamannaa hee sahee
apneY ikhteyaar kee bateeN kareeN


naaZ-e-be jaa ko uThaanaa chooRye
deedah-e-khuNbaar kee bateeN kareeN


jaaN agar lazzat-e-kash-e-Aazaar hai?
bistar-e-bemaar kee bateeN kareeN


bhool kar kunj-e-Chaman kee shaokhiyaaN
saazish-e-aghyaar kee bateeN kareeN

(Q)

dil meN chubhtaa hai yeh kaaNTe ke t^arH
e'shq ke Aazaar kee bateeN kareeN


ro paRe ho tum Muzaffar warnah ham
Waadee-e-purkhaar kee bateeN kareeN
[/color][/size]
Post Reply