A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye miSra'-e-t^arH taakh
Posted: Tue Mar 31, 2009 4:16 am
moHtarameen-o-moHtaramaat Aadaab-o-tasleemaat!
A'alami Mushae'irah GuZarsh#51 1/4/09 ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai. jise Karachi Pakistan ke ma'roof-o-ma'tabar buzurg shaae'ir janaab Syed Anwar Jawaid Hashmi SaaHib kee aek dilkash Ghazal se muntakhib kiya geya hai. mulaHiZ^ah farmaiye!
*Haqeeqat ko Haqeeqat rakh fasaaneY tak naheeN pohncha*
Sadr-e-mushaaei'rah Qaadir-ul-kalaam shaa'ir janaab Dr, A'li AHmad Barqi A'zmi SaaHib New Delhi India.
(taqt^ee')
Haqeeqat ko=mufaaee'lun
Haqqeqat rakh=mufaaee'lun
fasaane tak=mufaaee'lun
naheeN pohnchaa=mufaaee'lun
Quwaafee: fasaane, ZamaaneY, jalaneY, sataanY, luTaaneY, lubhaaneY, waGhaerah!
Radeef: tak naheeN pohnchaa.
afaaei'l: mufaaee'lun....mufaaee'lun......mufaaee'lun.....mufaaee'lun
1222......................1222.....................1222....................1222
//0/0/0...................//0/0/0................//0/0/0................//0/0/0
BeHer: yeh beHer beher-e-hizaj mucammin saalim kehlaatee hai. jo aek nihayat maqbool beHer hai. khaaliq-e-miSra' janaab Anwar Jawaid SaaHib ne is Zameen meN fikr-o-fan ke ghooRe khub dhaoRaae haiN. un kee yeh Ghazal dilkash aor laaiq-e-Sad daad hai.
Qawee ummeed hai keh GuZashtah mushae'rah kee t^arH is baar bhee dost is mushae'rah ko kaamyaabee se hamkinaar kar ke mamnoon farmaeeN ge.
mutamannee-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan