Page 1 of 1
M. Tariq Ghazi Saheb ki ek Purani Ghazal
Posted: Mon Mar 30, 2009 10:51 am
by sbashwar
Mohataram M. Tariq Ghazi Saheb ne apni ek purani ghazal email se rawana kiye hain. Khud mausoof ke alfaz:
ایک اور پرانی غزل حاضر ہے احباب کی ضیافت طبع کے لئے.
اس میں ایک تجربہ کیا تھا، اور تجربہ کا نشانہ میں خود تھا.
محمد طارق غازی
آٹوا ، کنیڈا - دو شنبہ 30 مارچ 2009
Re: M. Tariq Ghazi Saheb ki ek Purani Ghazal
Posted: Tue Mar 31, 2009 6:08 am
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram bhai Salem Bashwar Saheb,
Masha'Allah Mohammad Tariq Ghazi Saaheb ki yeh musalsal ghazal hum jaise nau-waridoN ke liye mashal-e-raah hai... saath main mushkil alfazoN ke maa'ni ne ghazal ko kuch had tak samajhne main madad kii warna mujhe to ghazal ke kayi ashaar samajh main nahin aaye..... koshish kar raha hoon.
Aap se guzaarish karta hoon, ya yoN kahein keh Iltejaa hai meri keh aap Urdubandhan ka Home page ka design "change" karein... pahle wala hi theek hai..... yeh naya design bohat saare membaraan ko pareshaani main daal raha hai... Dr. Barqii Saaheb mujhe kayi baar ba-zarya phone keh chuke hain badalne ko... jab mujhe khud pareshaani ho rahi hai to....... woh to mere buzurg hain......
Salem bhai... sab aapki tarah Aslii Desti Ghee nahin khaa rahe hain jo itne chotey fornts ko padh lein
Ummed hai aap meri baat pe ghaur karenge.
Aapka apna,
Munir Armaan Nasimi