Page 1 of 1

mushaa'irah # 50 ke liye maiN aap ki bazm meN

Posted: Sat Mar 28, 2009 2:23 pm
by ismail ajaz
taaKheer hu'ee phir bhi chale aa'ay tiree bazm
abb tujh peh yeh chhoRa hai jagah de ya bhagaa de


janaab SaHeb e Sadr araakeen e bazm aur tamaam qaari'een ikraam
aadaab o tasleemaat ke baad aap sab kii nazr
arz kiya hai


zindagii meN Gham kii haiN gehraai'yaaN
aur kaheeN KhushiyoN kii haiN ooNchaai'yaaN

har bashar kii apnee apnee shakl hai
har kisee kii apnee haiN parchhaai'yaaN

saare aalam meN baTe haiN aadmee
zindagii ne soNp deeN tanhaai'yaaN

jab kisee ko pyaar hota hai kaheeN
gooNjtee haiN har taraf shaihnaai'yaaN

zindagee jeene ka aataa hai mazah
aarzoo letee hai jab aNgRaai'yaaN

chaahatoN meN aazmaa'ish shart hai
"ishq meN pur kaif haiN ruswaai'yaaN"

ikk muHabbat kii nazar bass chaahiye
saiNkRoN dikh jaatee haiN achchaai'yaaN

jab bhee dil meN wus'ateN payedaa hu'eeN
ulfatoN kii chal paReeN purwaai'yaaN

chlte jaao bass Siraat e mustaqeem
daa'eN baa'eN hotiiN haiN gumraahi'yaaN

manziloN par hum ne paa'eeN haiN "khayaal"
doori'yaaN , judaai'yaaN , tanhaai'yaaN

aap kii muHabbatoN kaa taalib

Ismail ajaz khayaal